Husn o ishq ki mehafilen aksar jo saja lete hain
Unko bhi kuch 'Ghame Rozgar' dekar dekh lete hain
shayare-husn hain, har adaa pe misre bana lete hain
Is nazuk khayali ko, sach ke 'Kaante' chubha ke dekh lete hain
Tashbeehh uske roshan chehre ki, sooraj se dete hain wo
Misl *dehqa.n, use Dhoop mein chala ke dekh lete hain
Taazgi chaand ki, jiske husn mein dikhti hai unhe
misl chokidaar, use 'Ratjaga' kara ke dekh lete hain
Adaaye-naaz se , chehre se jab naqqab hatati hai wo
Misl aashiqo.n ke hum bhi *'Rubaru' hoke dekh l ete hain
Aatishe-Husn ki garmi pe , bahut wo naaz karti hai
ghareeb ki haandi uske 'Qareeb' rakh ke dekh lete hain
Daulate Husn ka uski , charcha khoob hota hai
Dar pe uske, kisi 'Majboor' ko bhej kar dekh lete hain
uski *Maanikhez muskrahaten sab ko , badi taskeen deti hain
chand 'bhooke' bachche uske paas bhej kar dekh lete hain
uski Adaaye naaz jo, aashiqo ko qaidi banati hai
kisi Machuare ko uske paas hunar seekhne bhej dete hain
uske Taraashe per jo khuda ki qudrat yaad aati hai
kisi *sang-tarash ko 'Karigari' dekhne bhej dete hain
jinhe uski Adaao.n par lakho.n lutana accha lagta hai
unke dar pe ek baap ko, 'Fehriste dahej' dekar bhej dete hain
Uski Teere nigaah se'Raashid' qatl hona, jo fakhr samajhte hain
Misl sipahi, Unhe 'sarhad' par bhi bhej kar dekh lete hain
*Tashbih - comparison
*Dehqa.n - farmer
*Maanikhez - Meaningful
*sang-tarash - Stone carver
*Rubaru - face to face