| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    | 
									   «Reply #90 on: June 21, 2007, 05:14:59 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 na lafz hai na likhne ki saahadaat wo qalam hai tooti jabse likhi hai muhabbaat
  jitni aamer hon mein utna koi nahin hai mere paas ghamon ki dualaat
  bina bole hi wo dil mein bas gaaye the aur dilke thokre bhi kiye bager ijazaat
  hamare pyaar ne itne dard diye hain ke aaj koi nahin paas jo kare humari himayaat
  humne to thokar hai khaayi jab kiya humne aisa ke pyaar se kerte hain dilon pe hukumaat
  us khuda se bhi kya gila kare RANI tune to kabhi nahin ki uski ibadaat 
                                            
                                             
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
			 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #91 on: June 29, 2007, 01:10:03 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Humne tumse mohabbat ki To kya gazab ho gaya Tumne bhi to ki hai mohabbat Bas tumhe kisi aur se ho gaya
  Humaare baagoan mein phool naa ug sake Iski koi shikayat nahi hume Lekin uska veeran Kisi aur ke phoolon se baag ho gaya
  Duhman to nahi the hum Magar dost bhi naa ban sake Magar is inkaar se Judaai ka aaghaaz ho gaya
  Lamha Lamha mein jiska Intazaar kiya karti thi Woh kisi aur ka hoke, Humse Hamesha ke liye judaa ho gaya
  Apni manzil ki raah par Usne kya meri pyaas bujha di Mein pagli samajh baithi ke Usko mujhse pyaar ho gaya
  Lekin woh tehraa tha nadi Ye bhool gayi thi mein Aage chal kar woh Samandar ka ho gaya
  Har pal jiske naam ke diye Is dil mein jalaa karte the Woh kisi aur ka deepak banke Is dil mein andhera kar gaya 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #92 on: July 04, 2007, 05:20:39 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 dard ko sehne ki adaat hogayi hai aankhon ko begone ki adaat hogayi hai
  palkon ko ab koi chubne laaga hai sapno ko tootne ki aadat hogayi hai
  mordo ki tarha jeeye jaa rahen hain kadam kadam pe choot khaane ki aadat hogayi hai
  rishta jo bhi banaya woh haath se chuut gaya haathon ko khali rehne ki aadat hogayi hai
  zindagi ke safar mein hain hum tanha tanha ab hume akele chalne ki aadat hogayi hai
  kabhi jo peeya kerte the unki aankhon se RANI tabhi to peene ki aadat hogayi hai 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #93 on: July 05, 2007, 01:40:38 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 dil se roe magar hothon se muskura baithe yun he hum kisi se wafa nibha baithe
  woh hame ek lamha na de paye jinke liye hum apni zindagi gawa baithe
  jin aankhon mein sapne naaye sajaye the aaj usse paani se baaha baithe
  na kabhi jis chahat ko bhujne diya humne ussi se apni duniya jaala baithe
  kya khabar thi ke her koi apna nahi yahan aur ek hum the jo her kisi ko apna baithe
  ab ehsas kerke kya hoga kuch haasil? tum to khud RANI gham ka rog laga baithe 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #94 on: July 05, 2007, 06:49:52 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 KADAM YUHI DAG-MAGAA GAYA RAASTE SE WARNA SAMBHALNA HUM BHI JAANTE THE
  THOKKHAR BHI LAGI TOH US PATTHAR SE JISE HUM APNA JAHAAN MAANTE THE 
  HOTI PEHLE KHABAR TOH NA TAKTE YE RAAH JIS RAAH KO HUM APNI MANZIL MAANTE THE
  AAJ AANKHON MAIN DE HAI NAAMI USNE JIS SHAAKS KO HUM HASNA SIKHATE THE
  HEY DIL AB TU HI BATA KIS TARHA HOGA GUZARA US BEWAFA KO TOH HUM DHADKAN MAANTE THE
  NA LIKHI JAAYE GI AB YE PURDARD KAHANI JIS QALAAM SE RANI CHAHAT KA NAGMA LIKHTE THE 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #95 on: July 08, 2007, 12:44:27 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Mohabbat ko hamarai tum ehsaan samajhte ho Meri waafai ko sare aam badnam karte ho
  Kehte ho hum ko ke tum se pyaar karte hai lekin bhari mehfil mein mujhe apne kehne se darte ho
  ye kaisa pyaar hai tumara hum samaj nahi paate ke saath chal rahe hain phir b haath mera thokrate ho
  dikhawe ke pyaar se hota nahi kuch haasil ager pyaar hai hi nahi to pyaar kyun jatate ho
  arre pyaar ka ehsas to dilse hota hai magar tum to mera dil jalate ho
  aise pyaar ka hume kya kerna hai RANI ke duniya ke der se apna pyaar chupate ho 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #96 on: July 08, 2007, 12:45:00 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Mohabbat karne ka aaj tumne jo inaam diya hai Us inaam ne mere dil pe marham ka kaam kiya hai
  Socha tha ke sab dard bhul jayungi tere sang magar kya pata tha ke ek aur dard meine apne naam kiya hai
  jis pe apna sab kuch luta diya humne aaj ussi ne sare aam mere pyaar ko badnaam kiya hai
  jisne iss dil ko pyaar kerna sikhaya hai ussi ne pyaar ko door kerke ye kaisa karaam kiya hai
  ab bhi ungliyon se unka naam likhte hain jaane iss dil main bacha paigham kiya hai
  ab to kuch khone ko bacha nahi humare pass aaj RANI ne apne pyaar ka mataam kiya hai 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #97 on: July 08, 2007, 01:33:26 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Ab aur kya kahoon ae yaara tujhko Tune bhi aaj kar diya parayaa mujhko
  Tu nahi sath mere to kuch bhi nahi hai Paraya lagta hai khud ka bhi saya mujhko
  Tumhare dil ki khwahish puri ho gai shayad Aaaj tumne jee bhar rulaya mujhko
  tumne jo mere paigham nahi jalaye balke aaj tumne jalaya mujhko
  pyaar koi khel nahi jo khel ke choor diya khud to tumne aisa kya per kyun samjhaya mujhko
  Ab jee kar kya karen is duniya main RANI Ab jahan sae utha le ya khudaya mujhko.. 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #98 on: July 09, 2007, 03:24:45 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 na chino tum mere dil ka qarar na khelo tum mere dilse yaar tum kya jaano hota hai kya pyaar tumne toh bas kya hai mujh pe vaar
 
  kya tha jitna yakeen tumne thoor diya tumne bhi mujhse muh moor liya sapno ko mere tumne chuur kiya aisa bhi meine kya kasoor kiya
 
  nahi tha pyaar to keh dete hum tera woh gham bhi seh lete ek tarfa pyaar mein hi jee lete tujh se kabhi koi shikwa na kerte
 
  ab pyaar ki fiza na kabhi chale gi na kisi ki yaad ki hichkiyan hume satae gi na koi pyaar ki kahani ye qalaam likhe gi na ab kisi ko RANI apne dil mein basae gi 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #99 on: July 11, 2007, 01:07:05 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 jaate jaate na palat ke dekha dil se aayi yehi sada phir kab aayo ge thaam gaya jo barsaat ka paani aankhon ke baraste paani ne kaha phir kab aayo ge
 
  haath se haath jo choot gaaye sapno ke gher jo thoot gaaye khaali haathon ne ki ye duaa phir kab aayo ge
 
  mile the jahan wahin bichre thoot gaaye ab sab silsile jaati her raahon ne poocha phir kab aayo ge
 
  pyaar ke phool jo khile the phatte bhi muskuraye the ab girre phatton ne pukara phir kab aayo ge
 
  ab kya kahen hum sabse thoota hai dil ye kabse shaama ne bhuj ke RANI se kaha phir kab aayo ge 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #100 on: July 11, 2007, 03:26:33 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 dil ki thanai se aksar mulakat hoti hai jab teri khamoshi sath hoti hai
  fer se tu aa jaye kahien se ik baar bus meri roz khuda se yehi ik fariyaad hoti hai
  apna gham chupa ke muskura dete hain mehfil mein jab kabhi teri baat hoti hai
  roshni se jaise ek dar sa lagne laga hai ab to jeevan mein her soo gham ki raat hoti hai
  dil mein jaane kaisi umeed hai jagti jab kabhi kareeb teri yaad hoti hai
  mujko rulana hi tu kahin se aaja ab RANI kahan inn aankhon se barsaat hoti hai 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #101 on: July 15, 2007, 02:39:21 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 raat ki khamoshi mein kuch gungunaa lete hain dard ko lafzon mein dhal ker nagma bana lete hain
 
  aashq to aankhon se yunhi nahi beeta hai hawa ke aanchal se usko dil mein utar lete hain
 
  tanhaayi ki roshni hai itni mashoor  ke hum saare diye bhuja lete hain
 
  ban baithe the unke pyaar mein itne deewane ke ab baat pe baat muskura lete hain
 
  poochta hai jab koi waaja iss dard ki to ret mein tera naam likh likh ke mita lete hain
 
  ki jisne bewaafayi woh to hochuke kisi aur ke aur bewaafayi ka mod RANI pe laga lete hain 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #102 on: July 20, 2007, 04:48:51 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Iss raat ki tanhai se iss dard ki gehrai se ye dil kuch baat kar raha hai zara samjo in fizaon ki chubhan ko aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai
 
  zuban to hai khamosh per ye dil ho raha hai madhosh lage aisa ke tumse mulakat kar raha hai zara samjo in fizaon ki chubhan ko aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai
 
  aansoun ne bhi ye kaha kya hogaye hum judaa ro ro yehi fariyaad kar raha hai zara samjo in fizaon ki chubhan ko aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai
 
  dasne laga raat ka saama na jal paaye ab koi shaama tujh pe koi jaan nisar din raat kar raha hai zara samjo inn fizaon ki chubhan ko aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai aaj fir tumhe koi yaad kar raha hai 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							CoolGirl
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #103 on: July 21, 2007, 03:47:07 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 ek bewafa se pyaar kerne ki saaza ye paayi hai hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai
 
  nazrein unne dhoondti thi jab her garri woh aate the nazar hume her kahin aaj jahan bhi hum dekhte hain,her jaga bas tanhaayi hai hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai
 
  aansoon mein hum apna dard chupa rahe hain dil ko her tarha se hum maana rahe hain her khushi hai door ab,gham ka khazaana umar bhar ki kamaayi hai hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai
 
  woh to meri waafa ko kabhi samaj na paaye hum toh unne apne dil mein the basaye sheeshe ki tarha dil bikar gaya,aur unke pyaar mein apni jaan gavayi hai hum ne toh tanha hi apni zindagi bitaayi hai 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	
		
		
			
				
					
						| 
							juleeus
							 
								Guest 
							 
						 | 
						
							
                                                                    
								  | 
								
                                                                
                 
									
									   «Reply #104 on: July 21, 2007, 05:46:47 PM »   | 
								 
						 | 
							 
 Yehi ishq hai, dil mein suiyan chuvoti hai dard beraham, us ke liye tadapta hai dil, per use na hota hai dard muskura kar auro ke samne tu chupa leti hogi dard  per ankhein rokte huye bhi nam ho jati hai, nahi rukta dard juban khamosh duniya ke samne seh lete ho dard ya khuda !, kya duja naam hai ishq ka......? dard 
						 | 
					 
					
						
							
								| 
								 | 
							 
								| 
								 | 
								
									 
									Logged
								 | 
							  
						 | 
					 
				 
			 |  
		 	 | 
	 |