Zakham

by guruu on October 07, 2007, 10:53:41 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1427 times)
guruu
Guest
Reply with quote
Phir Koi Zakhm Laga do K main Zinda hoon abhi,
Meri Pehchan Mita do k main Zinda hoon abhi,

Mery hoty hoye Tum Ashak Bahao tu Bura Lagta hai,
Meri Ankhon ko Rula do K main Zinda hoon abhi,

Aur Kuch to tum se hargaz na diya jaayega,
Mery Marny ki dua do k main Zinda hoon abhi,
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard
Zakham by Bharat in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
zakham by Sonu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~~~ZAKHAM~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Zakham by Sonu in Miscellaneous Shayri
Roja
Guest
«Reply #1 on: October 07, 2007, 06:11:11 PM »
Reply with quote
Very good. dil chu gaya aapka kalam...

Kisse de ilzam faisla nahi hota humse
Ek taraf sitam unka ek tarah pyar unka
Ya fir de ilzam dil ko apni berbadi ka
Jo kar baita pal ber main aitbar unka?
[/color]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: October 29, 2007, 12:56:30 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Guru,.
Aur Har Baar Ki tarah Roja Ji,.
Aapne Kamaal ka Likha Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 29, 2007, 01:01:55 PM »
Reply with quote
Zakham Itne Haare hain Muskuraayein Kaise,.
Wo Door Itne Hain Humse Unhe Paas Bulaayein Kaise,.

Bewafaai Ko Bhi Humne Mohabbat Ka Rang Samjha,.
Ab Mile Hain Gham Kitne, Ye Sunaayein Kaise,.

Laga Kar Dil Humne Bahoot Se Chotein Khaai Hain,.
Ab Jaan Kar Anjaan Phir Dil Lagaayein Kaise,.

___________________________________-Jaanasheen-

Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: October 31, 2007, 08:00:35 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Guruu, Roja and Jaanasheen bahoot hi acha likha hai...

Guruu ji apke shabd dil ko chu gaye!! bahoot hi jayada dard bhara hua hai apke ke ek shabd main!!! bahoot simple words mai apne bahoot gahre dard ko bayan kiya hai... Good Creation!!!


Nice reply Roja!!!

Lil bro hamesha ki tarah bahoot acha likha hai apne!!!


Kuch likhne ki koshish kar rahi hu... pata nahi jis najriye mai likh rahi hu wo najriya app padne wale samjh payege.....

Waqat ke sath badal jaata hai sab kuch
Magar kuch jakhmo ke saye nahi jaate

Rooth kar chale jaate hai kuch sathi
Kuch kar ke bhi wapis bulaye nahi jaate

Her khushi ke pal main, chamak jaate hai do ansoo ankhon mai
Lakh puche koi, kuch jawab kabhi samjhaye nahi jaate

Marne ki khwaish mai jeete rahte hai zindagi ko
kuch sapne hote hai aise, jo kabhi ankhon se thukraye nahi jaate!!!
Logged
Mr.King
Guest
«Reply #5 on: October 31, 2007, 08:21:44 PM »
Reply with quote
Great Pooja ji
aapse to tution lena padega  :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: October 31, 2007, 08:50:49 PM »
Reply with quote
App bhi kuch likhte to pata chal jaata ki tution fees kaya hogi apke liye tongue3

Mera Likha pasand karne ka shukaria!!!!

Zakhamo ke sung kabhi roye to kabhi samjhaya kiye
Her raat chand ke sath, ek ek pehar bitaya kiye

Khamosh taro se nahi ab koi shikayat hume
Unki khamoshi main, apni khamoshi ko milaya kiye

Na koi manjil ab na hi kisi raahi ka intzaar hume
Baith unke khayalo main, ab to din raat bitaya kiye

Zakhamo ke sung kabhi roye to kabhi samjhaya kiye
Her raat chand ke sath, ek ek pehar bitaya kiye!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: November 01, 2007, 11:40:44 AM »
Reply with quote
Shukriya Didi,.
Aur Har Baar Ki Taraah Great Bayan Hai Aapka,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2007, 03:58:30 PM »
Reply with quote
shukria Lil Bro
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: November 02, 2007, 12:32:29 PM »
Reply with quote
U Are Always Welcome Didi,.
Logged
pushp24
Guest
«Reply #10 on: November 07, 2007, 07:51:52 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Zakham Itne Haare hain Muskuraayein Kaise,.
Wo Door Itne Hain Humse Unhe Paas Bulaayein Kaise,.

Bewafaai Ko Bhi Humne Mohabbat Ka Rang Samjha,.
Ab Mile Hain Gham Kitne, Ye Sunaayein Kaise,.

Laga Kar Dil Humne Bahoot Se Chotein Khaai Hain,.
Ab Jaan Kar Anjaan Phir Dil Lagaayein Kaise,.

___________________________________-Jaanasheen-


bahut hi achha likha hai jaanasheen ji aapne...


muskurahat to bhadti jaati hai HAR zakham khane baad,
par jo apne hain unse door jaya nahin jata...

muhobbat ke rango ko ab tak samjha hai kisne,
iski daastan ko shabdon me bataya nahin jata...

jab laga liya dil kisi se to fir choton se darna kaisa JAANASHEEN,
jo dar gaye muhobbat karke to fir dil lagaya nahin jata...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: November 08, 2007, 01:25:04 PM »
Reply with quote
Great Reply,. :lol:
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 27, 2024, 11:19:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer