Neetisaar

by @kaash on September 14, 2010, 08:38:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 728 times)
@kaash
Guest
Reply with quote
Barkat vohi barkat jo sadbhawna ka sandesh de payen hum
Dhan vohi dhan jise parlok ke lie parmarath se joden hum
Bhakti vohi bhakti jisse antakaran shudhh kar saken hum
Bhakti vohi bhakti jissevVishay vikaar door kar saken hum
Bhawna vohi bhawna jisse bhakti ko pa saken hum
Bhawna vohi bhawna jisse har shay har jeev me prbhu ko dekh saken hum
Dunia vohi dunia jisme prabhu ke bina kisi ko na payen hum
Dunia vo hi dunia jisme rahkar aatmudhaar kar saken hum
Indriyan vohi indriyan jinhe prabhu prapti hetu sadhan bana saken hum
Such vohi such jo prabhu chintan se payen hum
Dukh vohi dukh jo sansaarik cheezon se sukh chahen hum
Karm vohi karm jise phal ki ikchha na rakhte hue karen hum

Kisse kya asha poori ho sakti hai
Vastavik aasha to khud me hi rahti hai
vastavik asha parmaatma hai jise aatma hi poora kar sakti hai
Ye kaamna ki mujhe ye mil jaye main itna praapt kar lun
Itna jod lun ki phir kabhi dukh na dekh sakun
Ye ikchha ki sabkuch mil jaye,saare bhautik sadhan mil jaye
Ye ikchha ki ajar amar naam ho hum khoob kyaati payen
Ye ikchha ki main acha hun sab mujhe acha kahen
Main sabka hiteshi sab mujhe bhala kahen
Ye ikchha ki khoob swasth rahun rogon sukh suvidha ka upbhog kar sakun
Har tarah ke fal,sabzi,tarah tarah ke vyanjan se man ko trupt kar sakun
Ye ikchha ki bade bade bhawan,makaan banaun
Koi takleef na rahe aishwarya pramod me dooba rahun
 Ye ikchha ki main khoob bhajan karun keertan me laga rahun
Sab mujhe ishwarparayan jane is tarah pujit ho sakun
Parantu itna sab mil jane par bhi sahi arthon me prani kuch nahi pata
Jab tak vo sachhe bhaav se ishwar ke parayan nahi ho jata
Kaamna hume hamesha maya ke sansaar roopi sagar me le jati hai
Jiski laharon se jeevan roopi naav phir nikal nahi pati hai
Islie hey aatmtatva to budhhi ko pratishtit kar parmaatma me laga
Tyaag har ikchha ko aur man,vachan,karm se prabhu sumiran me lag ja
Ikchha vohi ikchha jo prabhu charan me hum lagate hain
Chaah vohi chaah jisme ache karm karke bhi badhai sunna nahi chahte hain
Kyunki badhai chitt me ahankaar utpann kar sakti hai
Jiske hone se parmaatma se asimit doori milti hai
Jo eeshwar ke parayan hua uske lie kuch karne ko shesh nahi rahta
Prabhu swayam uska dhyaan rakhte hain,hey prani tu nahak hi maya me bandha
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #1 on: September 14, 2010, 11:21:59 AM »
Reply with quote
kaashji bahut achha,meaningful aur educating hai. icon_flower icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #2 on: September 09, 2013, 02:39:25 PM »
Reply with quote
kaashji bahut achha,meaningful aur educating hai. icon_flower icon_flower Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Suresh ji shukriya! Thanks for your words!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 16, 2024, 06:04:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer