GHARAARA *.................................... HASAN

by F.H.SIDDIQUI on August 08, 2013, 01:30:25 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1278 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote
*Gharaara  Avadh mein Ladies ka,khaas kar Muslim
ladies ka,pasandeeda libaas hai.Ye na sirf Bridal
Dress hai bulki khas occasions - shaadi  byaah ,
functions,Eid waghaira teohaaron mein khusoosan
pahna jaata hai , aur bila shubha pahanne waale ke
Husn mein chaar chaand laga deta hai.Isi pas-manzar
meiN pesh hai apne 'young'doston ke liye Eid ke
mouqe ki eik puraani Nazm

 
...


Eid  ke  din jo tumheiN  pahne  Gharaara dekha
Husn  ke  roop  meiN  bus  eik  Sharaara dekha
Rashk - e - Mahtaab thha , ek  aisa  Sitaara dekha
Jaan - e - Man sach hai tumheiN Chaand se pyaara dekha

Eik Haqeeqat  thhi jise Khwaab se pyaara dekha
Eid  ke  din  jo  tumheiN  pahne Gharaara dekha


TheeN  HaseeN  pahle  bhi par aaj ghazab dhaati ho
Tum  Gharaare  meiN  to kuchh aur  nikhar jaati ho
Lakh   saada   raho  par  aur   sanwar   jaati  ho
Sirf  Qaatil  naheeN , kuchh  aur  nazar  aati  ho

Mar gaya ,  bhool  se  jis ne  yeh  nazaara  dekha
Eid  ke  din  jo  tumheiN   pahne  Gharaara  dekha


Dil meiN aaya thha tumheiN baanhoN meiN RaqsaaN kar dooN
Pyaar  kee  eik  Mohar  hontoN  pe  chaspaaN  kar dooN
Chehra  gulnaar  karooN  ,  Husn  darakhshaaN kar dooN
'Haaye Allah'  kaho  ,  itna  pareshaaN   kar  dooN

Par  hua  chup  jo   nigaahoN  ka  ishaara  dekha
Eid  ke  din  jo  tumheiN  pahne  Gharaara  dekha


.....................................


ईद  के  दिन  जो तुम्हें  पहने  ग़रारा  देखा
हुस्न  के  रूप  में  बस  एक  शरारा  देखा
रश्क - ए - महताब था एक ऐसा सितारा देखा
जान- ए - मन सच है तुम्हें चाँद से प्यारा देखा

एक  हक़ीक़त  थी  जिसे  ख़्वाब से प्यारा देखा
ईद  के  दिन  जो  तुम्हें  पहने  ग़रारा  देखा


थीं  हसीं  पहले भी  पर आज  ग़ज़ब ढाती हो
तुम   ग़रारे  में  तो  कुछ और निखर जाती हो
लाख  सादा   रहो  पर  और  संवर  जाती  हो  
सिर्फ़  क़ातिल  नहीं  कुछ  और  नज़र आती हो

मर  गया , भूल  से  जिस ने  यह नज़ारा देखा
ईद  के  दिन  जो  तुम्हे  पहने  ग़रारा  देखा
 

दिल  में  आया  था  तुम्हें  बांहों में  रक्साँ क्र दूं
प्यार  की  एक  मोहर  होंटों  पे  चस्पां  कर  दूं
चेहरा   गुलनार  करूँ , हुस्न   दरख्शां   कर  दूं
'हाय अल्लाह '  कहो  ,  इतना  परेशां  कर  दूं

पर  हुआ  चुप  जो  निगाहों  का  इशारा  देखा
ईद  के  दिन  जो  तुम्हें  पहने  ग़रारा   देखा
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
AAJ HI KE DIN ........................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Occassion Specific Poetry
WOH .............................................HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
... YE DUA KIS KEE HAI ............................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
T A N H A *............................. HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
D H O O M .................................... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
mkv
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2013, 01:56:45 PM »
Reply with quote
Aadaab Sir
Kya baat hai..Eid ka isse khoobsurat tohfa aur kya ho sakta hai.. shukriya

TheeN  HaseeN  pahle  bhi par aaj ghazab dhaati ho
Tum  Gharaare  meiN  to kuchh aur  nikhar jaati ho
waah waah kya baat hai

Mar gaya ,  bhool  se  jis ne  yeh  nazaara  dekha
Eid  ke  din  jo  tumheiN   pahne  Gharaara  dekha mauka hai aur dastoor bhi..javaab  naheen

Dil meiN aaya thha tumheiN baanhoN meiN RaqsaaN kar dooN
Pyaar  kee  eik  Mohar  hontoN  pe  chaspaaN  kar dooN
Chehra  gulnaar  karooN  ,  Husn  darakhshaaN kar dooN
'Haaye Allah'  kaho  ,  itna  pareshaaN   kar  dooN
ab is nazaare pe aise khayaal aaye to bura kya hai

Par  hua  chup  jo   nigaahoN  ka  ishaara  dekha ab saara khel to is line me hai..maza aa gaya.. ek shayar .is jagah aakar ruk hi jaata hai..ye daayra hi use bazm me ek pahchaan deta hai
Eid  ke  din  jo  tumheiN  pahne  Gharaara  dekha

Bahut umda aur naayaab kalaam Sir
eik muqammal nazm..learners ke liye ek saugaat samaan

saadar samarpit..
is haseen nazm ki taareef ko dil machla hai
husn ko dekh gharaare me ye dil fislaa hai

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #2 on: August 08, 2013, 02:22:03 PM »
Reply with quote
naheen bhaai jaan aaj mere lfz taareef ke liye chhote pad rahe hain jab mulaaqaat hogee to main ise tarannum men aap ko sunaaoongaa aur bataaongaa ki iskee rawaanee men kyaa mazaa hai philhaal eid bahut bahut mubaarak
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: August 08, 2013, 02:22:24 PM »
Reply with quote
HASAN SIR,

sabse pehle to achha kiya aapne yeh bta diya ki  GHARAARA kya hai nahi to sach mein samjh nhi aata ....

qalaam ki khubsurati apne aap lakhon guna badh jati hai lafzon ka jaadu apne aap hee dil pe gazab ka asar karta hai...aur gazal se gazab ki imagination hota hai ki real dunia se dur aapki gazal ki dunia ko real samjhne lagte hai yeh sab tab hota hai jab qalam HAMARE HASAN SIR CHALATE HAIN AUR BAS CHHA JATE HAIN...

aisa hee kuch is qalam se bhi hua hai..pyar aur khubsurat adaon ka jaadu jo aapne GHARAARA ki zariye darshaya hai lajwab hai.. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Logged
poonamA
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2013, 03:31:23 PM »
Reply with quote
very nice hasanjee
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #5 on: August 08, 2013, 04:23:53 PM »
Reply with quote
wah wah siddiqui ji, aapko kya Eidi mili hai, Eid ki bahut bahut mubarakbad
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #6 on: August 08, 2013, 06:25:40 PM »
Reply with quote
waah waah waaaaaaaaaaaaaaaaaah Hasan saheb, bahut umda, maza aa gaya padh ke, mujhe to Badal Film ka gaana- "Laal gharara" yaad aa gaya.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: August 08, 2013, 08:34:57 PM »
Reply with quote
aaye ghazab, eid ke sabse behtareen kalaamoN meN se ek rahi ye, wah bas mazaa hi aa gaya, meri taraf se daad ka guldasta aur ek rau qubool farmaayeN janaab....
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #8 on: August 08, 2013, 09:01:57 PM »
Reply with quote
वाह....वाह....क्या बात है हसन जी.....एक लिबास को लेकर इतना प्यारा गीत रच दिया...बहुत खूब सोच है.....ढेरों दाद और ईद की ढेरों बधाई
 icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: August 09, 2013, 01:35:37 AM »
Reply with quote
Aadaab Sir
Kya baat hai..Eid ka isse khoobsurat tohfa aur kya ho sakta hai.. shukriya

TheeN  HaseeN  pahle  bhi par aaj ghazab dhaati ho
Tum  Gharaare  meiN  to kuchh aur  nikhar jaati ho
waah waah kya baat hai

Mar gaya ,  bhool  se  jis ne  yeh  nazaara  dekha
Eid  ke  din  jo  tumheiN   pahne  Gharaara  dekha mauka hai aur dastoor bhi..javaab  naheen

Dil meiN aaya thha tumheiN baanhoN meiN RaqsaaN kar dooN
Pyaar  kee  eik  Mohar  hontoN  pe  chaspaaN  kar dooN
Chehra  gulnaar  karooN  ,  Husn  darakhshaaN kar dooN
'Haaye Allah'  kaho  ,  itna  pareshaaN   kar  dooN
ab is nazaare pe aise khayaal aaye to bura kya hai

Par  hua  chup  jo   nigaahoN  ka  ishaara  dekha ab saara khel to is line me hai..maza aa gaya.. ek shayar .is jagah aakar ruk hi jaata hai..ye daayra hi use bazm me ek pahchaan deta hai
Eid  ke  din  jo  tumheiN  pahne  Gharaara  dekha

Bahut umda aur naayaab kalaam Sir
eik muqammal nazm..learners ke liye ek saugaat samaan

saadar samarpit..
is haseen nazm ki taareef ko dil machla hai
husn ko dekh gharaare me ye dil fislaa hai


Mukesh ji , Nazm pasand karne ke liye bahut shukriya .
aap to Lucknow hi ke hain . Nazm ke pas manzar se poori
tarah waqif hon ge . Eid k mouqe par mujhe bhi ye nazm
yaad aa gayi.
Logged
nashwani
Guest
«Reply #10 on: August 09, 2013, 02:00:16 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah waah waah hasan sahab kya baat hai..ekdum mazedaar peshkash hai..happy9
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: August 09, 2013, 04:33:59 PM »
Reply with quote
naheen bhaai jaan aaj mere lfz taareef ke liye chhote pad rahe hain jab mulaaqaat hogee to main ise tarannum men aap ko sunaaoongaa aur bataaongaa ki iskee rawaanee men kyaa mazaa hai philhaal eid bahut bahut mubaarak

BAHUT SHUKRGUZAR HOON SAINI JI. MILNE  PAR  TARANNUM
MEIN NAZM SUNAANE KA WAADA PAKKA RAKHYE GA. ZUROOR
SUNAANA PADEGA.
Logged
prashad
Guest
«Reply #12 on: August 09, 2013, 09:36:29 PM »
Reply with quote
bahut khoob, aapko bhi Eid Mubarak.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2013, 01:09:52 AM »
Reply with quote
HASAN SIR,

sabse pehle to achha kiya aapne yeh bta diya ki  GHARAARA kya hai nahi to sach mein samjh nhi aata ....

qalaam ki khubsurati apne aap lakhon guna badh jati hai lafzon ka jaadu apne aap hee dil pe gazab ka asar karta hai...aur gazal se gazab ki imagination hota hai ki real dunia se dur aapki gazal ki dunia ko real samjhne lagte hai yeh sab tab hota hai jab qalam HAMARE HASAN SIR CHALATE HAIN AUR BAS CHHA JATE HAIN...

aisa hee kuch is qalam se bhi hua hai..pyar aur khubsurat adaon ka jaadu jo aapne GHARAARA ki zariye darshaya hai lajwab hai.. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

HASAN SIR,

sabse pehle to achha kiya aapne yeh bta diya ki  GHARAARA kya hai nahi to sach mein samjh nhi aata ....

qalaam ki khubsurati apne aap lakhon guna badh jati hai lafzon ka jaadu apne aap hee dil pe gazab ka asar karta hai...aur gazal se gazab ki imagination hota hai ki real dunia se dur aapki gazal ki dunia ko real samjhne lagte hai yeh sab tab hota hai jab qalam HAMARE HASAN SIR CHALATE HAIN AUR BAS CHHA JATE HAIN...

aisa hee kuch is qalam se bhi hua hai..pyar aur khubsurat adaon ka jaadu jo aapne GHARAARA ki zariye darshaya hai lajwab hai.. Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Soudagar saheb , Zarranawazi k liye bahut shukrguzar hoon . Aap jaise naujawan doston ki aisi nazmon per housla afzai se  mehnat wasool ho jaati hai.
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 6 hours and 36 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #14 on: August 10, 2013, 01:31:17 AM »
Reply with quote


Par hua chup jo nigaahoN ka ishaara dekha
पर हुआ चुप जो निगाहों का इशारा देखा
 Applause Applause Applause

Eid ki bahut bahut Mubarakbad Siddique Saheb
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:44:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.195 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer