meri nazar mein

by NABROY on March 08, 2008, 01:52:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 766 times)
NABROY
Guest
Reply with quote
Meri nazar mein apni nazar baar baar rakh
Ek Teer Dil, jigar kay hamesha hi paar rakh

Daman mein uskey gul, meri rahon mein khaar rakh
Ek haath mein sitaray aur ek may ghubaar rakh

Dharkan per apni kuch bhi to, tu ekhtiyar rakh
Aiy beqraar dil too zara to qraar rakh

AankhoN ko ho sakay to zara ashkbaar rakh
"Paiwastah rah shajar sey ummeed-e-bahar rakh"

Gham sey jo hai Talluq usay ustwaar rakh
Rakhna hi hai agar to dil-e-sogwaar rakh

Sarchashma terey dil mein muhabbat ka hai agar
Sookhay har aik hont pey aansoo ki dhaar rakh

Aiy maut zindagi ka abhi haath main hai haath
Thamoonga Tera haath bhi, Tu aitbaar rakh

Dil mein nahin jo ishq to kahey ki bandagi
Sajday mein apnay sar ko agarchey hazaar rakh

Kaaba agar nahin to isay butkada bana
Dil mein Khuda ki yad ya Tasveer-e-yar rakh

Hamlay shadeed hongey anaa key khatib phir
Qaaim khudi key gird Khuda ka hisaar rakh
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 09:56:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer