KOI TO HAMEIN BHI BATLA DE WOH ROZA - E - ATHAR KAISA THHA ( NAAT SHAREEF ).........HASAN

by F.H.SIDDIQUI on November 06, 2011, 03:32:42 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3449 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

 (Sabhi  doston  ko  Eid-uz-zuha  ki , aur  sabhi
  Hajjaj-e-karaam  ko  muqaddas  fareeza-e-Hajj  ki
    adaaygi  ke  liye  mubarakbaad  ke saath )
-----------------------------------------------------

Koi  to  hameiN  bhi  batla  de , woh  Roza - e - Athar  kaisa  thha ,
Taiba  ki  Munawwar  nagri  meiN ,woh  Noor  ka  paikar  kaisa  thha

Chaalees  namazein  paRh ke  jahaN, haqdaar  huay   sub   Jannat  kay ,
Woh  Masjid - e - Nabvi  kaisi  thhi , Sarkar  ka  Minbar  kaisa  thha

Sharminda  rahe  jinke  aagay , Shaahaan - e - jahaaN  ke  takht - o - taaj ,
Woh  kaali  kamli  kaisi  thhi , Woh   khaak   ka   bistar   kaisa   thha

Ikhlaq   se   aari   Budhiya   ko   bhi ,  bakhsha   ayadat   ka   tohfa ,
Woh  Sabr  ka  paikar   kaisa  thha , woh  Zarf  ka  mazhar  kaisa  thha

LarzaaN huay  jub  Baatil ke  qadam , kankariyaaN  baneeN  sub  teer-o-tufang ,
Woh  Haathi  ki  faujeiN  kaisi  TheeN , Woh  chidiyoN  ka  lashkar  kaisa  thha

Jeena  bhi  sikhaya  duniya  meiN , Rastaa  bhi  dikhhaya  Jannat  ka ,
Woh  Haadi -e- Akbar  kaisa  thha , Woh  Shafa-e-Mahshar  kaisa  thha

Batla do  'Hasan'  jiss ne  dekha , mahsoos  wahi  kar  sakta  hai ,
Alfaaz  mein  kahna  mushkil  hai , waaN  Taiba  ka  manzar  kaisa  thha
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fasting / Upvaas / Roza by Kaafir in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Na'at Shareef......! by Talat in Shayari-e-Parastish « 1 2 3 4  All »
A Great Poet Athar Nafees Collection,. by Azeem Azaad in Ghazals
BAABUL KA AANGAN KAISA THHA ............................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
MOHABBAT KA HAMEIN ARMAAN KAB THHA ............ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2 3  All »
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: November 06, 2011, 04:03:48 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Siddiqui Sahaab Aadaab!

Masha Allaah Janab... Behad khub Naat padhi hai janab...
Beshak haq baatoN ko adaa kiya hai aapne.. Allaah aapko
Khush O aabaad rakhe aameen.. Usual Smile


Eid Uz Zohaa ki aapko aur tamaam Members ko
humari taraf se bahut bahut mubarakbad .. Usual Smile

Aur is umdaa Naat par hazaaroN duaaeN Allaah Rasool ke sadke
meiN hum sab ko baroz e qayamat hisab se bari kare.. aameen.

Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: November 06, 2011, 04:40:57 PM »
Reply with quote
Sach me hasan sahab
Isse behtar saugat ho hi nahi sakti eid par..
Hum sabhi chahne aur na chahne valo ke liye us parvardigaar se dua.n karte hai ki vo sabko salaamt aur mahfooj rakhe.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: November 08, 2011, 03:58:50 AM »
Reply with quote
behad khoobsoorat.  hasan bhai aapko aur aapke pariwaar walon khudaa tamam buraaiyon se mahfooz rakhe. aapkaa dhyaan hameshaa khudaa ki ibaadat men rahe
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #4 on: November 08, 2011, 08:03:12 AM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Siddiqui Sahaab Aadaab!

Masha Allaah Janab... Behad khub Naat padhi hai janab...
Beshak haq baatoN ko adaa kiya hai aapne.. Allaah aapko
Khush O aabaad rakhe aameen.. Usual Smile


Eid Uz Zohaa ki aapko aur tamaam Members ko
humari taraf se bahut bahut mubarakbad .. Usual Smile

Aur is umdaa Naat par hazaaroN duaaeN Allaah Rasool ke sadke
meiN hum sab ko baroz e qayamat hisab se bari kare.. aameen.

Khuda Hafez.. Usual Smile


Parwaaz saheb,Bahut bahut shukriya ki aap ne naat mein shirkat ki aur apni duaa e maghfirat se nawaaza.khuda hum sub ko azaab e qayamat se bachaaye.Amin.

Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: November 08, 2011, 03:07:53 PM »
Reply with quote
Sach me hasan sahab
Isse behtar saugat ho hi nahi sakti eid par..
Hum sabhi chahne aur na chahne valo ke liye us parvardigaar se dua.n karte hai ki vo sabko salaamt aur mahfooj rakhe.


mkv saheb,naat mein shirkat aur dua ke liye bahut shukriya.Khuda hum sab ko neki ki raah per chalaaye.Amin,Hasan
Logged
pritam tripathi
Guest
«Reply #6 on: November 08, 2011, 03:48:18 PM »
Reply with quote
bahut hi umda
dil se daad siddiqui sahab
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: November 09, 2011, 05:17:31 AM »
Reply with quote

Hasan Sahab,

Waah...waah...bahut khoobsoorat alfaaz men bandha
hai aapne, itney gahre thoughts, baar baar padhne
ko jee chahta hai.

Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: November 09, 2011, 12:45:36 PM »
Reply with quote
wah wah bahut bahut khub hasan sahab
Aaj to aapne bas kamaal hi kar diya janaab
Samajh nahi aa raha tareef kaise karun...
Waise aapto wahan par hokar aaye hain
Aapne woh sara manzar dekha hua hai
Plz ho sake to mujh ghareeb aur gunehgar
Ke liye dua kijiyega ki allah mera wahan jana
Aasan kare...is khoobsurat peshkash pe
Hazaron dili daad aur mubarakbaad
Aapko bhi eid uz zuha bahut mubarak

Shad o aabad rahiye...

Shihab

Bahut shukriya,shihab mian.Haziri
ki niyat hai to insha allah zuroor
bulaawa aayega.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #9 on: November 09, 2011, 03:28:28 PM »
Reply with quote
behad khoobsoorat.  hasan bhai aapko aur aapke pariwaar walon khudaa tamam buraaiyon se mahfooz rakhe. aapkaa dhyaan hameshaa khudaa ki ibaadat men rahe
Saini bhai,Bahut bahut shukriya,aap ki duaon ke liye.Khuda hum sub ko apni nematon se nawaze.Amin
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: November 09, 2011, 06:15:15 PM »
Reply with quote
bahut hi umda
dil se daad siddiqui sahab
Thanks,pritanji.God bless you.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: November 10, 2011, 07:04:49 AM »
Reply with quote
Hasan Sahab,

Waah...waah...bahut khoobsoorat alfaaz men bandha
hai aapne, itney gahre thoughts, baar baar padhne
ko jee chahta hai.

Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'


Satish ji.Aap ne naat padhi aur hausla afzai ki.bahut shukrguzaar hoon.HASAN
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #12 on: March 08, 2012, 05:32:35 PM »
Reply with quote
Merhaba-Merhaba! Subhan Allah. Hasan Saheb, Khuda aapko salamat rakhey, aur aap aise hi likhte rahein.
Applause Applause
Logged
dolly
Guest
«Reply #13 on: March 09, 2012, 02:06:19 AM »
Reply with quote
kuch words samajh ni aaye...par its amazing...Usual Smile...hasanji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: March 09, 2012, 04:37:21 PM »
Reply with quote
Merhaba-Merhaba! Subhan Allah. Hasan Saheb, Khuda aapko salamat rakhey, aur aap aise hi likhte rahein.
Applause Applause
Bahut bahut shukriya Iftakhar saheb aapki dua ke liye.yeh naat eik adna koshish thhi uss hasti ki shaan mein jiske hum sub ghulaam hain.Kaash sharf e qubooliyqt mil jaaye.Amin
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 06:45:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer