mohabbat ka khat

by nishita on February 21, 2005, 10:16:43 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1950 times)
nishita
Guest
Reply with quote
Is mein koi shikvaa na shikaayat na gilaa hai
ye bhi koi khat hai ki mohabbat se bharaa hai

Kya yaad dilaayenge mujhe mere sitamgar
har naqsh-e-sitam khud mere seene pe likhaa hai

Mujhko meri aavaaz sunaai nahi deti
kaisaa ye mere jism mein ik shor machaa hai

Chehre mein hai aainaa ki aaiine mein chehraa
maalum nahi kaun kise dekh rahaa hai.....

nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khat!!! by Ravi_Dave in Shayri for Khumar -e- Ishq
khat by tabassum shakeel in Shairi - E - Zindagi « 1 2 ... 6 7 »
MEIN NEY US KHAT KO by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khat...... by ~princess~ in Shairi - E - Zindagi
Khat by Deepak Subi in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4 »
Ajnabee Anjana
Guest
«Reply #1 on: February 21, 2005, 04:36:02 PM »
Reply with quote
mujhpe kiye tune jitne sitam
na bhool sakay yeh aj tak hum
tum ne ki hogi koshish bhoolany ki meri sanam
phir bhi yaad aynege jub gusar jayenge hum
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2005, 05:21:05 PM »
Reply with quote
wahhhh nishu and ajnabee ji!!! bohot ache!!!

 :D
Logged
nishita
Guest
«Reply #3 on: February 22, 2005, 11:33:57 AM »
Reply with quote
thanks ajnabee and meenu Usual Smile

Teri tasweer meri ankhon main basee kyun hai
Jidhar dekho bus udhar tu hi kyun hai

Teri yadoon say wabasta meri takdeer hai liken
tujhe naa paa ker meri takdeer roothi kyun hai

nm
Logged
Arifa
Guest
«Reply #4 on: February 22, 2005, 12:02:28 PM »
Reply with quote
excellent nishita


dil ki wadi par gum ka baadal
palkoo par aashkoo ka saya
mera dil na jane kion udas hai
ek anjana sa khuf
jaise kuch hone wala hai
shayad ye mere andar ka mosam hai
ye phir tum ko kho de ne ka dukh
jo mujh ko besukoon kar rha hai
lout kar aane ki umeed
ye phir mout ka intizzar
na jane dil kion udas hai
Logged
nishita
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2005, 09:46:35 AM »
Reply with quote
waah arifaa bohat khoob

Kashmakash mein hu ki kya karu,
Kuch samajh nahi aata ki kya karu,
Manzile samne hai par raaste nazar aate nahi,
Tufan itna hai ki saahil nazar aata nahi,
Madad mangu to kya mangu.....
Thama jo haath..wahi haath nazar aata nahi,

Dil ki dhadkane bhad jaati hai...
Dil ghabrata hai.....
Yahi sochar ki tumhe kho chuki mein,
Dil tham ke bheth jaati hu,
Jaanti hu phir kabhi tumhe pa nahi sakti,
Par dil ko kaise samjhau samajh aata nahi,

Zindagi chalti rahegi, pata hai mujhe
Log milkar bhichadte rahenge, pata hai mujhe,
Par Un raho par tum na hoge......
Apni nadani se koya hai tumko,
Par dil to dil hai...kaise manau samajh aata nahi

Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi,
Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi.

nm
Logged
bond
Guest
«Reply #6 on: February 25, 2005, 05:29:40 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
waah arifaa bohat khoob

Kashmakash mein hu ki kya karu,
Kuch samajh nahi aata ki kya karu,
Manzile samne hai par raaste nazar aate nahi,
Tufan itna hai ki saahil nazar aata nahi,
Madad mangu to kya mangu.....
Thama jo haath..wahi haath nazar aata nahi,

Dil ki dhadkane bhad jaati hai...
Dil ghabrata hai.....
Yahi sochar ki tumhe kho chuki mein,
Dil tham ke bheth jaati hu,
Jaanti hu phir kabhi tumhe pa nahi sakti,
Par dil ko kaise samjhau samajh aata nahi,

Zindagi chalti rahegi, pata hai mujhe
Log milkar bhichadte rahenge, pata hai mujhe,
Par Un raho par tum na hoge......
Apni nadani se koya hai tumko,
Par dil to dil hai...kaise manau samajh aata nahi

Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi,
Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi.

nm


NICE ONE NISHI........
Logged
Arifa
Guest
«Reply #7 on: February 25, 2005, 08:17:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
waah arifaa bohat khoob

Kashmakash mein hu ki kya karu,
Kuch samajh nahi aata ki kya karu,
Manzile samne hai par raaste nazar aate nahi,
Tufan itna hai ki saahil nazar aata nahi,
Madad mangu to kya mangu.....
Thama jo haath..wahi haath nazar aata nahi,

Dil ki dhadkane bhad jaati hai...
Dil ghabrata hai.....
Yahi sochar ki tumhe kho chuki mein,
Dil tham ke bheth jaati hu,
Jaanti hu phir kabhi tumhe pa nahi sakti,
Par dil ko kaise samjhau samajh aata nahi,

Zindagi chalti rahegi, pata hai mujhe
Log milkar bhichadte rahenge, pata hai mujhe,
Par Un raho par tum na hoge......
Apni nadani se koya hai tumko,
Par dil to dil hai...kaise manau samajh aata nahi

Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi,
Kashmakash mein hu ki kya karu, Samajh aata nahi.

nm



superbbbbbbbbbbbbbbb nishi


ye jo raste hain bikhre inko zra sameth loon
ke talkh bohat hai fiza abhi mein saans loon tou kaise loon
ye musafataye mere pear mein ke raste ki khabar nahi
ke waqt kabhi hai ruka hoa tou kabhi hai thama hoa
kabhi chale tou yun chalne lage saddiyan pal mein guzar de
isi waqt ki tank jhank mein meri manzil kahi kho gi
mein bhatak gi hoon rha se kismat bhi meri so gi
ab ye raste aur musafataye meri zindagi ki rhatien
aabla pa hai mera safar aziyatien hain hum safar
ke ab rukoon ke chal paroon ye in rastoon ko sameth loon
Logged
nikki
Guest
«Reply #8 on: February 25, 2005, 08:22:15 PM »
Reply with quote
tooooo good all of u ....
Logged
nishita
Guest
«Reply #9 on: February 27, 2005, 10:17:41 AM »
Reply with quote
thanks bond arifaa Usual Smile and nikki... and wow arifa.. i just lov ur replies.. Usual Smile

dukh dard mein hamesha nikale tumhare khat
aur mil gai khushi to uchhale tumhare khat

sab chooriyan tumhari samandar ko sonp dee
aur kar diye hawa ke hawaley tumhare khat

mere lahoo mein goonj raha hey har ek lafz
meiney ragon ke dasht mei paalay tumhare khat

yoon to hein be-shumaar wafa ki nishaniyan
lekin har ek shay se niralay tumhare khat

jese ho umar bhar ka asasa ghareeb ka
kuch is tarah se meiney sambhaley tumhare khat

ahl-e-hunar ko mujh pe Wasi eatiraaz hey
meiney jo apne shar mein dhaley tumhare khat

parwah mujhey nahi hey kisi chand ki Wasi
zulmat ke dasht mein hein ujaaley tumhare khat

nm
Logged
Arifa
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2005, 07:27:49 PM »
Reply with quote
thanks nishi and superbbbbbb reply
Logged
nishita
Guest
«Reply #11 on: February 28, 2005, 08:51:04 AM »
Reply with quote
thanks arifa Usual Smile

Mere liye jab kabhi bhi aaye tera khat,
Mujhko muskurata hua paye tera khat.

Jo baatein na samjha saka tu mujhko aajtak,
Vo baatein barey pyar se samjhaye tera khat.

Khud par yaqeen mujhko hota nahi tabtak,
Jabtak na mere haath me aaye tera khat.

Kabhi pyar ki baatein kabhi ulfat bhara gila,
Yoon reh rehkar mujhpar sitam dhaye tera khat.

Likhna na ismey naam na mera pata tum,
Aisa na ho badnam mujhey kar jaye tera khat.

Jab kabhi bhi mujhko tanhaaii ne ghera,
Apni khoosboo se tanhaaii ko mehkaye tera khat.

Ho chuka bahut ab lafzon ka silsila ,
Kaash ki sang tujhko apney laaye tera khat.

Pyar agar mujhse hai to itna rahey khayal,
Ki khwab ke liye khwab na ban jaye tera khat

nm
Logged
Arifa
Guest
«Reply #12 on: March 04, 2005, 02:22:16 PM »
Reply with quote
wah wha nishi kiya baat hai


socha nahi acha bura , dekha suna kuch bhi nahi
manga khuda se rat din tere siwa kuch bhi nahi
jis khat par humari aankh ne moti bichaye raat bhar
bhaeja wahi khat use hum ne likha kuch bhi nahi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #13 on: March 04, 2005, 09:19:09 PM »
Reply with quote
ARIFA AUNTY SUPERB
Logged
Arifa
Guest
«Reply #14 on: March 05, 2005, 12:41:32 PM »
Reply with quote
thanks naveed uncle
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
June 18, 2024, 03:44:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[June 14, 2024, 12:39:06 PM]

[June 12, 2024, 11:37:13 AM]

[June 12, 2024, 11:14:40 AM]

[June 09, 2024, 11:49:10 AM]

[June 09, 2024, 11:47:00 AM]

[June 09, 2024, 11:40:00 AM]

[June 09, 2024, 11:37:18 AM]

[June 09, 2024, 11:33:51 AM]

[June 09, 2024, 11:29:53 AM]

[May 28, 2024, 08:41:09 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer