~~:duniyaaN ko uskaa naam bataaye baithe haiN:~~

by ek_tamanna on February 04, 2011, 10:49:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 993 times)
ek_tamanna
Guest
Reply with quote
my 1st poem............


Dil ki raaz dil meiN chhupaaye baithe haiN
deewaangi meiN khud ko rulaaye baithe haiN

jo ghumta rahta hai khayaloN ki duniyaN meN
mohabbat ki aas unhi se lagaaye baithe haiN

kar lete hain hum do pal dostoN se baat agar
vo sochte hain ki unhe bhulaaye baithe haiN

na samjhe koi, chahat ke juzbaat ko fir bhi
hum sar-e-bazaar dil ko lutaaye baithe haiN

yeh ishq koi souda nahi jo kar leiN kisi se
log kahte hai hum sabko aazmaaye baithe haiN

hai kisi ke wafaa pe hum ko itnaa yaQeeN ke,
duniyaaN ko uskaa naam bataaye baithe haiN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ghumo ko ghalat karne baithe hain by bezaar in Shayri-E-Dard
Chupaye baithe hain by CoolGirl in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kuch log sitam karne ko taiyaar baithe hain. by download4me in Share: Poetry of Pain
**Dushman ban baithe hain yaar** RKH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
aajmaye baithe hain....... by manjum in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
nirala
Guest
«Reply #1 on: February 04, 2011, 10:56:31 AM »
Reply with quote
aapke First poem ka mujhe besbri se intezaar tha.
aur Aaghaaz aisa shandaar hai to Aaage to aur bhi behtareen hoga.
khubsurat ehsaas aur zazbaat ki bayani Tamanna ji.
bahut khub
"
thanx
"
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: February 04, 2011, 11:05:39 AM »
Reply with quote
Tamanna jee Aadaab!

Yo India meiN aapka suwagat hai... Usual Smile
Badi khubsurat kalaam kahi hai aapne... Usual Smile

Aapke khayaal aur ashaaroN ki gehrai kafi umdaa rahi..
          



my 1st poem............


Dil ke raaz dil meiN chhupaaye baithe haiN
deewaangi meiN khud ko rulaaye baithe haiN

Achcha matla hai daad Usual Smile          

jo ghumta rahta hai khayaloN ki duniyaN meN
mohabbat ki aas unhi se lagaaye baithe haiN

Kia baat hai achcha khayaali sawaal hai.. daad          

kar lete hain hum do pal dostoN se baat agar
vo sochte hain ki unhe bhulaaye baithe haiN

Oye hoye kia kahen bahut khoob..
Daad Usual Smile          


na samjhe koi, chahat ke juzbaat ko fir bhi
hum sar-e-bazaar dil ko lutaaye baithe haiN

Bahut khoob achcha sher hai... Usual Smile          

yeh ishq koi souda nahi jo kar leiN kisi se
log kahte hai hum sabko aazmaaye baithe haiN

Waah waah waah jee kia khoob kahi behad khoob tanz kiya hai daad daad daad Usual Smile          

hai kisi ke wafaa pe hum ko itnaa yaQeeN ke,
duniyaaN ko uskaa naam bataaye baithe haiN


Waah jee waah bahut khoob daad daad daad Usual Smile          


Masha Allah aap behad khoob likhti hai Tamanna jee..

Likhati rahiye..
Aati rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez.... Usual Smile          

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #3 on: February 04, 2011, 12:44:43 PM »
Reply with quote
Apki pehli poem k liye dhero mubarakbaad..bahut khoob tamanna ji..
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2011, 12:45:05 PM »
Reply with quote
my 1st poem............


Dil ki raaz dil meiN chhupaaye baithe haiN
deewaangi meiN khud ko rulaaye baithe haiN

jo ghumta rahta hai khayaloN ki duniyaN meN
mohabbat ki aas unhi se lagaaye baithe haiN

kar lete hain hum do pal dostoN se baat agar
vo sochte hain ki unhe bhulaaye baithe haiN

na samjhe koi, chahat ke juzbaat ko fir bhi
hum sar-e-bazaar dil ko lutaaye baithe haiN

yeh ishq koi souda nahi jo kar leiN kisi se
log kahte hai hum sabko aazmaaye baithe haiN

hai kisi ke wafaa pe hum ko itnaa yaQeeN ke,
duniyaaN ko uskaa naam bataaye baithe haiN


Bahut khoob ehsaas likhe hai aapne ... tamanna Ji ! chaahe beshaq pehli rachnaa ho ... bahut accha likha hai ... !

Very Nice Creation ... dil se daad !!!!!!!!
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2011, 03:26:30 PM »
Reply with quote
Tamanna Ji Aapki Ye Poem Bahut Hi Pyari Hai Padhkar Humein Bahut Accha Laga... Aap Humesha Yu HI Likhte Rahna Aur Khush Rhana
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: February 05, 2011, 03:55:38 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khoob jee..
Apki pehli post bahaut achi hai..
Bas yunhi likhte rahiye..
Khush rahiye..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ek_tamanna
Guest
«Reply #7 on: February 11, 2011, 12:47:40 PM »
Reply with quote
aap sabka bahut bahut sukriya
meri poem ko pasand karne keliye ......

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: February 13, 2011, 09:05:10 PM »
Reply with quote
my 1st poem............


Dil ki raaz dil meiN chhupaaye baithe haiN
deewaangi meiN khud ko rulaaye baithe haiN

jo ghumta rahta hai khayaloN ki duniyaN meN
mohabbat ki aas unhi se lagaaye baithe haiN

kar lete hain hum do pal dostoN se baat agar
vo sochte hain ki unhe bhulaaye baithe haiN

na samjhe koi, chahat ke juzbaat ko fir bhi
hum sar-e-bazaar dil ko lutaaye baithe haiN

yeh ishq koi souda nahi jo kar leiN kisi se
log kahte hai hum sabko aazmaaye baithe haiN

hai kisi ke wafaa pe hum ko itnaa yaQeeN ke,
duniyaaN ko uskaa naam bataaye baithe haiN



bahut bahut bahut khoob tamanna ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:46:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer