Na'at Shareef......!

by Talat on May 27, 2008, 11:09:19 PM
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 12208 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: July 17, 2008, 06:41:07 PM »
Reply with quote



Likh sakun kuch AAPKI shaan-e-azeem main
Meri qalam main hain woh lafz hi kahan

Sabz-e-gumbad ki hum ko zyaarat ho naseeb
Mil jaayen jaise hume yeh do jahan
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KOI TO HAMEIN BHI BATLA DE WOH ROZA - E - ATHAR KAISA THHA ( NAAT SHAREEF ).........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Muhammed
Guest
«Reply #16 on: July 18, 2008, 06:56:10 AM »
Reply with quote
Subhan Allah

Talat Ji..Kya Hi Khoob Baat Kahi Aapne..Insh-allah Aapko Bhi Gumbad-e-Khijra
Ki Chhanv Main Baith Ne Sarf Hasil Ho..Aur Aapki Duao K Sadqe Muje Bhi Bargaah-e-Khairool Bashar Ki Hazri Nasib Ho..


Is Gunehgaar Ko Sarkaar Bulaaye To Ajab Kya..?
So ee Hu ee Taqqdeer Jagaa ye To Ajab Kya..?

Paltaa Hai Zamaana Shah-e-Waala Ke Karam Se
"Ashraf" Ko Bhi Wo Nibhaaye To Ajab Kya..?



Talat Ji..Mujse Koi Khata Huee Hot Maaf Kadena bara-e-Karam.
Ashraf "Raza" Mera Naam Hai.
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: July 19, 2008, 08:32:58 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Ashraf Raza sahab.......shukriya
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #18 on: July 19, 2008, 09:37:44 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Ashraf Raza sahab.......shukriya

Jabeen...Muje " JI " " Sahab " " Thx " " Sorry " Se Bahot Nafrat Hai
Respect Dene Ki Koi Jaroorat Nahi..
Kyonki Jab Bhi Main Koi Reply POst Karta Hun..To Wo Sub Dost Mere Samne Hote Hai..Jaise Roo-B-Roo..Muje Sharm Aati Hai Ki Mera Koi apnaa Muje - Sahab Ji Thx Sorry Kehata Hai.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #19 on: July 19, 2008, 10:20:29 AM »
Reply with quote
Naat-e-Paak-e-Rasool Pesh Karta Hun..

Jo A'laa Hazrat Bareilvi Radiallhu Ta'barq Va'Ta'laa Anhu Ka DIWAAN
" Hadaayeeq-e-Bakhsish " Me se Le Hai

Insha-allah bahot Hi Mitha Kalaam Hai...

Jabeen...aapko Jaroor Pasand Aayega...

Kuch Urdu Lafz Ke Maa'ne bahot Hi Pechidaa Hai..Jo Sirf ahl-e-Ilm Hi Samaj Sakte Hai..


Nea'mat'ey Bant'taa Jis Simt Wo Ji'shaan Gayaa.,
Saath Hee Munshee-a-Rehmat Ka Kalamdaan Gayaa....


[ Huzure-e-paak Jab Bhi Jahaan Bhi Jaate sabko Nea'mat-e-rabb se Nawajte..
  Kyonki..Rabb Ne Unko ' Rehmat-lil-aa'lmin ' banaakar Duniya Me Bheja Hai ]

Aah..Wo Aankh Jo Nakaam-e-Tamanna Hi Rahee.,
Haay..Wo Dil Jo Tere Dar Se Poor Armaan Gaya....


[ Us aankh par afsos..Us Dil par Afsoss..!!! Jo aankhe Huzur Ko Na dekh payi aur Wo Dil Jo Huzur Ki Muhabbat se Khaali Hai ]

Aaqaa..
Dil Hai Wo Dil Jo Teri Yaad Se Ma'moor Raha.,
Sarr Hai Wo Sarr Jo Tere Kadmo'n Pe Qurbaan Gayaa....

[ Dil Kaisa Hona Chahiye..? Sarr Ki Taarif Kya..?
  A'laa Hazrat Bareilvi Irshaad Farmate hai Ki :
  Jiske Dil Me Huzur Ki Mohabaat Hai..Wo Dil Jindaa Hai
  Sarr Wohi Hai Jo Huzur Ke Ek Farmaan Par "Shaheed" Ho Kar "Kutt" Jaane Ko Tayyar Hai ]

Unhe Janaa Unhe Maana, Na Rakhaa Gaier Se Kaam.,
To Leel-laah-il-Hamd Me Duniya Se Musalmaan Gayaa....

[ Agar Puri Zindagi Huzur Ki Chaukhat Pe Pade Rahe To Kal Ba-roz-e-qiyamat Wo Musalmaan Momin "Lewaa-ool-Humd " Ke Shaaye Me Aaram Se Hogaa ]

Aur Aaj Le Unki Panaah aaj Madad Maan Unse.,
Fir Kal Na Mane'ge Qi'yaamat Me Agar Maan Gayaa....

[ Matalab Ki Jo Baatil Log HUzur Ko Nahi Maan'te Wo Log Qiyaamat Ke Din Ro Ro Ke Bhikh Mangte Honge..Lekin Us Waqt Kuch Bhi Un Logo Ko Fayada Nahi Honga
Maan Jaao Maan Jaao abhi..Is Duniya Me ]

Jaan-o-Dil,Hosh-o-Khirad Sub To Madi'ne Pahoon'che.,
Tum Nahi'n Chalte " RAZA " , Saraa To saaman Gayaa...


[ Yahaan Par Sahib-e-Naat Yaani alaa Hazrat Kahete Hai..Ki
  aalm-e-wajad Me Ho Ke..Ki..A Raza..!! Jism Se Jaan Chali Gayi..Hosh Chala gaya..Aql-o-Khirad Chala Gayaa..To Baaki Kya bachaaa..?
Tum Bhi To Chalo Raza....Saraa To Samaan Gayaaaa ]


 
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: August 15, 2008, 08:27:23 AM »
Reply with quote
Bohot khoobsurat peshkash hai Muhammed
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #21 on: August 15, 2008, 08:45:07 AM »
Reply with quote
Talat Bahot din baad dikhe aap

Ye din aakhri tha ki main is above post ko Main Delete karne wala tha

ki aap aa gaye...Shukriya Talat
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: August 21, 2008, 11:28:01 AM »
Reply with quote
Rasool S.A.W ki shaan main jo likha hai kya wo sirf isliye delete karna chahte the ki response nahin mila ? Shukriya kaisa....Mujhe achcha lagta hai ki aap yahan musalsal shirkat karte hain Usual Smile

Meri qareeb 1 maheene tabiyat khraab rahi isiliye yahan haaziri nahin ho paayi, maafi chahti hoon..

Inshallah jald yahan kuch Nabi-e-kareem ki shaan main likhenge
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: September 08, 2008, 10:47:26 AM »
Reply with quote
Na kahin se door hain manzilain, na koi qareeb ki baat hai
Jise chaahe usko nawaaz de, ye dar-e-Habib ki baat hai

Jise chaaha dar pe bula liya, jise chaaha apna bana liya
Yeh bade karam ke hain faisle, yeh bade naseeb ki baat hai

Wo bhatak ke raah main reh gayi, wo machal ke dar se lipat gayi
Wo kisi ameer ki shaan thi, ye kisi ghareeb ki baat hai

Mujhe jaan se badh ke azeez dil, mera dard dil se azeeztar
Ye jo dard se bhi azeeztar, wo mere Tabeeb ki baat hai

Main buron se laakh bura sahi, magar Un se hai mera waasta
Meri laaj rakh le mere Khuda, ye Tere Habib ki baat hai

Tujhe ae Munawwar-e-be-nawa, dar-e-shahe se chahiye aur kya
Jo naseeb ho kabhi saamna, to bade naseeb ki baat hai

Not Mine

Logged
Muhammed
Guest
«Reply #24 on: September 09, 2008, 07:13:22 AM »
Reply with quote
Jee Talat...
Bahot bahot hi pyare andaaz se Likhi gayee Hai..mujhe bahot hi achchhe lage har ash'aar..Subhan allah

Aub Yaar Soch Mein Pad gaya Kya Pesh Karoon ??
Talat..bas yoonh samaz Lo Ki mujhe Takreeban 700 se zayad Na'atiya Kalaam Yaad Hai jo arabci qasaeed va Farsi Masnavi va Urdu Taraane Madho san'aa Manqabat digar wali allaah ki shayaan-e-shaan k mutabeeq bahot hi zakhira demaag mein hai To..kabhi confused ho jaata hun ki konsi baat pesh karoon ?? chliye jald hi kuch na kuch ashaar likh deta hun
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #25 on: September 09, 2008, 08:02:34 AM »
Reply with quote
Aa’la Hazrat Radiallahu anhu K Natiya Diwan “ Hadaaeq-e-Bakhshish “ Se Ik Sher aur Uski Tashreeh Pesh Kar deta Hun
Talat…aapko Pasand aayega shayad


Lab Peh aa jaata Hein Jub Naam-e-Janaab.,
Munh Mein Ghool Jaata Hai Shuhd-e-Nayaab.,
Tan-o-Jaa’n Wajd Mein Ho ke aie Jaa’n Betaab.,
“RAZA” apne Lub Chooom Liya Karte Hein……………!!!
 
      > ala hazrat Imaam Ahmed Raza Bareilvi Radiallahu anhu


[ Talat……….Matlub Ki Naam-e-Paak-e-Ism-e-Muhammed  hi kuch aisa hai ki Jaise Shahad-e-Nayaab uski Mithaas ya chashni badi hi Lajeez hoti hai…

To Joh Log “ Muhammed “ Ka Naam Lete Hai To Insaan K  Dono Hi  “ Lub “ ik Dusre ko choom lete hai…

Talat…aap boliye MUHAMMED  Fir dekho aap k upar niche dono LIPs IK Dusre se “KISS” kar legey…Matalub Mithi chiz khaayee ho jaise….aur Awaaz bhi Umda hi Niklata Hai….

Aur IK Baar Nahi “ MU “ pe do Honth Milege Fir “ MAD” Pe Fir Milenge……

Aur "HA" niklega Halaq se..door door taq zubaan aur galaa mitha ho gaya ho jaise

Dono Honth Do baar Milege jaise Kiss.

Talat……Jee yahee Main Kehna Chahta Tha Ki Ye Naam Lete Hi Moonh Me “ Shahud “ Ka Lutf aa jaata Hai…………agar cheh kisi ne Shahad khaya bhi aur na bhi Khaya ho..

Talat….Sirf Naam Itni Tassir Hai To “ZAAT”  kya a’alum Hoge…….!!!!! ]

S**** allahu alaihe Afzal-oo-s salaat-oo -Was Sanaa 
 
Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: September 09, 2008, 11:35:28 AM »
Reply with quote
Raza, wo na'at shareef Qari Waheed Zafar Qasmi Sahab ne padhi hai, aur itni khoobsurti se padha hai ki aankhain nam si ho jaati hain sun kar.


Bohot hi khoob....chaar ashaar likhe aapne Raza, lekin bohot hi khoobsurat hain....aur tashreeh bhi aapne bohot achchi ki hai......Bohot khoob.

Sach hai ki Naam-e-Paak ka asar aisa hai to khushnaseeb hain wo log jinhone apni aankhon se Unka deedaar kiya hoga.....Unke Rauze ki kabhi hum ko bhi zyaarat naseeb ho (ameen).

Ummeed hai ye silsila jaari rahega...bachpan se bohot si na'at shareef padhte aaye hain..usi main se kuch jald share karenge.
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: March 11, 2009, 10:34:10 AM »
Reply with quote
Maqsood-e-zindagi hai itta'at Rasool ki
Mairaj-e-bandagi hai Mohabbat Rasool ki

Ko'tahiye amal ka mujhe khas gham nahi
Kaafi hai mere waste nisbat Rasool ki

Unke karam ki shaan kisi mein kahin nahin
mujrim ko dhoondti hai shifa'at Rasool ki

har aarhe waqt Rehmat-e-alam ko yaad kar
Tujhse bohat qareeb hai rehmat Rasool ki

Imaan-o-aag ki jise kehta hai yeh jahan
Ulfat Rasool ki hai woh, ulfat Rasool ki

Irshad-e-marra'ane se sabit huwa yeh raaz
Deedar hai Khuda ka ziyarat Rasool ki

Mukhtar-e-kainaat koi aur to nahin
duniya Rasool ki hai to jannat Rasool ki

Sar par rakhe taj woh shifa'at jab ayenge
Dekhenge shaan roz-e-qayamaat Rasool ki

"Khaliq" jo maut aaye to aaye kuch is tarah
Pesh-e-nazar rahe mere soorat Rasool ki


Not Mine

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #28 on: March 11, 2009, 10:51:11 AM »
Reply with quote
Subhan Allah Subhan Allah, Subhan Allah,.

Kya Khoob Thread Aapne Banaai Hai Talat Sis,.
Har Naat Mashallah Bohat Hi Pyaari Hai,.

Good Job,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: March 11, 2009, 10:52:49 AM »
Reply with quote
Meetha Mreetha Hai Mere MOHammad[SAWS} Ka Naam
Unpar Laakhon Karodon Darood-o-Salaam,.

Logged
Pages: 1 [2] 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 05:40:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer