Dard itna hai k......

by CoolGirl on January 20, 2007, 08:52:48 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 16993 times)
CoolGirl
Guest
«Reply #30 on: February 03, 2007, 03:33:46 PM »
Reply with quote
Bus yunhi
Hansi Hansi Main Loug

Bus yunhi
Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
Koi Teekhi Baat
Koi Chubhta Hua Lehja
Koi Zeher Alood Jumla
Koi Zoo Mani Si Baat
Dil Main Zakham Laga Jati Hai
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Ye Jantey Huay Bhi
Keh Jism Ka Zakham Gehra Naheen Hota
Bhar Hi Jata Hai
Per Zaban Sey Lagaya Hua Zakham
Dil Main Uter Jata Hai
Phir Kitney Hi Talaafi Key Marham Lagao
Madham Naheen Hota
Bus Yunhi Hansi Hansi Main Loug
Diloun Se Khail Jatey Hain
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hume Mohaabat Ne Itna Dard Diya Dosto, by muneeb in Shayri-E-Dard
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
kayun itna be-dard Zamana hai!!!! by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 14 15 »
itna dard na do mujhe by saahill in Shayri-E-Dard
DARD HAI ITNA... by ajnabee 28 in Miscellaneous Shayri
CoolGirl
Guest
«Reply #31 on: February 07, 2007, 03:55:06 PM »
Reply with quote
Hum apna se ziyda logo sai piyaar kartee hai
phir kyon wohi log hamare piyaar ko thokra jate hai
jinhey hum apna dil mein rakhna chahte hai
wohi kyon auro ki khatir humhra dil tor jate hai
jab matlab hota hai
phir hi kyon "rani" ko saab yaad kya kartee hai
jab apna waqt nikal jata hai
wohi log kyon beegane ban jate hai
hum apney se ziyda es duniya kai logo per barosa kartee hai
phir kyon duniya wale mera barosa tor jate hai
"Rani" to Ulfat main apna sab kuch lotta deti hai
Par kyon log "rani" ki ulfat ko samjh nehi pate hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #32 on: February 11, 2007, 06:39:21 AM »
Reply with quote
Toota dil mera sheeshe ki tarha
aashq itna baha k darya bangaya

na dekh payen wo mere dil k tokre
unki aankhon ne to humko hi bewafa samjha

unke ilzamo ko hum sunte rahe
sir jukhaye khare bezubano ki tarha

kya kuch luta diya humne unke liye
kuch saansein bachi thi wo bhi qurban ker diya

ab uski(KHUDA) bargha main insaf mile RANI
iss duniya ne to humko bekata maar diya...
Logged
dewanadil
Guest
«Reply #33 on: February 11, 2007, 11:55:39 AM »
Reply with quote
bahot acche cool gal n ankur!!
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #34 on: February 15, 2007, 05:47:42 AM »
Reply with quote
kerle kerle dil kabool woh nahi aayega
aaj bhi chand aasman main nahi aayega
yunhi tanha raat beet jayegi
aur savera cha jayega
kyun khoya rehta hai uske khayalo main
kab tak shama-e-tamanna jalata rahega
ye intezar-e-deedar na hogi khatam teri
to yunhi kab tak tarapta rahega
ger hota usko khayal tera zara bhi
ke uske bina ye dil kaise dharak paaega
nanhe se dil pe usne itne zakham diye
ab koi kaise isse bar paaega
dil to ho chuka hai bekabu RANI
ab uske aane se hi ye qarar paaega
kerle kerle dil kabool woh nahi aayega.....
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #35 on: February 16, 2007, 07:59:42 AM »
Reply with quote
kitne mausam guzar gaye
kitni raatein beet gayi
teri yaadon ki shama
ab tak bhuj na paayi
tanhayi ka aalam chaya hai ser sou
mehfil main bhi khushi raaz na aayi
baut baar chaha tujhko bhoola don
isse khayal se mujhko kabhi neend na aayi
bheed main jana se bhi dar lagta hai
do kadam chalne se bhi lachar hogayi
tu to chala gaya kerke bewafayi
aur gham se to meri zindagi bhar gayi
kaha kerti thi sabse RANI jo hua so hua
per jab hum pe guzri to zindagi hi badal gayi...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #36 on: February 18, 2007, 01:59:32 PM »
Reply with quote
tanha chor ke chal diye jaane kyun
dil ke tokre hazar kiye jaane kyun
najane kya khata hui humse
diya pyar ka ye sila jaane kyun
nadan dil madhosh hua nasha-e-pyar main
kuch hosh na raha jaane kyun
saare chithaain jaldi armaano ki
per tasveer dilse na mita paaye jaane kyun
char char hue sapne mere saare
aashq na baha paaye jaane kyun
yaadon ke saare charage bhuja diye humne
phir bhi bhoola na paaye unne jaane kyun
ab bhi hai intezar unke lut aane ka RANI
dil ke kisi khone main basi hai ye aas jaane kyun
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #37 on: February 28, 2007, 05:25:23 PM »
Reply with quote
shaamain udaas hai raahein tanha
jala dala humne zindagi ka her panna

kise sunae hum apni dastan
na koi paas hai aur na koi apna

bhuje armaano ke diye chote saathi apne
reza reza hogaya mera her sapna

suna tha raahon main kante bhi milte hain
aaj chuba gaya kanta humko phool apna

nikle yehi dua ab iss dilse RANI
ke raah-e-ishq main dhoka kise mile na
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #38 on: March 01, 2007, 09:54:44 AM »
Reply with quote
kitne pal beete kitni saadiyan beeti
tere intezar main mein marte marte jeeti

dil main bachi thi aas per aankhein naam thi
aansoon main bhi teri hi tasweer dikhti

aanso hi bache the mere apne
apne aanchal main unne chupa leti

koi jan na le sabab mere dard ka
ret pe tumara naam likh likh ke mita deti

koi khushi raas nahi aayi humain
mehfil bhi tanhayi si lagti

ab aaye ho lutke kya paaya tumne
mein to tumhe kafan main hi milti

umid taame hi main jeeye ja rahi thi
shayad khuda ne RANI ki yehi takdeer likhi thi
Logged
Ajnabee Anjana
Guest
«Reply #39 on: March 01, 2007, 12:14:01 PM »
Reply with quote
bohat khub likha haii  cool girl

Zindagii to har gham dehkatii haiii

tun kiyun dartii haii

harrr raat kee baat subha hi ati hai
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #40 on: March 02, 2007, 05:53:23 AM »
Reply with quote
fitrat main shamil hai uski dukh dena
aadat nahi hamari kisi ka dil thorna

dil main dharkan banke dharakta hai aaj bhi
namumkin ab to usse bhoolna

qatil hai wohi meri khushiyon ka
na maane dil usko saaza dena

umer bar ki wafa ka wada tha
humne kabhi nahi chaha ye rishta thorna

inn doriyon se bhi baut pyar hai humko
qareeb woh aaye to nichawar kerdo sab apna

najane kya hogaya wo aisa to na tha
dilne aaj tak RANI unne bewafa na manna...
Logged
CoolGirl
Guest
«Reply #41 on: April 15, 2007, 07:18:12 AM »
Reply with quote
kya ek pal ki chahat thi muhabbat thi?
kya kabhi tune mujhe dil mein jaga na di?

kya kabhi tune mujhe baahon mein ne baara?
kya kabhi tune meri raah na taaki?

kya aankhon mein mere jalwe na dekhe?
kya kabhi tune na jana mein kun thi?

kya iss dil main meri chahat na basi?
kya mere pyaar main koi kami thi?

kyun bewafayi tu kerke chala?
kyun tanhayi mujhe dedi?

dil aaj tak ye sawal kerta hai
kya ek pal ki chahat thi muhabbat thi?
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: April 15, 2007, 07:36:54 AM »
Reply with quote
NICE COOLGIRL
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #43 on: April 17, 2007, 02:49:06 AM »
Reply with quote
waah raani ji aapki nazm maiN ahsaas achhe diye aapne.....dono nazmeiN khoob rahi dono ko ahsaasoN main Gum bharpoor hai judayii ka dard hai....

Zigar maiN tees, dil maiN dard paida ker liya maine
Jo muzh se ho saka woh kaam achha ker liya maine

Teri khaatir tuzhe maloom bhi hai bhoolne waale
Har ik apne paraye se  kinaara ker liya maine

Sawaal aya jahaN bhi husn ki ruswaayii ka hardum
Tamannao ka khooN peeker Huzara ker liya maine

Ye mera hi kaleza hai ki uff tak nahi kerta
Tera har ik sitam hans ker Ganwara ker liya maine.


Harash
[/b][/color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: April 17, 2007, 04:30:42 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Harsh ji
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 05:34:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.263 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer