MAIn aab kiya kaho !

by muneeb on September 20, 2004, 08:09:08 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1681 times)
muneeb
Guest
Reply with quote
Sun liya hum nay yha faisla tera
aur sun kar udaas hoo baithay
zahin chup chaap ankh khali hay
jaisay hum kainaat khoo baithay


Dhundhlay dhundhlay say munzaroon say gulo
chairti hain tajaliyaan teri
bhooli basrii hui rutoon say udhar
yaadh aien tasaliyaan teri


Dil yah kahta hya hoosla rakhna
sung rasaty say hut bhi saktay hain
iss say pahlay kay ankh bugh gayye
janay walay palutt bhi saktay hain


Dil yah kahta hay zabtt lazimm hay
hijr kay din ki dhoop dhalnay takk
aitraf-e-shakast kiya karna
faislay ki gharri badalnay takk


Abh charaghaan karien hum askoon say
yah manazar bughya bughay daikhien
aik taraf tu hay aik taraf dil hay
dil ki manien kay tughya daikhien


Khud say bhi kashmakash sii jarri hay
rah main tera ghum bhi hayaal hay
chaak dar chaak hay qabay-e-havas
bay rafoo sooch-o-rooh bhi ghayaal hay


Tugh ko payya tu chaak si lain
ghum bhi amrat samagh kai pii lain ghay
varna yunn hay kay daman-e-dil main
CHUND SANSIEN HAIN GIN KAY JII LAIN GHAY
Logged
Amit Janglan
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2004, 11:24:24 AM »
Reply with quote
good one muneeb ji
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2004, 11:45:44 AM »
Reply with quote
Great...

Ques...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 25, 2004, 10:28:33 PM »
Reply with quote
Nice Muneeb!!!!
Logged
muneeb
Guest
«Reply #4 on: November 19, 2004, 04:26:57 PM »
Reply with quote
thanx pooja



Tujhe Chahne Wale Kum Na Honge
Waqt Ke Saath Shayad Hum Na Honge
Chahe Kisi Ko Kitna Bhi Pyaar Dena
Lekin Teri Yaadon Ke Haqdar Sirf Hum Hi Honge
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: November 19, 2004, 06:07:38 PM »
Reply with quote
NICE ONE MUNEEB!!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #6 on: November 29, 2004, 12:45:08 PM »
Reply with quote
nice muneeb:)
Logged
husain52
Guest
«Reply #7 on: December 01, 2004, 02:42:16 PM »
Reply with quote
nice one mubeen

hichkiyon se ek baat ka ehsaas hota hai
shayad koi hamien yaad to karta hai
milne na aaye to kya hua
ham par char lamhe barbaad to karta hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: December 12, 2004, 11:57:50 AM »
Reply with quote
nice!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #9 on: December 16, 2004, 10:29:43 AM »
Reply with quote
Bahut Badhiya Muneeb ji N Hussain ji!!!
Logged
muneeb
Guest
«Reply #10 on: December 26, 2004, 03:38:23 PM »
Reply with quote
aap saab ka bohat shukeriya



KESA LAGTA HAIJhelein hain yeh qurbat ki doorian bhi
Sath reh kar bhi us ko na pana kesa lagta hai
Qismat main nahin phir bhi us ko chahtay hain
Phool samjh kar kantoon per chalna kesa lagta hai
Ab to mehfil main bhi hamaray liyey tanhai hai
Gham chupa kar mehfil ko sajana kesa lagta hai
Mehfil main dosron se hans hans kar miltay hain
Tanhai main gham k ansoo bahana kesa lagta hai
Samjhany per bhi samjhta nahin hai yeh Dil
Us ki yaad main ratoon ko jaagna kesa lagta hai
Us ki berukhi ne itnay diyey hain zakham kay
Zakham kha kar bhi muskurana kesa lagta hai
Jab woh hans hans kar baat karay dosroon se
Tab apnay ansoon ko chupana kesa lagta hai
Usay kho kar to Meray pass raha kuch bhi nahin
Phir bhi khud ko ameer batana kesa lagta hai
Khud ko anmol samjhnay ka tha bara ghumand
Phir bhi baymool bik jana kesa lagta hai
Khaey hain dhokay mouhabbat main itnay kay
Phir bhi is ko chahna kesa lagta hai
Maloom hai is dewanay ki Manzil nahin hai koi
Phir bhi safer kartay rehna kesa lagta hai
Woh to aa kar bhi kab kay ja chukay hain
Phir bhi is ka intazar kartay rehna kesa lagta hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #11 on: December 26, 2004, 05:01:05 PM »
Reply with quote
Bahut Achchha Likha hai aapne Muneeb ji!!!!
Nice!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 10:18:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.085 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer