matam Hussain(a.s) ka

by bhimani on August 14, 2008, 08:35:39 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 25191 times)
Syed Irfan Haider
Guest
«Reply #15 on: December 04, 2011, 10:12:02 AM »
Reply with quote
Na ho jisky seeny main dil wo Rasol(s.a.w.w) k nawasy ka gham nahi karty
Ay hamiyo Yazeed kayeo hum apky seeny pay tou matam nahi karty
Himat ho tou ye Rasool(s.a.w.w) sy b keh daina
k hum zinda o jawaid ka matam nahi karty
Logged
Syed Irfan Haider
Guest
«Reply #16 on: December 04, 2011, 10:30:23 AM »
Reply with quote
Na ho jisky seeny main dil wo Rasol(s.a.w.w) k nawasy ka gham nahi karty
Ay hamiyo Yazeed kayeo hum apky seeny pay tou matam nahi karty
Himat ho tou ye Rasool(s.a.w.w) sy b keh daina
k hum zinda o jawaid ka matam nahi karty
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #17 on: December 04, 2011, 11:16:52 AM »
Reply with quote
Rotey hain hum waqeyaatey KARBALA ki yaad mein
Hai yeh Maatam SABRE-SIBTE-MUSTAFA ki yaad mein
Aiy yazeede-roosia tujhko adawat unse hai
Fikr apni bhi nahin jinko khuda ki yaad mein
Haath se 'Sadiq' ALUM Islam ka jane na paye
Pass aisa ho wafa ka Bawafa ki yaad mein
Logged
Mir Mohammed Raza
Guest
«Reply #18 on: December 25, 2011, 07:50:03 PM »
Reply with quote
Allama Iqbal said:

Ehsas-e-Karbala tujhay ho jaye ga ek din,

Tanha kisi azeez ki maiyyat utha ker dekh
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #19 on: December 25, 2011, 10:49:14 PM »
Reply with quote
ik din baray guroor se kehnay lagi zameen
aaya meray naseeb mai parcham Hussain(a.s)ka
mahtab ne kaha meray seenay k daag dekh
hota hai aasman pai bhi matam Hussain(a.s)ka
(mohsin naqvi)

Bahut ache MashaAllah
Bade ache aqeedat ka muzhaira kiya aapne
Hussain ki qurbani ko zinda kiya aapne

Dua Goo
Abul Asad
Logged
Sadiq Rizvi
Guest
«Reply #20 on: December 26, 2011, 04:38:57 PM »
Reply with quote

Jo ahlebait ki azmat samajh nahi sakta
woh deene-haq ki kaqeeqat samajh nahi sakta
khuda ki raah mein sab kuch lutane wale Husain(A.S.)
Zamana teri sakhawat samajh nahi sakta
woh sungdil jise insaniat ka durs nahin
Hamari ashk ki qeemat samajh nahi sakta
Ghamey Husain(A.S.)mein rona Nabi ki sunnat hai
Shaqi hamari shareat samajh nahi sakta
 
Sadiq Rizvi



Logged
Kaifee khan
Guest
«Reply #21 on: January 26, 2012, 04:50:42 AM »
Reply with quote
Nabi ke naam pe tukdon me bat bhi sakte hain,
husain waale hain sajde me kat bhi sakte hain,
aur jalale shere khuda ho gaya agar zaahir,
to yazeede waqt ka takhta palat bhi sakte hain.
Ya husain
Logged
Abrar Ahmad
Guest
«Reply #22 on: March 30, 2012, 07:06:23 PM »
Reply with quote
Wo Rango Roop wahi nain banta hai
Usi tarah dile zahra ka chain banta hai
Hasan ki shan me bas ek lafz kafi hai
Hasan ko chhota kare to Hussain banta hai

(Abrar Ahmad Ansari Mirzapur)
Logged
Abrar Ahmad
Guest
«Reply #23 on: March 30, 2012, 07:08:33 PM »
Reply with quote
SHABBIR MUSTAFA SE HAI SARVAR HUSSAIN SE
AKBAR INHI HASEEN SARAPO KA ZAIN HAI
AKBAR JAHAN E HUSN KA WO AAINA HAI JO
BAHAR SE MUSTAFA HAI TO ANDAR HUSSAIN HAI

Logged
Abrar Ahmad
Guest
«Reply #24 on: March 30, 2012, 07:10:33 PM »
Reply with quote
AGAR ACHCHHA LAGE TO DUA DENA

(ABRAR AHMAD ANSARI MIRZAPUR)
Logged
RAJANISALMA
Guest
«Reply #25 on: July 05, 2012, 08:25:27 AM »
Reply with quote
Hussain zinda hai dastoor e zindgi ki tarah.
Shaheed marta nahi aam admi ki tarah.
Yazeed doob gaya sham ki andheron me.
Hussain faila hai duniya me roshani ki tarah
(Abrar Ahmad Ansari Mirzapur)
Logged
M. Qasim ALi
Guest
«Reply #26 on: July 12, 2012, 06:17:24 AM »
Reply with quote
Suna Hai K Tu Rehta Hai Raag-e-Gaardan Se B Qareeb Aa Pawardegar...
Kiya Guzri Ho Ge Tuj Pe
Jab Raag-e-Hussain Cut Rahi thi

Logged
Suzan khan
Guest
«Reply #27 on: July 25, 2012, 10:45:05 PM »
Reply with quote
Shubanallha
Logged
Suzan khan
Guest
«Reply #28 on: July 25, 2012, 10:48:02 PM »
Reply with quote
Fana ke bad bi baki hai shane rhebari teri,  khuda ki rhemate ho ae amire karwa tuj par.
Logged
Suzan khan
Guest
«Reply #29 on: July 25, 2012, 10:49:56 PM »
Reply with quote
Fana ke bad bi baki hai shane rhebari teri,  khuda ki rhemate ho ae amire karwa tuj par.
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:33:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer