Husn

by khalidrawat on July 22, 2007, 07:16:39 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1322 times)
khalidrawat
Guest
Reply with quote
Loh-e-jahan pe naqsh hue the hazar lafz
Likhne ka lafz lafz ke per dhang aur tha

Auraq zindagi ke mere saamna the aaj
The naqsh mukhtalif tu kahin rang aur tha

Kitni hi daastanain qalamkar ne likheen
Likhne ke saath saath wo us ne mita bhi dein

Kitne he zor war yahan aa ker guzar gaye
Is mehrabaan ki ranjishain koi na seh saka

Sare hakim shair-o-sofi guzar gaye
Lekin ye raaz kya he ye koi na keh saka

Lekin ajeeb baat he ke mere waste
Tera haseen rukh he baqa-e-dawaam he

Ye saadgi ada ki teri aur ye baankpan
Tiyaaq aagahi ka hain nisyaan ke jaam hain

Main jab bhi dekhta hoon tere lab ke dilkashi
Lagta he yoon ke hain kisi maikash ke ye dua

In mast mast aankhoon ki masti he kiya ghazab
Lagta he yoon ke apni he masti pe hain khafa

Yazdaan tera qalam ye nafas sad hazar rang
Mumkin ye he ke khama tera may se ho bhara

Mumkin ye he ke hafiz-e-mushrab ka ho khayal
Mumkin ye he ke ho kisi piyale ki ye sada

Jo kuch bhi ho mager ye mera naqsh-e-be-sabat
Markaz bana he jab bhi tere iltafat ka

Masti main tere roop ki yoon kho gaya ke phir
Khadsha nahin raha ise apne sabat ka
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ada e Husn by sanju in Shayari -e- Husn « 1 2  All »
Husn by vsrinivash in Shayri for Khumar -e- Ishq
Husn by vsrinivash in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 6 7 »
Husn.............. by Rajeev_bekhudi in Shayari -e- Husn
..~~Husn~~.. by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #1 on: July 30, 2007, 05:45:15 PM »
Reply with quote
agar ap kathin words ki meaning bhi bata de to apki shayari humari samajh me aye
sorry apko bura toh nahi laga ?
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #2 on: August 01, 2007, 05:58:19 AM »
Reply with quote
Zehra ji , main apne samajh ke mutabiq jo bhi mushkil lafz hain un ke matlab likh raha hoo.N.

Naqsh: design

Loh-e-Jahaa.N: Duniya ka safha , ya kaghaz,

Auraq: Pages

Qalamkaar: Likhne wala

Sarisht: fitrat, aadat

Baqa-e-dawaam: hamisha ki zindaqi, hamisha baqi rehna

tiryaaq; Ilaaj, dawa

Aagahi: Jankari, knowledge

Nisyaa.N; bholne ka marz, bhool jana

Maye kash: Sharabi

Yazdaa.N: Khuda, God

Nafas_sad-hazar rang: rangee.n teherer , very colorful writing

Khama: Pen, qalam

Hafiz: A great poet of persia

Mushrab: Pene wala, sharabi

Naqsh-e-be-sabat: Aisae naqsh jise khatm ho jana he

Iltafat: tawajja, mohabbat

Sabat: baqi rehna
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #3 on: August 01, 2007, 12:22:06 PM »
Reply with quote
thanku thanku
ab padne mein aur maza aya.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:38:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer