har aane wali khushi ko, gam ki nazar lag jaati thi

by Ritesh Modi on September 14, 2012, 07:04:07 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2681 times)
Ritesh Modi
Guest
Reply with quote
woh josh-e-junoon, woh khoon ki rawani,
thi woh meri jawani ki nishane,

mehfil-e saja karti thi jaha se ham guzarte the,
gulistan ke phool bhi toh ham hi se mehakte the,

bade khoobsurat khwab ham ne sajaye the,
zindage ki har raah per ham muskuraye the,

phir jaane kab unka didaar hua,
jaane kaise unse pyaar hua,

unhone bhi toh izhaar kiya,
pyar ke badle mein pyaar diya,

duniya badi haseen hame lagne lagi thi,
jis din woh hame dekh muskurane lagi thi,

apni duniya ko ham ne bas unmein sameta tha,
unko paane ki chah ko zindagi se lapeta tha,

har pal dil bus unka didaar ko tarasta tha,
itna pyar kiya ki har shaksh ham par hasta tha,

logo ne kaha ek aur naam likhlo deewano mein,
dil bada khush hota tha jab yaar mera ye sun hasta tha,

yaar ne mere pyar ki kasmein thi khayi,
saath jeene merne ki zid thi jatayi,

phir jaane kya wajah hui mere dil ko jalane ki,
na socha tha jo, woh din dikhlane ki,

ekdum se woh badal gaye. wadon ko toh chodo woh hamko hi bhool gaye,
saath kisi aur ka pa, woh hamse jaise rooth gaye,

duniya hamari uss din ujadi thi,
jis din doli mere yaar ki uthni thi,

dil toota bhi hamara aur awaaz bhi hui thi,
bas uss bewafa hi ne woh awaaz nahi suni thi,

abh dard ka daur tha aur ruswayio se bhara manzar,
ashq tha aankho mein aur zakhmo bhara jahaan,

jeete bhi toh kaise, ki yaadein unki har pal satati thi,
har aane wali khushi ko, gam ki nazar lag jaati thi,

bas abh nahi hota tha aur bardast,
ke raatein bahut rote hue ham ne kaati thi,

phir jab hamara janaza nikala,
toh sara jahan pichhe uss janaze ke nekala,

bas woh hi na nikala darwaze se,
jiske pichhe mera janaza nikala....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab to woh bhi Ishq Ke maare Nazar Aane lage.....! by sharmaarunkumar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tere Aane Ki Khushi Mein... by Alam Qazi in Shayri for Khumar -e- Ishq
chaak seena kar de khushi ka..(nazar ghouri) by nazar ghouri in Miscellaneous Shayri
Aaine mein nazar aane lagi ho tum............. by satay in Shayri for Khumar -e- Ishq
BHAI NAZAR AANE LAGE by babasatyajaunpuri in Shairy-E-Watan
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 15, 2012, 12:26:54 AM »
Reply with quote
Good
Logged
Ritesh Modi
Guest
«Reply #2 on: September 15, 2012, 05:30:11 AM »
Reply with quote
Good
thank you...
Logged
Kailas taraware
Guest
«Reply #3 on: August 14, 2013, 11:05:41 PM »
Reply with quote
"visarata yet nahi tula yat majha Kay mahnuni guhna?
Kay mahnun visarave tula ha janm aahe ka puhna?
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 04:22:59 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer