mohabbat se bhi nafrat ho gai hai

by Arifa on February 12, 2005, 10:19:27 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2707 times)
Arifa
Guest
Reply with quote
mohabbat se bhi nafrat ho gai hai
humie ye kesi whashat ho gai hai

fana kar daloon khud ko aur sab ko
ye kesi meri fitrat ho gai hai

jhan matlab wahi chahat hai milti
tijarat si mohabbat ho gai hai

kisi par zindagi qurban kar daye
woh chahat ik hasrat bun gai hai

bhula bethi hoon mein tujh ko abhi se
ye mujh se kesi gaflat ho gai hai

mujhe whashat thi jis dewangi se
wahi ab meri kismat ho gai hai  
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohabbat$nafrat by nice_off_me in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat Batne Se Mohabbat,Nafrat Se Nafrat Badhti Hai by @kaash in Ghazals
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: February 12, 2005, 12:10:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "Arifa"
mohabbat se bhi nafrat ho gai hai
humie ye kesi whashat ho gai hai

fana kar daloon khud ko aur sab ko
ye kesi meri fitrat ho gai hai

jhan matlab wahi chahat hai milti
tijarat si mohabbat ho gai hai

kisi par zindagi qurban kar daye
woh chahat ik hasrat bun gai hai

bhula bethi hoon mein tujh ko abhi se
ye mujh se kesi gaflat ho gai hai

mujhe whashat thi jis dewangi se
wahi ab meri kismat ho gai hai  


wah!!!!!!!!!!1  arifa  sis..............   excellent................
Logged
Arifa
Guest
«Reply #2 on: February 12, 2005, 01:10:59 PM »
Reply with quote
sukriya waheed bahi
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: February 12, 2005, 01:13:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Arifa"
mohabbat se bhi nafrat ho gai hai
humie ye kesi whashat ho gai hai

fana kar daloon khud ko aur sab ko
ye kesi meri fitrat ho gai hai

jhan matlab wahi chahat hai milti
tijarat si mohabbat ho gai hai

kisi par zindagi qurban kar daye
woh chahat ik hasrat bun gai hai

bhula bethi hoon mein tujh ko abhi se
ye mujh se kesi gaflat ho gai hai

mujhe whashat thi jis dewangi se
wahi ab meri kismat ho gai hai  


Superb dear.....real gud one...
Logged
Arifa
Guest
«Reply #4 on: February 12, 2005, 09:45:44 PM »
Reply with quote
thanks creator ji
Logged
thycreator
Guest
«Reply #5 on: February 13, 2005, 06:05:41 AM »
Reply with quote
Arifa ji.....apke liye

Ishq mein aashikon ne bada kam kiya hai,
Ek bewafa ki yad mein din ko sham kiya hai,
Ek hum hi hai jisse muhabbat ka salika na aaya,
Humne toh uske nazar apna har ek jam kiya hai.
Logged
Arifa
Guest
«Reply #6 on: February 13, 2005, 12:34:15 PM »
Reply with quote
wah wah kiya baat hai creator ji
kuch hum bhi arz karien


pyaar ka matlab khawab nahi hota
bahkne ka matlab sharab nahi hota
zindagi mein kuch sawal aise bhi hote hain
jin ka koi jawab nahi hota
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: March 05, 2005, 05:27:08 PM »
Reply with quote
wow  meri  arifa  sis..........  thy.........  :lol:
Logged
Arifa
Guest
«Reply #8 on: March 05, 2005, 05:35:02 PM »
Reply with quote
thanks waheed bhai
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: March 05, 2005, 05:47:31 PM »
Reply with quote
jise chaha tha humne khuda se badhkar,
wo aaj nazar aate hai khudgarg bankar,
rahi zindagi to batayenge unhe humbhi,
ki maut se bhi badtar hai zindagi bewafa bankar.
Logged
dolly
Guest
«Reply #10 on: March 05, 2005, 06:01:59 PM »
Reply with quote
wah wah!!! Usual Smile  Usual Smile ....Nice Arifaji....thycreatorji....panditji.....bahut khoob....really tooo goood allzzzzzz.....

woh nahi rehte wahan jahan meri parchaayi hai..
aise bemurrawat ke saath rehne ki kasam khaayi hai..

unki itni parwaah ki ,ke woh beparwah ho gaye..
aankh kabhi sookhi nahi...har pal hi nami aayi hai...

bewafa gar hum hote to koi baat hi nahi thi...
wafa karke humne ..wafa karne ki sazaaa paayi hai...(little modified)
Logged
pandit
Guest
«Reply #11 on: March 05, 2005, 06:08:00 PM »
Reply with quote
bahut achaa dolly...........
Logged
dolly
Guest
«Reply #12 on: March 05, 2005, 06:21:12 PM »
Reply with quote
Thank u Panditji Usual Smile

jeene ki mujhko dua de gayaa...
ghamon ka ek silsila de gayaa..
akela chod mujhe ,jeewan safar mein..
maanga tha kya woh kya de gayaa..
toda iss kadar dil aawaz bhi naa aayee..
ghume judaai se anjaan tha..
tohfa -mohabbat woh nayaa de gayaa...(nm)
Logged
pandit
Guest
«Reply #13 on: March 05, 2005, 06:24:04 PM »
Reply with quote
wo kya gaye zindagi se ki saari khushi chin gaye,
bahaar se zindagi thi ab veeraan ban gaye,
kabhi uska naam lekar jeete the hum,
aaj wo aansuo ko hamari zindagi kar gaye.
Logged
dolly
Guest
«Reply #14 on: March 05, 2005, 06:31:43 PM »
Reply with quote
wow!!

iss tarah se raah mein bikhri hui hai zindagi
anginat tukdon mein aaj banti hui hai zindagi..
pehle jo khushiyonse aabad thi..
aaj gham ki lau mein jal raqhi hai woh zindagii..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 01:20:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer