Tasveer mere yaar ki

by nishita on November 26, 2004, 02:39:00 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 22146 times)
Talat
Guest
«Reply #45 on: December 14, 2004, 03:40:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"

Dil ke Mausam ki Baat Maane bhi!
Aao Bhar lein Zara Udaanein Bhi!

Barf Pighli to Hans pade Khul kar,
Neeli Jheelein Hari Chattanein bhi!

Rang-e-dariya hai aaine jaisa,
Tah mein Kya hai yeh Raaz Jaanein bhi!

Lay to Khushiyon ki tez hai lekin,
Saath Udti Hain Gham ki Taanein bhi!

Teer-o-nashtar bhi Be-asar se hain,
Be namak Tokti Zubaanein bhi!

Kin Ummeedon pe yeh Samjhaate ho,
Khaaq Raaton ki Mil ke Chhaanein bhi!

(NM)

Wow Arunji!!!!  

Aao in nazaron main kho jaayen hum tum
Jo hua so hua chalo bhool jaayen hum tum!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere Yaar Ki Ada by bobby.soni in Shairi - E - Zindagi
aye mere yaar mere pyar by saahill in Miscellaneous Shayri
Dil tasveer-e hai yaar ki by Sunil Malhotra in Share:Love Poetry
tasveer yaar ki by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERE YAAR KEE TASVEER..... MohanN" by surindarn in Miscellaneous Shayri
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #46 on: December 14, 2004, 04:49:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Quote from: "sharmaarunkumar"

Dil ke Mausam ki Baat Maane bhi!
Aao Bhar lein Zara Udaanein Bhi!

Barf Pighli to Hans pade Khul kar,
Neeli Jheelein Hari Chattanein bhi!

Rang-e-dariya hai aaine jaisa,
Tah mein Kya hai yeh Raaz Jaanein bhi!

Lay to Khushiyon ki tez hai lekin,
Saath Udti Hain Gham ki Taanein bhi!

Teer-o-nashtar bhi Be-asar se hain,
Be namak Tokti Zubaanein bhi!

Kin Ummeedon pe yeh Samjhaate ho,
Khaaq Raaton ki Mil ke Chhaanein bhi!

(NM)

Wow Arunji!!!!  

Aao in nazaron main kho jaayen hum tum
Jo hua so hua chalo bhool jaayen hum tum!!!

Wah!wah!wah! Bahut badhiya!!! Kya baat hai!!! Talat ji!! Bahut khoob!!!

Simti hui yeh Kadiyaan Phir se na bikhar jaayein!
Chalo aaj Hum Mohabbat mein itna sa to kar jaayein!

Faasle jo darmiyan hain Dil kahta hai unhen Mitaayein!
Main Un mein sama jaaun woh mujh mein sama jaayein!

De Zamaana misaal apne pyaar ki Sadiyon tak yahan,
Aaj hum apni Mohabbat ko aisi Daastaan Bana Jaayein!

Burk bhi hai lehara rahi, Rimjhim bhi hain aankhon mein!
Kaun Jaane yeh barishon ke mausam Phir aayein na aayein!
Logged
Talat
Guest
«Reply #47 on: December 14, 2004, 06:49:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"

Simti hui yeh Kadiyaan Phir se na bikhar jaayein!
Chalo aaj Hum Mohabbat mein itna sa to kar jaayein!

Faasle jo darmiyan hain Dil kahta hai unhen Mitaayein!
Main Un mein sama jaaun woh mujh mein sama jaayein!

De Zamaana misaal apne pyaar ki Sadiyon tak yahan,
Aaj hum apni Mohabbat ko aisi Daastaan Bana Jaayein!

Burk bhi hai lehara rahi, Rimjhim bhi hain aankhon mein!
Kaun Jaane yeh barishon ke mausam Phir aayein na aayein!

Kya baat hai Arunji!!!! Wow!!!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #48 on: December 14, 2004, 07:07:49 PM »
Reply with quote
Shukriya ji Talat ji!!! Usual Smile
Logged
nishita
Guest
«Reply #49 on: December 15, 2004, 07:00:42 AM »
Reply with quote
wowowow both .. bohat khoob

Galat gumaan nah kar meri khushk aankho par
samondaro me jazire zaror milte hein...
 :wink:

(NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #50 on: December 15, 2004, 07:37:59 AM »
Reply with quote
Thanx happy9
Kya baat hai ;-)

Meri khamoshi ko na samjhna meri kamzori
Samundar ke seene se toofan nikalte hain!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: December 15, 2004, 04:53:40 PM »
Reply with quote
woowowwow bahoot khoob!!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #52 on: December 15, 2004, 05:15:04 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja ji, Talat ji N Nishita ji!!
Bahut Khoob likha hai Nishita ji!!!N Talat ji!! Waaah! Usual Smile  :lol:
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #53 on: December 15, 2004, 05:42:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Thanx happy9
Kya baat hai ;-)

Meri khamoshi ko na samjhna meri kamzori
Samundar ke seene se toofan nikalte hain!!!

Wah Wah! wah! Bahut Khoob!!! Tremendous written!!!Talat ji!!

Khamoshi se samandar ki, Ashiq Na Kabhi Darte hain!
Aise Toofaanon ko woh apne hausle se palat te hain!

Na hogi Mohabbat Apni Ruswa Kisi Bhi Tarah,
Hum bhi ab apne seene par Patthar Rakhte hain!

Jab bhi Dekhta hoon Samander ko ufante hue,
Mere Kaleze mein Rakhe Patthar Pighalte hain!

Nahin Dekhta ab Dil ke armaanon ko teri Khatir,
Armaanon ka kya hai yeh to yoon hi machalte hain!

Na soch ki Dil Humaara soona Ho gaya hai tere bagair,
Aaj bhi yahan teri Yaadon ke Saanp palte hain!
Logged
Talat
Guest
«Reply #54 on: December 17, 2004, 03:24:04 PM »

Thanks Arunji!!! n bohot achche!!!  :D
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #55 on: December 17, 2004, 04:09:47 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Shukriya ji! Talat ji!!! :lol:  :D
Logged
Talat
Guest
«Reply #56 on: December 18, 2004, 06:57:10 AM »
Reply with quote
:D
Logged
Talat
Guest
«Reply #57 on: December 18, 2004, 07:18:12 AM »
Reply with quote
Uth rahee hai kahin qurbat say teri saans ki aanch
Apni khushbu main sulagti hui madham madham
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai tere dildaar nazar ki shabnam!!  (NM)
Logged
Talat
Guest
«Reply #58 on: December 18, 2004, 12:51:52 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
woowowwow bahoot khoob!!

Thanks Pooja happy9
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #59 on: December 18, 2004, 02:34:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Uth rahee hai kahin qurbat say teri saans ki aanch
Apni khushbu main sulagti hui madham madham
Door ufaq paar chamakti hui qatra qatra
Gir rahi hai tere dildaar nazar ki shabnam!!  (NM)

Waaah great!!! Very Good!! Talat ji!!! Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 07:39:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer