Dard Ko Dard Men Dekha

by syednaami on May 12, 2008, 04:59:55 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3569 times)
syednaami
Guest
Reply with quote


Dard ko maine dard men dekha, -
Bante nasoor Zakhm-e-dil dekha, -

Patharon se bhi batan pukhta dekha, -
Ubhre har zakham se firaaq hi dekha, -

Khwaab pore na huey to phir kya hai, -
Bikhri chaahat ko dil men daba diya hai, -

Mujh men yar ke rangon ki ravish samaayi, -
Mit-ti nahin mitaaye ab yeh rangrezi, -

Apni Jibilaton ko mukhtalif dekha, -
Dard-e-dil ka sabab ishq men pinha dekha, -

Tabeebon ne yeh marz la-ilaaj dekha, -
Umarbhar Ranj-o-Alam ka yeh silsila dekha. -

-



(Syed Naami)

                         
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil Hai to Dard hai, Dard Hai to....! by sharmaarunkumar in SMS , mobile & JOKES
Dard hi Dard.... by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dard dard ki had mein by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dard ne itna dard diya by Ricky in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
.*.*.*Dard hi Dard.*.*.* by Style_guru in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 35 36 »
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: May 12, 2008, 09:15:45 AM »
Reply with quote


Dard ko maine dard men dekha, -
Bante nasoor Zakhm-e-dil dekha, -

Patharon se bhi batan pukhta dekha, -
Ubhre har zakham se firaaq hi dekha, -

Khwaab pore na huey to phir kya hai, -
Bikhri chaahat ko dil men daba diya hai, -

Mujh men yar ke rangon ki ravish samaayi, -
Mit-ti nahin mitaaye ab yeh rangrezi, -

Apni Jibilaton ko mukhtalif dekha, -
Dard-e-dil ka sabab ishq men pinha dekha, -

Tabeebon ne yeh marz la-ilaaj dekha, -
Umarbhar Ranj-o-Alam ka yeh silsila dekha. -

-



(Syed Naami)

                         
 



nice creation sayed ji
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: May 12, 2008, 09:47:11 AM »
Reply with quote
Achha likha hai aapne Syed Ji.. Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: May 12, 2008, 10:09:35 AM »
Reply with quote
nice creation sayed ji
Kaushik Saahib, aap ki hosla afzai par aapka mamnoon-o-mashkoor hun.

Achha likha hai aapne Syed Ji.. Applause

Mahiya jee, Aap ne saraha to dil khush ho gaya, shukriya.
Logged
mishi khan
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2008, 01:52:11 PM »
Reply with quote
acha hai
dua mango ki app ka liya
keep it up
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2008, 02:37:26 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Sami jee!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: July 02, 2008, 01:19:19 PM »
Reply with quote
Nice One Syed Bhaijaan,.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2008, 02:00:12 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Sami jee!!
Nice One Syed Bhaijaan,.

Buhat Mamnoon hun aap dono ka...
Shukriya Azeem bhaya aur Pooja Jee...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #8 on: July 05, 2008, 02:48:54 PM »
Reply with quote
Quote
Khwaab pore na huey to phir kya hai, -
Bikhri chaahat ko dil men daba diya hai, -

Wah bahut khoob likha hai aapne Syednaami jee  Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #9 on: July 06, 2008, 08:03:18 AM »
Reply with quote
Dard-e-firaaq se khud ko darte dekha, -
Mahboob se doori ka ahsaas dekha, -
Ishq ki qurbaani ka andaaz dekha, -
Muhabbat se doori men khud ko betaab dekha. -


(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-

Wah bahut khoob likha hai aapne Syednaami jee  Applause

Buhat shukriya,,, aap ki aamad ka mamnoon hoon...
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #10 on: July 06, 2008, 08:47:20 AM »
Reply with quote
Dard-e-firaaq se khud ko darte dekha, -
Mahboob se doori ka ahsaas dekha, -
Ishq ki qurbaani ka andaaz dekha, -
Muhabbat se doori men khud ko betaab dekha. -


(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-

Buhat shukriya,,, aap ki aamad ka mamnoon hoon...

hahaha bhaiya... aamad ka manoon? yeh kya hai? kaunsi bhasha hai bhaiya? Mai bi kuch likhna chaha but aapka shudda urdu
dekhkar idea drop kardiya .... tongue3
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 06, 2008, 09:23:21 AM »
Reply with quote
Nice One,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 06, 2008, 09:24:31 AM »
Reply with quote
Kuch to duniya ki inayaat ne rone na diya
Aur kuch Talkhiye Haalat ne rone na diya

Hum tou samjhe the, Bahar banke aayi hai khushi
Mili khushi tou humein, Khushi ne bhi rone na diya

Sitaro ki tarha purnoor thi , Qismat apni
Bewafa chaand ne usko bhi, Chamakne na diya

Sahil se bhatka huwa anjaan musafir hoon
Jisko lehro ne kabhi, Manzil se milne na diya

Mehbooba koi hai "Alam" Tou bas maut apni
Duniya walo ne ishq, Usse bhi karne na diya !!!!!!!
by Alam Qazi
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2008, 10:13:35 AM »
Reply with quote
Dil To Toot Chuka Hai
Kisi Nay Saath Jo Tora Hai
Khoon Ke Aansoo Roo Raha Hai
Kisi Nay Mujhay Jo Rulaya Hai
Sab Khushioon Say Moon Mour Chuka Hai
Kisi Nay Jo Mujh Say Moon Phaira Hai
Tanhaioon Ko Galay Laga Chuka Hai
Uss Nay Jo Kisi Oor Ka Sangg Paya Hai
Uss Bay Wafa Ki Yaad Main Her Pal Ro Raha Hai
Chaha B To Kis Bay Wafa Ko Chaha
Jis Nay Mujhay Her Pal Roonay Ke Liay Chora Hai
Nazrain Milana Gawara Nahi Baat Karna Bi Gawara Nahi
Werna Main Poochta Uss Say Ke..
Yeh Kis Baat Ka Hai Silla
Ya Yeh Bi Tumhari Adaoon Main Shamil Hai
(NM)
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: July 06, 2008, 07:32:47 PM »
Reply with quote
hahaha bhaiya... aamad ka manoon? yeh kya hai? kaunsi bhasha hai bhaiya? Mai bi kuch likhna chaha but aapka shudda urdu
dekhkar idea drop kardiya .... tongue3

hahahaha,,, arey simple hai...
Matlab...
"aap ke yahaa aane ka aabhari hun..."
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 23, 2024, 11:30:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer