Kisi ki bewafai

by A K Khan on September 26, 2004, 06:08:34 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3336 times)
A K Khan
Guest
Reply with quote
Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti
Zara sa dil to dukhta he magar shidat nahiN hoti

Bohat khud ko jalata hooN ye barsoN ki riazat he
Mire andar ki lekin door ye zulmat nahiN hoti

Ye dukh he ke kisi ne bhi hamiN dil se nahiN chaha
Zara sa piyar mil jata to ye halat nahiN hoti

Zamin-o-aasmaaN maiN ik tauluk to he sadyooN se
magar peda kahiN bhi rabt ki soorat nahiN hoti

Ajab hi falsfa he ye ameeri aur gharibi ka
ke umraiN sarf ho jati haiN kam ghurbat nahiN hoti

Bohat se khoob chehray haiN bohat si dilruba nazraiN
Tire hone se hoti thi jo kefi^at nahiN hoti

Hawala jab talak tera na aa jaye kahiN in maiN
mire sheroN maiN peda tab talak jiddat nahiN hoti

Tire gumnaam mer janay maiN AZHAR kya buraie he
ke her insaan ki kismat maiN to shohrat nahiN hoti

AZHAR
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kisi ki bewafai bais-e-herat nahiN hoti by A K Khan in Ghazals
Kisi ki bewafai by husain52 in Shayri-E-Dard
Khuda kisi ko kisi pe fida na kare by urs4evasomdev in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Dil kya kare...jab kisi ko kisi se pyar ho jaaye. by bauljee in Shayri-E-Dard
Kisi Ki Bewafai Bais-E-Herat Nahi Hoti by ishu_singh10 in Miscellaneous Shayri
Neelam
Guest
«Reply #1 on: October 03, 2004, 04:03:28 PM »
Reply with quote
very nice
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #2 on: October 05, 2004, 03:59:41 PM »
Reply with quote
Neelam ji
Aadab
Aap ne Ghazal ko fasand kia he is ke liye shukr guzar hooN

         Hamesha khush rahiye
Duago
AZHAR
Logged
Neelam
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2004, 09:01:39 AM »
Reply with quote
kaise pasand na aata ak khan itna acha jo likha aap ne! good work!
Logged
mnajmi
Guest
«Reply #4 on: October 06, 2004, 01:23:46 PM »
Reply with quote
wah kya baat khan bhai

Yeh tasavvur main bhi na tha hogi judaii bhi kabhi
Saza aisi hogi unsay dil lagaye ki kabhi
Hum to unki wafa ki laytay thay kasmain
Bewafa aisi nikli kay nazar milayee na phir kabhi
Logged
zindagi_kal_ho_na_ho
Guest
wah
«Reply #5 on: October 07, 2004, 07:30:07 AM »
Reply with quote
aap ne accha likha hai , agar aap thoda aur isko aur dard bhara likhe to bhut hi accha legi yeh nazam. keep the good work on
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: October 09, 2004, 07:50:47 AM »
Reply with quote
nice mnajmi.....................

humne manga tha sath unka
woh judai ka ghum de gaye
hum yadoon kay saharey jee letay
woh bhool janey ki kasam dey gaye !!!
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #7 on: October 09, 2004, 01:19:44 PM »
Reply with quote
Bohat  Bohat  Shukria Neelam ji
Logged
A K Khan
Guest
«Reply #8 on: October 09, 2004, 01:24:10 PM »
Reply with quote
M Najmi ji

Aap ke ashaar perhker mujhay bhi eik sher yad aa raha he

Aap ki nazr kerta hooN
     
                    Mat toot ke chaho use aaghaze safar main
       
                    BichRe ga to her eik ada tang karte gi......


AZHAR
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: October 09, 2004, 02:48:02 PM »
Reply with quote
nice a.k.khan...................
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #10 on: November 01, 2004, 08:28:55 AM »
Reply with quote
GOOD A.KHAN. KEEP WRITTING...!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: November 02, 2004, 10:48:10 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob A.K.KHAN JI!!!!!
bahoot khoob  Waheed_rose and mnajmi!!!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #12 on: November 06, 2004, 02:10:37 PM »
Reply with quote
VERY WELL ALL.........!!!!

KUCH ISHQ THA KUCH MAJBORI THI,SO MAIN NY JEVAN WAR DIYA
MAIN KAISA ZINDAH ADMI THA AIK SHAKS NY MUJH KO MAR DIYA
MAIN KHULI HUI IK SACHAI , MUJHY JANY WALY JANTY HAIN
MAIN NY KIN LOGON SY NAFRAT KI OR KIN LOGON KO PYAR DIYA
WO ISHQ BOHAT MUSHKIL THA MAGAR ASAN NA THA  YUN JEENA BI
AIS ISHQ NY  ZINDAH REHNEY KA MUJHY ZARF DIYA PAINDAR DIA
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 08, 2004, 10:37:59 PM »
Reply with quote
NICE!!!
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #14 on: November 10, 2004, 02:04:05 PM »
Reply with quote
Bewafa to use kehte hai jo wafa nahi karte,
Agar tumse pyar na hota to tumhe bewafa kaise kehte,
Phirbhi tumne mere pyar ka aisa sila diya hai,
Ke tumhe bewafa kehna bhi bewafai ki tauheen hoti hai
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 17, 2024, 04:08:40 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer