!!Sawaal!!

by amrita on June 15, 2005, 09:38:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1788 times)
amrita
Guest
Reply with quote
Bewafaai mein jab humne apni tabhaai machai
doston ke sawaalon ki kuch aisi lambi ferhist aayi

dedicated to all my friends in the entire universe!!

Kyon hai teri shayeri mein kadva sach
kaun hai woh zaalim jo de gaya itna dard

kyon duniya se itni rusvaai hai
kya milne waala har koi harjai hai

aisi bhi kya naubbat aayi hai
ke hothon se cigarette lagayi hai

sach batana humko
kya dhuein ne bhi unki tasveer banayi hai

har pal sharaab peekar madhosh rehtey ho
kya unhe bhulane ki koshish kartey ho

jaantey hain in sawalon ka jawaab nahi rakhtey ho
hum chahne waalo ki kya ek aarzoo puri kar saktey ho

kya sab kuch bhulakar apni zindagi
ek naye sire se shuru kar saktey ho..??


Yoindia waalon agar in sawaalon ka jawaab rakhtey ho
toh jaldh hi quote kar saktey ho!! heheh
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek Sawaal... by MøÐëRñ ÐëvDå$ in Shayri-E-Dard
Dil Ke Sawaal by Qutubuddin in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Sawaal..... by Style_guru in Shayri-E-Dard
SAWAAL.!! by qalb in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
fakharenaveed
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2005, 10:02:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
Bewafaai mein jab humne apni tabhaai machai
doston ke sawaalon ki kuch aisi lambi ferhist aayi

dedicated to all my friends in the entire universe!!

Kyon hai teri shayeri mein kadva sach
kaun hai woh zaalim jo de gaya itna dard

kyon duniya se itni rusvaai hai
kya milne waala har koi harjai hai

aisi bhi kya naubbat aayi hai
ke hothon se cigarette lagayi hai

sach batana humko
kya dhuein ne bhi unki tasveer banayi hai

har pal sharaab peekar madhosh rehtey ho
kya unhe bhulane ki koshish kartey ho

jaantey hain in sawalon ka jawaab nahi rakhtey ho
hum chahne waalo ki kya ek aarzoo puri kar saktey ho

kya sab kuch bhulakar apni zindagi
ek naye sire se shuru kar saktey ho..??


Yoindia waalon agar in sawaalon ka jawaab rakhtey ho
toh jaldh hi quote kar saktey ho!! heheh
buaht khoob ji
Logged
amrita
Guest
«Reply #2 on: June 18, 2005, 02:46:27 PM »
Reply with quote
doston ne kaha dukho ko bhul jaao
yaar ki bewafaai ko bhul jaao
til til kar martey ho roz
aisa na ho ki tum jeena bhul jaao..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: June 18, 2005, 02:55:42 PM »
Reply with quote
Kya bat hai Amrita ji.......nice.....

Kyu pareshan ho iss jeewan ke uljhe sawalon se,
Kisko kya mila hai yahan jeewan se ulajh kar,
Jee bhar jiyo yahan ki jaise kal ho hi nahi kabhi,
Khud b khud hongi mushkilein dur khud se sulajh kar....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #4 on: June 18, 2005, 10:03:23 PM »
Reply with quote
Badi aasaani se Dil lagaye jaate hain
Par badi mushqil se Wade nibhaye jate hain
Le jaati hai Mohabbat un rahon par
Jahan diye nahin Dil jalaye jate hain......
Logged
HumTum
Guest
«Reply #5 on: June 20, 2005, 09:45:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
Bewafaai mein jab humne apni tabhaai machai
doston ke sawaalon ki kuch aisi lambi ferhist aayi

dedicated to all my friends in the entire universe!!

Kyon hai teri shayeri mein kadva sach
kaun hai woh zaalim jo de gaya itna dard

kyon duniya se itni rusvaai hai
kya milne waala har koi harjai hai

aisi bhi kya naubbat aayi hai
ke hothon se cigarette lagayi hai

sach batana humko
kya dhuein ne bhi unki tasveer banayi hai

har pal sharaab peekar madhosh rehtey ho
kya unhe bhulane ki koshish kartey ho

jaantey hain in sawalon ka jawaab nahi rakhtey ho
hum chahne waalo ki kya ek aarzoo puri kar saktey ho

kya sab kuch bhulakar apni zindagi
ek naye sire se shuru kar saktey ho..??


Yoindia waalon agar in sawaalon ka jawaab rakhtey ho
toh jaldh hi quote kar saktey ho!! heheh


Aap se muafi chunga , badi mud'dat baad is mehfil mein aana hua ... aap ke sawal pdey !! sabse pehley to aap ke liye kuch arz hai .... Mulaiza farmaiye ..

mehfil-e-yoindia mein khud ko alaatreen misaal samjhtey ho
alaav jla ke dekho har shaks bashinda hai yha !!

ab aap ke sawaloon ke jawab mein ...


Kyon hai teri shayeri mein kadva sach
kaun hai woh zaalim jo de gaya itna dard


jawab !!!

dard kehtey ho tum jisey woh pyaar ki sougaat hai
shayri mein hai kadva sach, dil ke yeh jazzbaat hai !!


kyon duniya se itni rusvaai hai
kya milne waala har koi harjai hai


Jawab !!

mana ke har insaan ba-waffa nhi hota
sach yeh bhi hai ke har koi be-waffa nhi hota !!


aisi bhi kya naubbat aayi hai
ke hothon se cigarette lagayi hai


Jawab !!

khud ko jlaney ke liye hath mein cigarette uthai hai
kaseey khu duniya se ke sanam mera harjai hai !!


sach batana humko
kya dhuein ne bhi unki tasveer banayi hai


Jawab!!

haan!! duyien ne bhi uski tasveer bnai hai
cheek cheek ke kehta hai tera sanam harjai hai !!


har pal sharaab peekar madhosh rehtey ho
kya unhe bhulane ki koshish kartey ho


Jawab !!

peetey hai hum sharaab hosh mein aaney ke liye
unki bevffai ko waffa se nibaney ke liye !!


jaantey hain in sawalon ka jawaab nahi rakhtey ho
hum chahne waalo ki kya ek aarzoo puri kar saktey ho


Jawab !!

khul ke btau humey ke dil mein  justzuu kya hai
fanaah ker dengey khud ko, btao ke aap ki aarzuu kya hai ?


kya sab kuch bhulakar apni zindagi
ek naye sire se shuru kar saktey ho..??


Jawab !!

guzar to jayegi tere bagir bhi lekin
tere sath na guzari jo who zindgi hi kya !!
 

kaffi acha likh leti hai aap ... gar aur sawaal ho to le aayiga !! shidaat se intzaar krengey !!  

HumTum !!
Logged
amrita
Guest
«Reply #6 on: June 20, 2005, 07:01:02 PM »
Reply with quote
mujh se puuchiye to mujhse bura kaatib yahan koi nahi hai..aapne humein qaabil e tareef samjha
bahut bahut shukriyah!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2005, 09:01:28 AM »
Reply with quote
yun to hum mehfil mein muskuratey rehtey hai
kaun janey ki ankhooN mein sailaab hai kitna !!
Logged
amrita
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2005, 10:38:09 AM »
Reply with quote
khushk aankhon mein sailaab beshumaar hotey hain
dard bhari aankho ko pehchane aise awaam ab nahi hotey hain

dard ko dard se dekh kar
ab kisi aur ko hum dard nahi denge

dard bhari aankhon ko bhi zaroorat hoti hai pyaar ki
akhir dard hi toh unke humdard hotey hain..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: June 21, 2005, 10:56:13 AM »
Reply with quote
aaj phir unhone humein nazar andaaz kiya
kehna kya chahtein the hum,unhone kya sun liya
kuch kamee apni vafa-on main bhi thi
humne to ashkon se hi unhe rukhsat kiya
ho gayee thi dil ko kuch umeed si
unhone jo duur se hi hamein chedh diya!!
Logged
amrita
Guest
«Reply #10 on: June 22, 2005, 11:56:20 AM »
Reply with quote
khushiyon ko gehno ki tarah pehnna hum ne seekh liya tha
ruksat lete hue us bewafaa ne
in gehno ko hum se cheen liya tha
bewfaai toh sirf ek ne ki thi
lekin humne pure jahan se apna muh mod liya tha..
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: June 29, 2005, 09:52:05 AM »
Reply with quote
Honthon Pe Koyi Fariyaad Nehi
Tum Se Milan Ki Koyi Aas Nehi
Gum-e-Daurr Na Khatam Huya
Aur Zindgi Hamare paas Nehi
Saath Betaye Un Lamhaat Ka
Kiya Aapto Kush Ahsaas Nehi
Tamana-e-dil Tuti Kes Tarah
Es Baat Mein Koyi Baat Nehi
Tasuvver ke Pehlu Mein Bhi
Mulakaat Ka Ittifaaq Nehi
Logged
amrita
Guest
«Reply #12 on: June 29, 2005, 08:49:05 PM »
Reply with quote
gum e jahan mein khuda se fariyaad karne baithe hain
yaar bewafaa wafaai karne laut aaye yeh aas liye baithe hain...
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: June 29, 2005, 09:17:27 PM »
Reply with quote
bahut khoob everybody..................

aaj dil mein ek sawaal utha hai
poochna chahti hun main khuda se
aakhir yeh mohabbat banayi kyun

agar thi yeh rah kaanton se bhari
to masoom dilon ko dikhayi kyun

woh jo karte hain sacha pyar
unki kismat mein fir yeh judayi kyun???
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #14 on: July 04, 2010, 12:46:50 AM »
Reply with quote
bahut khoob everybody..................

aaj dil mein ek sawaal utha hai
poochna chahti hun main khuda se
aakhir yeh mohabbat banayi kyun

agar thi yeh rah kaanton se bhari
to masoom dilon ko dikhayi kyun

woh jo karte hain sacha pyar
unki kismat mein fir yeh judayi kyun???
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 07:22:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer