KOI BAAT NAHI ....

by majid on July 24, 2006, 03:05:34 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1976 times)
majid
Guest
Reply with quote
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi
Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi
Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se
Safeena doob raha hai, to koi baat nahi
Rakha tha aashiyana-e-dil main choopa ke tumko
Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi
Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hi ne tor diya hai to koi baat nahi
Kise majaal kahe koi mujh ko deewana
Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi..n/m
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
koi baat nahi by sahil_17n in Shayri for Khumar -e- Ishq
koi baat nahi by jindagi in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
koi baat nahi. by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
bas ki baat nahi by sharma.reema@yahoo.com in Shayri-E-Dard
* Is Baat Se Khafa Nahi by malli in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: July 25, 2006, 09:52:02 AM »
Reply with quote
nice one majid.......
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #2 on: August 03, 2006, 10:30:22 AM »
Reply with quote
naa aye tum mere dar pe koi baat nahi
na suni tumne meri sada koi baat nahi
meri kabar pe aaj koi phul nahi tere naam ka
bas ghar pe apne muskura deda
naa bhi aao to koi baat nahi......
Logged
Sonu
Guest
«Reply #3 on: August 10, 2006, 06:27:49 AM »
Reply with quote
bahut khoob Majid bahi... or Vikas ji app donu ney bahut acha likha hai....


humara yaar humey bhul gaya
unki yaad dil meyra jhanjhol gaya
koi bat nahi jo vo humey tanha chud gaye
ek din to unko humsey milney ana huga
na mil sakey es jhaan mey to agley jahan mey to ana huga
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: September 01, 2006, 02:23:01 AM »
Reply with quote
your most welcome Majid bhayiaa...



Quote from: "majid"
shukariya behna aapne bhi achha likha hai ...


kash hum tumhare un aasuvo ki tarha hote
ju tumhare aankho se nekal kar
tumhare galo ko chumkar
tumhare honto pe dum todte
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: September 01, 2006, 02:24:57 AM »
Reply with quote
Mayoos mat hona yeh aik gunnah hota hai
Milta wahi hai jo qismat main likha hota hai

Har cheez miley humain yeh zaroori tou nahi
Kuch cheezon ka zikar doosre jahan main hota hai

Jo khud ko kostey hain woh shayed bekhabar hain
Kuch paa leney ka ikhtiyar khud pe bhi hota hai

Har ek ko gunagar keo thehrayein hum
Apne samne bhi tou ek ayeena hota hai

Hum apni zindagi se keo haar jayein
Gar doobta hai sooraj tou kal bhi ujala hota hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: September 02, 2006, 10:06:07 PM »
Reply with quote
thanks bahi.... bahut khoob likha hai tumney bhi... yeo hi likhtey rahow...

Hasta huya dekh kar log kehte hain ke hum gam se khali hain,
par unhe kya pata ke jo gam ke baagh hain,
hum us baagh key mali hain..
 

Quote from: "majid"
wow kya baat hai sis bohat achhe

Mohabbat ka mutlub tumhi nay to sumjhaya hai
Tumhare siwa saari duniya ne thukraya hai
Hum na to har lamha tujh ko hi chaha hai
Duniya ki kis ko fikar, jub se tumhe apna banaya hai
Tum se door hokar, dil ko yaadon se behalaya hai
Teri adaoun ne jeene ka ik naya mod dikhaya hai
Aaj bhi yeh dil darwaazay ki har aahat peh dhadak uthta hai
Ke shayad koi tera hi peghaam laya hai
Logged
natural
Guest
«Reply #7 on: September 04, 2006, 07:58:27 AM »
Reply with quote
Wonderful Job Majid, Vikas and Gesu.... Safeena ka matlab kya hota hai.... Puzzled !
Logged
natural
Guest
«Reply #8 on: September 05, 2006, 10:03:56 AM »
Reply with quote
Aapki pehli waali shaayari mein sirf yahi word thha jo merey samajh nahi aaya.... Waisey aapne wakayi kaafi achha likha hai.... Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: September 05, 2006, 01:40:36 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Majid Bhai,..
Kamaal Kar Diya Apne,..
Is Thread mein,,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: November 25, 2006, 12:11:20 PM »
Reply with quote
Pheko Mat Janaab
Logged
Sonu
Guest
«Reply #11 on: November 27, 2006, 05:37:29 AM »
Reply with quote
laughing4laughing4 Azeem bahi .. Majid bahi sab ko yahi kehtey hia.... hahaahaa

 sabney bahut acha likha hia... lagey rahow dostooo.....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: November 27, 2006, 05:38:28 AM »
Reply with quote
bahut hi yaad aata hai, mere Dil ko tadpata hai,
woh tera paas na hona, bahut mujhko rulaata hai......
woh mera teri aankhon ke samandar mein uttar jaana,
aur teri muskurahat ke bhanwar mein doobte jaana.....
teri awaaz ke saher se na nikal paana,
tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana.....
bahut chaha inn guzre hue lamhon ko na sochun,
na teri yaad mein reh ke tere saath ka sochun.....
bhula doon saari yaadon ko, ke jin se Dil tadapta hai,
ke jin se tapish uthti hai, ke jin se dard hota hai.....
magar jab raat aati hai, to teri yaad aati hai,
tere hi khwaab hote hain, teri hi baat hoti hai......
toh tay paaya ab mumkin nahi tujh ko bhula dena,
teri yaad mein rehna, tujhe hi sochte rehna....
tujhe jab yaad karte hain, toh Dil apna tadapta hai,
woh tera paas na hona, bahut mehsoos hota hai....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: December 06, 2006, 02:06:43 PM »
Reply with quote
Shukriya Sonu Didi,..
And Majid Bhai,..
aap Dono Ne Kamaal Ka Likha Hai,..
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: December 07, 2006, 05:31:38 AM »
Reply with quote
acha acha baba thik hai.... meyney kab kha majid bahi key apney kuch galat khaha hia achi baat hai apko dusru sey inspration milti hai or app phir likhtey hai muhjhey bhi to app sab sey hi inspration miltihai to hi to likh pati hoon... majid bahi yeo hi majak ker rahi thi....

shukriya majid bahi...

Quote from: "majid"
arey sis jo sach hai wahi to keh raha hoon na main
sahi hai na maine sab aap sabhi se to sikha hai na
to usme jhuth kya baat hai?....

kher aap ne bhi bohat achha likha hai
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 04:57:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer