Poetry ke liye mera mashwarah....Haider

by Ghulam Haider on July 11, 2010, 02:20:57 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1765 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm Aadaab !
MaiN ye kehna munaasib samajhta hoN ke har insaan ke dil meN feelings aur jazbaat paida hote haiN. Lekin sirf in feelings ki bina par har insaan ko shayer nahiN kaha ja sakta. Un jazbaat aur feelings ko apne alfaaz meN 2 tarah(in 2 ways) bayaan kiya ja sakta hai.
1- Jaise kaha jaaye "MaiN ne aik aadmi ko dekha jo aik chhote se bachche ko buri tarah peeT raha tha. Mujhe bachche par bohot taras(=dayaa)aaya, aur us aadmi par bohot ghussa aaya". Is tarah dil ki feelings ko bayaan kar diya. kya is style ko poetry kaha jaa sakta hai? NahiN adab meN ise nasr(=hindi meN gadh) kehte haiN. chaahe aap ki feeling kuchh bhi ho is style ko nasr hi kaha jaayega.

2-Jaise kaha jaaye

Dil e naa daaN tujhe huwa kya hai.
Aakhir is dard ki davaa kya hai.

Ham haiN mushtaaq aur woh be zaar,
Yaa ilaahi yeh maajaraa kya hai.

Hamko un se wafaa ki hai ummeed,
Jo nahiN jaanta wafaa kya hai."

Is tarah apne khayaalaat, jazbaat, iHsaasaat, feelings, aur bhaavnaaoN ko doosroN tak pahuNchaana shayeri, poetry aur-hindi meN-kaavviyai kehlata hai.
Is style  ke apne khaas rules hote haiN aur jo style oopar tha uske bhi apne rules hote haiN. DonoN style alag haiN to donoN ke rules bhi alag haiN.
MaiN yahaN par poetry ke baare meN baat karoNga.
Shayeri ke 2 style haiN.
1-Aazaad shayeri- Is meN likhne waala poetry ke liye banaye gaye rules aur qawaaid ko iste'maal (use) kiye baghir apni feelings ko pesh karta hai. Aazaad poetry aur nasr(gadh)meN koi khaas farq nahiN hota. ye shayeri un logoN ki vajah se vujood meN aayi hai jo shayerana khayaal to rakhte haiN lekin shayeri ke rules ko nahiN jaante.
2-shayeri-Is ke liye baRe 2 professors (daanishwaroN aur mufakkereen) ne rules ki kitaabeN likhi haiN.
Is mukhtasar si guftgoo se mera maqsad ye hai ke "is web par poetry ke liye 2 basic section hone chahiyeN.
1- Aisi poetry jo rules ke saath ho.
2-Aazaad poetry, jis meN rules ki zuroorat nahiN hai.

Ye guzaarish is liye hai ke likhne waaloN ko bhi Post karne meN aasaani hogi aur readers ko bhi. Aur phir kisi bhi poetry par us ke hisaab se comment bhi kiya ja sakta hai, likin agar donoN ke darmiyaan farq na ho to aik hi jagah khichRi si pakti rahegi aur log yehi samjheNge ke sab poetry hai. Is se un logoN par bohot asar paRta hai jo rules ke saath poetry likhte haiN.
Meri Mod se request hai ke is kaam ke liye jitne jaldi qadam uThaya jaaye utna hi behtar hai.
Logged
.adeeb
Guest
«Reply #1 on: July 11, 2010, 04:25:02 AM »
Reply with quote
Haider sb. shaairi ke mutaliq apke khayalaat se mai 100% muttafique hun. Apne jo mashwira diyaa hai,  woh qaabil-e-qadr hai, mai Admin. ji se use raaij karne ki iltija karta hun.   Members se bhi guzaarish hai  ke kam az kam itna karen ke Ghazal section me apni  wahi takhleeq  post karen jo shayari ke rules ke mutabiq ho yani jo haqeeqat me ghazal ho.  Shukria
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2010, 06:41:22 AM »
Reply with quote
HAIDAR SAHEB ,ADEEB SAHEB MAI BHI AAP DONO KI RAI SE ITTEFAQ RAKHTI HOON.LEKIN MERI OR SE AAP SABHI SE YE GUZARISH HAI KI JO MEMBERS APNI GAZAL KI ISLAH KARANA CHAHTE HON (JO ABHI GAZAL KE TALIB-E-ILM HAIN)UN KE LIYE BHI EK ALAG SECTION HO JAHAN PAR WO APNI GAZAL KI ISLAH KE SAATH GAZALGOI KI BAREEQIYAN SAMAJH SAKEN.KYON KI YE TALIB-E-ILM UN DONO KE BEECH KI HAISIYAT RAKHTE HAIN.SHUKRIYA.
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2010, 01:48:23 PM »
Reply with quote
Haider Sahab ......aapke mashware se main puri tarhaa sehmat hoon...agar ise amal me laya gaya toh...yeh ek sahi qadam hoga...yoindai ke hawaale se...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 11, 2010, 09:14:59 PM »
Reply with quote
Ahibbayi wa ai'zzayi Adaab !
Mujhe khushi hai ke aap logoN ne mere khayaal se ittifaaq kiya hai. Agar aap ki nazar meN koi aur baat ho to us ko bhi zikr kareN, sab ke baa hami aur muttafaq a'laih mashware se hi ye kaam behtareen tareeqe se anjaam paa sakta hai.
Mamta ji ne jo darkhwaast ki hai, us ko bhi pesh e nazar rakhna chaahiye.
Meri raaye to ye hai ke jo log ye samajhte haiN ke un ka kalaam (Poetry)qawaaid aur rules ke mutaabiq hai, woh "Poetry with rules" ke section meN hi post kareN taaki ustaad shoa'raa apni tanqeed o tabsire se un ki islaah kar sakeN.
Is ke liye unheN kam se kam beHr se kuchh aashnaayi, radeef o qaafiye ke ista'maal, tarkeeb, tashbeeh....ka kuchh pata ho.
Aur jo in qawaaid se aashnaayi nahiN rakhte haiN unheN khud itna khayaal rakhna chahiye ke jab tak buniyaadi qawaaid seekh na leN, tab tak "Aazaad shayeri" ke section meN hi post kareN.
Ya phir seekhne waaloN ke liye teesra section bana diya jaye. Lekin is ka kuchh na kuchh ma'qool hall zuroor nikalna chahiye.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 02:39:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.164 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer