Ghazal : Rekhta Pataulvi

by ziaulhaq on February 01, 2012, 06:20:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1029 times)
ziaulhaq
Guest
Reply with quote
Ganwaya Jinko Paane Ke Liye Apna Jahan Humne
Naa Jaane Kho Dia Un Kaali Zulfon Ko Kahan Humne

Muqaddar Mein Jo Likkhi Theen Wo Jhelin Sakhtiyaan Humne
Guzari Umr Ab Tak Pattharon Ke Darmiyaan Humne

Saza Is Bekhayali Ki Hamein Milni Hi Thi Aakhir
Ke Apnon Ko Samajh Rakkha Tha Kya Kya Maharbaan Humne

Muqaddar Hai, Wo Hi Bedard Nikle Bewafa Nikle
Sunayi Hai Dukhe Dil Ki Jinhein Bhi Daastaan Humne

Taaaqub Karte Karte Kho Gaye Khud, Par Naa Haath Aayeen
Taaajjub Hai ki Kyon Chahi Theen Aakhir Titliyaan Humne

Ab Aandhi Aur Toofan Se Bachein Aye Rekhta Kaise
Ujaalon Ke Liye To Foonk Daala Aashiyaan Humne
   
Logged
Ahmedd
Guest
«Reply #1 on: February 01, 2012, 06:59:00 PM »
Reply with quote
Wah wah Zia sahab kya hi khoob ghazal post ki hai aapne. Aapki pasand ki daad deta hun. Aisi hi ghazlein share karte rahiye. Agar khud bhi likhte hon to bhi inayat farmayen.
Logged
injured.warrior
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2012, 07:11:07 PM »
Reply with quote
bahut umda... Clapping Smiley Clapping Smiley
daad kabool kijeye khushobaad rahiye.. Clapping Smiley Clapping Smiley

bus thoda sa likhne me sudhaar kijye padne me thodi dikkat mahssos hui..
aapne t'aaa'jjub me 3times "a' likha aur bhi kayi chhoti chhoti cheezen hai

magar pesh kash umda hai Clapping Smiley

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 41 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: February 01, 2012, 07:16:17 PM »
Reply with quote
nice
Ganwaya Jinko Paane Ke Liye Apna Jahan Humne
Naa Jaane Kho Dia Un Kaali Zulfon Ko Kahan Humne

Muqaddar Mein Jo Likkhi Theen Wo Jhelin Sakhtiyaan Humne
Guzari Umr Ab Tak Pattharon Ke Darmiyaan Humne

Saza Is Bekhayali Ki Hamein Milni Hi Thi Aakhir
Ke Apnon Ko Samajh Rakkha Tha Kya Kya Maharbaan Humne

Muqaddar Hai, Wo Hi Bedard Nikle Bewafa Nikle
Sunayi Hai Dukhe Dil Ki Jinhein Bhi Daastaan Humne

Taaaqub Karte Karte Kho Gaye Khud, Par Naa Haath Aayeen
Taaajjub Hai ki Kyon Chahi Theen Aakhir Titliyaan Humne

Ab Aandhi Aur Toofan Se Bachein Aye Rekhta Kaise
Ujaalon Ke Liye To Foonk Daala Aashiyaan Humne
   

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 02, 2012, 04:36:07 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
ziaulhaq
Guest
«Reply #5 on: February 02, 2012, 10:28:12 AM »
Reply with quote
Aap Sabhi ka Bahut Bahut Shukria Hosla afzayi ke liye
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: February 02, 2012, 11:50:58 AM »
Reply with quote
Wah Zia sahab bahot khoobsurat ghazal aapne share ki hai. Aapki pasand ki daad deta hun.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 05:46:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer