izhar

by azim_adilrah@hotmail.com on September 18, 2004, 05:58:47 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2332 times)
azim_adilrah@hotmail.com
Guest
Reply with quote

agar tum chahte tho halaat badal sakte theh,
tere ansoon meri ankhon se bah sakte theh,
tum tho tehrin rahin jheel ke pani ki tarah...
dariya banti tho badi dor nikal sakte theh.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
izhar by injured.warrior in Shayri for Khumar -e- Ishq
KESE IZHAR KARON by ARK333 in Share:Miscellaneous Shayari
Pyaar ka izhar... by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
izhar na kar saka by nadia brohi in Shayri for Dard -e- Judai
love{izhar] by Nahid Ayaz in Urdu Poets
yasir_sensitive
Guest
«Reply #1 on: September 23, 2004, 11:10:04 PM »
Reply with quote
good one azim
Logged
nishita
Guest
«Reply #2 on: September 24, 2004, 07:39:41 AM »
Reply with quote
good one
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 24, 2004, 04:31:03 PM »
Reply with quote
jheel ban kar tera intzaar kiya
har atti jati noka se maine izhaar kiya
dikhaty jo rasta to mai dariya ban sakti thi
bahaty jo muje apne sang,
bahoor door tak sath chal sakti thi
Logged
sanju
Guest
«Reply #4 on: September 27, 2004, 03:27:59 PM »
Reply with quote
dariya ho tum to lehar hoon mein,
raah ho tum to rahgeer hoon mein,
ek dusre se hum bandhey hain aise,
dil se dhadkan aur zindagi se saanse jaise..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2004, 04:16:41 PM »
Reply with quote
Tumharey Ishq Main Kho Kar Hum Kudh Ko Bhula Bathey
Yaqeen Ab Bhy Nahy Aata Kai Tum Sey Dil Laga Bethy

Tumhara Saath Mumkin Hi Nahi Yeh Janty Thyee Par
Najaney Kiyoon Tumharey Saath Ki Hum Ass Kar Bathey

Humaesha Pochtey Thia Tum Udasey Ka Sabab Meery
Tumhey Kiasey Batatey Hum Kai Kaisey Chah Kar Bathay

Humaesha Pochtey Thia Tum Mohabbat Ka Sabab Mujh Sey
Tumhy Batlaty Kya Kis Kis Ada Pye Jaan Ganwa Beathay

Khuda Woh Waqat Na Laiee Kisi Ki Bhi Mohabbat Main
Kai Jis Kai Saath Chalna Ho Wahi Daman Chura Bathay

Tumhey Batlain Kaisee Yeh Mohabbat Kitni Zalim Hai
Jisey Bhy Bhoolna Chaha Usy Ko Yaad Kar Bathay

Tumhey Kaisey Batain Hum Kai Dil Main Daard Kitna Hai
Magar Tum Sai Chupa Kai Daard Ko Hum Muskura Bathay

Meri Ik Muskurahat Sai Na Hargiz Yeh Samajhna Tum
Tumhari Tarha Pagal Pan Main Hum Sab Kuch Luta Bethy

Humay Maloom Hai Tum Ko Kabi Na Bhool Payeen Gay
Magar Phir Bhy Yahey Chaha Kai Dil Tum Ko Bhula Bathay

Kai Jis Ki Qadar Na Zindagi Main Meeri Chahat Ki
Na Janey Kis Liyee Us Bewafa Se Dil Laga Bathay,........................
Logged
nishita
Guest
«Reply #6 on: September 28, 2004, 09:32:21 AM »
Reply with quote
kya baat hai pooja sanju and waheed
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2004, 05:31:17 AM »
Reply with quote
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !

Humko kiske gam ne mara yeh kahani phir sahi
kisne tora dil hamara yeh kahani phir sahi

Dil ke lutne ka sabab pucho na sabke samne
naam aayega tumhara yeh kahani phir sahi

Nafrton ke teer kha kar doston ke shahar mein
humne kis kis ko pukara yeh kahani phir sahi

Kya batayen pyar ki bazi wafa ki raah mein
kaun jita kaun hara yeh kahani phir sahi...........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 29, 2004, 04:46:23 PM »
Reply with quote
wowoowo nice Answer Sanju.....baba....

Bahoot khoob waheed_rose
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: September 30, 2004, 06:20:17 AM »
Reply with quote
thanx pooja....................


Meray Sabar Ka Na Lay Imtehaan Meri Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Teray Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day,

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Meray Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day,

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Meri Hasratoon Ko Shumaar Kar Meri Chahatoon Ka Silaa Na Day,

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Me Thi Meri Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Meri Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 02:25:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer