Ab bas rehne do..1

by nishita on November 13, 2004, 05:31:56 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Author  (Read 9820 times)
Meena
Guest
«Reply #60 on: November 27, 2004, 02:19:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
thanks immi.... and nice lovebites..

Bicharrh gaya hai to ab us se kuch gila bhi nahiin
Ke such to yeh hai ke woh shakhs mera tha bhi nahiin.

Mein chahta hoon usse.....aur chahne ke siwa
mere liye to koii aur raasta bhi nahiin.

Ajeeb raah guzar thii ke jis peh chaltay hue
qadam ruke bhi naheen....rasta kata bhi nahiin.

tere siwa bhi kaii dost ban gae to ye raaz khula
mera to shehar mein koii tere siwa bhi nahiin.

wahhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh like it very very much!


(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHAMOSH SE TUM REHNE LAGE HO by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
DIL MEIN REHNE WALO NE by BHONDU in Shayri-E-Dard
*Rehne Do Tanha Hame* by Roja in Shayri for Dard -e- Judai
*Rehne Do* by Sonia01 in Shayri-E-Dard
Maa-Baap (Zameen Par Rehne Wale Khuda) by khwahish in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Meena
Guest
«Reply #61 on: November 27, 2004, 02:20:38 PM »
Reply with quote
lovebites ji u r really very gud!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #62 on: November 27, 2004, 04:03:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
lovebites ji you r really very gud!


Thanks Meena.......!
Logged
nishita
Guest
«Reply #63 on: November 28, 2004, 02:04:45 PM »
Reply with quote
nice lovebites

beemaar-e-dard-e-dil ko aaram dene maiN
saaki ne bahut der ki hai jaam dene maiN

jawaab-e-khat na aaye to yuN tasalli dije
Nama bar ne der ki paigaam dene maiN

milte to hain hamse, wo darte haiN lekin
is raabataN ko koi naam dene maiN

ek umr lagi daag-e-daaman mitane main
kya gaya tha uska ilzaam dene maiN

kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN

ibtida-e-ishq to aasaan hai Jaan
aksar tootte hain dil anjaam dene maiN

(NM)
Logged
lovebites
Guest
«Reply #64 on: November 28, 2004, 03:58:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
nice lovebites

beemaar-e-dard-e-dil ko aaram dene maiN
saaki ne bahut der ki hai jaam dene maiN

jawaab-e-khat na aaye to yuN tasalli dije
Nama bar ne der ki paigaam dene maiN

milte to hain hamse, wo darte haiN lekin
is raabataN ko koi naam dene maiN

ek umr lagi daag-e-daaman mitane main
kya gaya tha uska ilzaam dene maiN

kuch aur jee lenge, kya jaayega tera
mehfil main apni hamko ek shaam dene maiN

ibtida-e-ishq to aasaan hai Jaan
aksar tootte hain dil anjaam dene maiN

(NM)



thanks a lot......!
Logged
nishita
Guest
«Reply #65 on: November 29, 2004, 07:21:55 AM »
Reply with quote
Usual Smile
Logged
~Rohan~
Guest
«Reply #66 on: November 29, 2004, 10:25:01 AM »
Reply with quote
gud work all..!

WAFFA ke dariiche mein qadam rakhte waqt
natija to soch lete pyar karte waqt....

Ab gilla hum se na karro, apni jaffaon par ghor karro
Dil ke saath zuban bhi di thi iqraar karte waqt...... (NM)
Logged
Nedura!
Guest
«Reply #67 on: November 29, 2004, 12:20:28 PM »
Reply with quote
nice one rohan Usual Smile
Logged
nishita
Guest
«Reply #68 on: November 29, 2004, 12:20:49 PM »
Reply with quote
wah wah rohan kya baat hai..!
Logged
lovebites
Guest
«Reply #69 on: November 29, 2004, 12:54:41 PM »
Reply with quote
mai zamaney se zara bach k rah karta ho
tugh mai ha baat nazar aey zamaney wali
mugh ko mohsin ki yehi baat gira lagti hai
kar k ehsaan ,wo ehsaan jataney wali
ek din kaam zamaney se parey ga sofi~
seekh lo tum bhi koi baat zamaney wali
Logged
nishita
Guest
«Reply #70 on: November 29, 2004, 12:59:53 PM »
Reply with quote
nice lovebites
Logged
lovebites
Guest
«Reply #71 on: November 29, 2004, 01:05:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
nice lovebites


Shukriya.........!
Logged
Meena
Guest
«Reply #72 on: November 29, 2004, 04:05:29 PM »
Reply with quote
wowwwww!

welcome rohan ji
Logged
lovebites
Guest
«Reply #73 on: November 29, 2004, 04:11:23 PM »
Reply with quote
Nahee rehta kabhi perday mein raaz e ashquiee
tum ne chup ker aur bhi is ko numaya ker dia
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #74 on: November 30, 2004, 08:39:27 AM »
Reply with quote
WOW...EVERY ONE... KEEP WRITTING FRIENDS...JUST FABUELOUS....

Main us kay pyar say kiun bad guman huwa hoon aaj
Kay us nay toot kay chaha to mujhay kal bhi na tha
--------------------------------------
Dukhoon nay bant lia hai tumharay bad hamay
Tumharay hath main rehtay to kitna acha tha
---------------------------------------
Hazaroon mosamoon ki hukum rani hai meray dil par
Wasi main jab bhi hansta hoon to aankhain bheeg jati hain
-----------------------------------------
Tootay huway khaboon ki chubhan kam naheen hoti
Ab ro kay bhi aankhoon ki jalan kam naheen hoti
------------------------------------------
Kabhi youn bhi ho teray ro ba ro main nazar mila kay ya keh sakoon
Meri hasratoon ko shumar kar meri khawahishoon ka hisab day
------------------------------------------
Dil ko jab dasnay lageen wehshat bhai tanhaiyan
Ham teri yadoon ki aik mehfil saja kar ro diay
------------------------------------------
Mazi ki mehfiloon ko saja kar shayoor main
Daitay hain zindagi ko sahara kabhi kabhi
-------------------------------------------
Dil main khoshboo ki tarha phirti hain yadian amjad
Ham nay is dasht ko gulzar bana rakha hai
------------------------------------------
Un say bhi cheen lo gay yad apni
Jin ka eman ho gayay hoon gay
---------------------------------------
Tumharay bad meray zekhm-e- na rasai ko
Na ho naseeb koi chara gar dua karna
---------------------------------------
Dunia bhar ki yadian ham say milnay aati hain
Sham dhalay iss soonay ghar main mela lagta hai
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9 ... 11
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 10:59:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer