Isthitpragyata

by @kaash on September 16, 2010, 09:44:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1021 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
Jeev roopi prakrati prabhu ki para prakrati hai
Anu panchbhoot tatha man,budhhi,ahankaar apara prakrati hai
Panchbhoot joki agni,jal,vayu,aakaash,dharti hain
Aur aatma budhi,man aur indriyun se upar hai
Ye shareer ek sadhan mila hai prabhu ki prapti ke lie
Ye aatma aatma me tabhi isthit ho pati parmaatma ki prapti ke lie
Parantu prabhu ki maya hamesha hamari aazmayish karti rahti
Gyaanendriyan kaan,naak,gala,mukh,netra mile hain aatma ke sadhan banne ke lie
Parantu ye gyanendriyun ke vishyun shabd,sparsh,dekhna,sooghna,khane me bhatke hue
Iske atirikt jo vikaar kaam,krodh,mad,moh,abhimaan hain ye bhi hamari pareeksha lete rahte
Is tarah se maya hume bhatkaye rahti aur ye vikaar hume har vaqt jakde rahte
Hum inme bhatak kar inme hi apna sara jeevan laga dete hain
Inse hi sukh milna,yehi sukh hai inhe hi jeevan ka maksad bana lete hain
Dhan,bal,shakti,aishwarya,samarthya,naam,sampatti ko sarvasva maan lete hain
Ye sab au inse jobhi joda humne ant me nasht ho jane hain ye baat hume dhyaan me nahi rahti
Hum khud ko karta aur karmfal ko apne adheen samajhne lagte hain
Abhimaan,agyaanwash sansarik sukh se sukhi aur dukh se dukhi hote rahte hain
Hamara man apni chanchalta ko aur adhik chanchal banata jata hai
Naashwaan cheezon me ram apne avinashi tatva aatma se door hota jata hai
Is tarah se ye apne prbhu apne parmaatma se bhi door ho jata hai
Parantu jis tarah chandrama ki roshni sooraj ki hoti hai
Usi tarah se ye saari indriyaan budhhi ka hi kahna maanti hai
Aur budhhi gyaan bina achetan ya phir man aur indriyun ke adheen ho jati hai
Hum sansaar jo ki anitya hai,asat hai naashwaan hai use sat aur hamesha ke lie maan lete hain
Aur aatma joki parmaatma ka ansh hai aur jise sada sarvada rahna hai use shareer se jod lete hain
Aur isi vajah se hum sansaar me tatha sansarik vastuon me aasakti,kaamna badhate jate hain
Sukh- dukh,maan-apmaan,laabh-hani me usi tarah ki manoisthati rakhne lagte hain
Isi tarah hum sambhandhon rishtey,naaton,doston me moh dwara moh badhaye jate hain
Parantu sachha moh to upar vale se hota aisa kabhi na jaan pate hain na jana pate hain
Srashtikarta ko jaanne ki jagah vyarth ki jaan pehchaan badhane me lag jate hain
Usse maan pane ki jagah sansarik maan ke lie krodh,abhimaan ke ghar ho jate hain
Aur phir zara si anukool pristhati me sukhi aur pratikool me dukhi hone lagte hain
Sadhu-santon ki sangat unki charcha hume aisi lagne lagti hai
Jaise is sabse kya hoga asli baaten hi faaltu ki lagne lagti hain
Tamaam umr hum sukoon,shanty,sukh,anand baahar talaashte rahte hain
Parantu parmanand,paramshanti khud hamare andar hai hum nahi jaan pate hain
Aur jab hamare andar prabhu ko jaanne ki utkantha aur bhakti umadti hai
To sachhe bhawon tatha santon dwara hume aseem shanty milne lagti hai
Gyaanijano se hume isthitpragyata ka mahatva samajh me aata hai
Sahaj bhaav se hota ye, iske lie kuch bhi ativishesh nahi kia jata hai
Samagra kaarya hume saare karm vaise ke vaise hi karne hote hain
Bus kartapan aur karmfal ki ikchha ke bhaav chhorne padte hain
Sam ka sidhaant hume isthitpragyata ke nazdeek lata hai
Koi bhi kaarya aasakti,kaamna ke lie nahi kia jata hai
Ye saari gyanendriyan,indriyan,vishay hume eeshwar me lagane hain
Hum karm karte rahen parantu karm aur unke fal eeshwar ke nikat jane ke lie hain
Ye maan kar saare vikaaron ko bhool indriyun ko wash me karke eeshwar ka dhyaan karte rahna hai
Hum jis bhi naam se upar wale ko yaad kare parantu ye har roz hi karte rahna hai
hum chahe jape,dhyaan,vandana,pooja karen,bhakti karen apne bhaav se karte rahen
bus sansarik karmon ka dhyey parmaatma,amarta hai itna hi maanna aur sochna hai
Na dukh me dukhi na sukhi me sukhi ye sam ka sidhaant hai
Isi sidhaant ka palan saari srashti aur swayam eeshwar bhi karta hai
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2010, 09:48:11 AM »
Reply with quote
wonderful share.....

uchcha shabdaalekhon se su-sajjit ek gaganchumbi vicharon ko pradarshit karta hua lekh prakatyamaan kiya he aapne bandhu...

Logged
Anshumali
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2010, 01:08:36 PM »
Reply with quote
Very Nice Poetry ... Nice sharing !

Thanks ....

khush rahen...
duaaon ke saath...
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: September 09, 2013, 01:24:55 AM »
Reply with quote
Shukriya Abhi and Anshumali ji, thanks for your words!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 10:04:19 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer