Yeh Kaisa Pyar Hai

by Devdas_online on December 14, 2005, 07:09:17 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1275 times)
Devdas_online
Guest
Reply with quote
Hum Neend Se Jaag Chuke Hain Magar Unka Khawab Abhi Bhi Aa Raha Hai,
Hume Thukra Kar Chali Gayi Hain Magar Abhi Bhi Dil Unhen Apna Keh Raha Hai

Humse Mooh Mod Kar Ja Chuki Hai Magar Phir Bhi Har Taraf Unka Chehra Dikhai De Raha Hai,
Hamari Zindagi Patjhad Ban Chuki Hai Magar Phir Bhi Nadaan Dil Use Bahaar Keh Raha Hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
@........Aapka Pyar Kaisa Ho?........@ by Devdas_online in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kaisa yeh Pyar hai.... by Kashish786 in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Kaisa yeh pyar hai,,,,, by Kashish786 in Shayri for Khumar -e- Ishq
kaisa ye pyar hai by fairy2633 in Shayri-E-Dard
***Aapka Pyar, Kaisa*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
uniqeyez
Guest
«Reply #1 on: December 18, 2005, 08:30:27 AM »
Reply with quote
Zakhmi Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko Deewangi ke Saath
Logged
uniqeyez
Guest
«Reply #2 on: December 18, 2005, 08:35:25 AM »
Reply with quote
Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon  Kinaarey  sey  Samandar  nahin dekha  jaata
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakhmi Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko Deewangi ke Saath
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

"Toou"badalta hai tu be-saakhta meri Aankhein
Apney Haathon ki Lakeeron mein ulajh jaati hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Waada "Woh" kur gaiey hain ke "Aain gey Khawaab mein
Maarey khushi ke neend naa aiey tu kiya karoon
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
 

Shaakh se kutney ka ghum , unn ko buhut tha
Phool majboor thay, hanstey rahey Guldaanon mein
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Ander lagi thi Aag magar be-khabar thay Log
Jultey huey Makaan ke bahar Dhooaan na Tha...
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Woh Ashk bun ke Meri Chashm-e-Tur mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai... Paani ke Ghur mein rehta hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Liptay kabhi Shaano'n sey,  kabhi Zulf sey uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tera saath hai tou mujhey kiya kumi hai
Andhairon se bhi mil rahi ROSHNI hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tumhein dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey thay
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Fakhar tou haasil hai, Burey hain ke bhaley hain
Do chaar Qadam Hum bhi, Terey saath chaley hain
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kabhi kabhie Woh humain Be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin Uss per abhi zamaaney ka
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Chehrey  ka   nisf hissa,  Zair -e- Naqaab  kur  ke
Kartey hain Husn waaley , Deedaar mein milaawat
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kabhi kabhi tou chhalak parti hain yoonhi be-sabab aankhein
Udaas      honey      ka     koi    sabab     nahin      hota
Mein  Waledain  ko  yeh  baat  kaisey  samjhaaoon
Mohabbaton mein " Hasab Nasab " nahin  hota
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik Muddat se meri "Maan" nahin Soi Teepu
Mein Ne Aik baar kaha tha mujhey "Darr" lagta hai
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Haath  Uss   ke  bhi  huey  hon  gey  yaqeenun  Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik Deewaana yeh kehtey huey hansta jaata
Kaash Manzil sey bhi Aagey koi Rusta jaata
~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dhoondta phirtaa hoon Mein logon mein shabahat uss ki
ke woh Khawaabon mein bhi lagti hai Khayaalon jaisi
  *~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum " Aah" bhi kartey hain tou, ho jaatey hain Bud-naam
Woh  Qatal  bhi  kartey  hain tou,  Churcha  nahin   hota..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 07:24:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer