sawaal ummat e daawat(jannati tum dauzakhi hum yeh koi ensaaf hai)

by muna massood on June 29, 2008, 01:56:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1967 times)
muna massood
Guest
Reply with quote
Ek hi pirbhu ki puja hum agar karte nahin
   ek dargaah par sar aap bhi rakhte nahin
Apni sajdagaah devi ka agar esthaan hai
   Aap ke sajdon ka markaz bhi to qabristaan hai
ginti apne devtaaon ki jo hum kar sakte nahin
   Aap bhi mushkil kusha apne to gin sakte nahin
jitne kankar utne shankar yeh agar mashhoor hai
   jitne murdey utne sajdey aap ka dastoor hai
Apne devi devtaaon ko haiagar kuch ekhtiyaar
   Aap ke waliyon ki taaqat nahin hai kuch shumaar
waqt mushkil ke hai apna gar bajrang bali
   Aap ko dekha lagaate naara ghos o ali
bhejta hai pirbhu aur autaar apna har ek ds mein
   Aap ne samjhakhuda ko mustufa ke bhes mein
Mandiron mein bhi bajaate hain agar hum ghantiyaan
   turbaton par aap ko dekha bajaate taaliyaan
hum bhajan karte hain gaa kar devtaa ki khubiyaan
   aap bhi gaate hain qabron par yunhin qawwaliyaan
hum chadhaate hain buton par doodh aur paani ki dhaar
   aap ko dekha chadhaate bakre chaadar shaandaar
but ki puja hum karhum ko mile naare suqar
   aap qabron par jhuken ,phir kyun mile jannat mein ghar
Aap mushrik hum bhi bhi mushrik baat bilkul saaf hai
   jannate tum dauzakhi hum yeh koi ensaaf hai
hum bhi jannat mein rahenge tum agar ho jannate
   warna dauzakh mein humare sath honge aap bhi
farq hum aur tum mein kuch nahin shankar dayaal
   hum ko amjha do nahin to tum pe sab hoga wabaal
                                                  (written by shankar dayal sharma)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Sawaal... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Shayri-E-Dard
Dil Ke Sawaal by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
jawaab ummat ejaabat(jannate aur dauzakhi hoga to bus a'a maal se) by muna massood in English
zindagi aaj Mout ki daawat udaa rahi hai by livingbytheday in Ghazals
Sonia01
Guest
«Reply #1 on: June 29, 2008, 02:25:40 PM »
Reply with quote
Quote
Ek hi pirbhu ki puja hum agar karte nahin
   ek dargaah par sar aap bhi rakhte nahin
Apni sajdagaah devi ka agar esthaan hai
   Aap ke sajdon ka markaz bhi to qabristaan hai

Bahut khoob Muna Massood Jee..  Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: June 29, 2008, 02:53:56 PM »
Reply with quote

hum chadhaate hain buton par doodh aur paani ki dhaar
   aap ko dekha chadhaate bakre chaadar shaandaar

but ki puja hum karhum ko mile naare suqar
   aap qabron par jhuken ,phir kyun mile jannat mein ghar

Aap mushrik hum bhi bhi mushrik baat bilkul saaf hai
   jannate tum dauzakhi hum yeh koi ensaaf hai

hum bhi jannat mein rahenge tum agar ho jannate
   warna dauzakh mein humare sath honge aap bhi

farq hum aur tum mein kuch nahin shankar dayaal
   hum ko amjha do nahin to tum pe sab hoga wabaal
                                                  (written by shankar dayal sharma)

Good sharing Munna Massood...esp these lines are extremely good....bohot kuch keh rahi hain..Excellent poetry by Dr. Shankar Dyaal Sharma
Logged
muna massood
Guest
«Reply #3 on: June 29, 2008, 06:57:02 PM »
Reply with quote
thanx celmira to read my poetry i will improve poetry more.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #4 on: June 30, 2008, 06:59:34 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause very nice sharing.......masood....bahoot khoob...likha hai shankar dayal sahab ne.......kisi jasoosi novel ko padhte waqt jo romanch jo jigyass jaag uthati hai..wohi jigyaas is kavita ko padhane ke baad man me uthata hai.....har lone ke baad aage ki line padhne kee utsukta hoti hai....jo kavita ke ant me hi samapt hoti hai...........bahoot hi achcha ant hai.....gagar me sagar hai ye kavita
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 11:35:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer