Dastane dil kya bayan karun

by BeNam on April 28, 2005, 07:28:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2103 times)
BeNam
Guest
Reply with quote
Kyun ruth kar chale gaye,
Humko akela chod gaye,

Chahte hai tumhe jaan se jyada,
Kyun tod diya sang rahene ka wada,

Kya karun is game dil ka,
kahan jake bayan karun hal dil ka,

Koi to sune fariyad meri,
Liye fir raha hun tasvir teri,

Samajhlo ab hal dile mera,
Laut aao ke ro raha hai dil mera,

Mar ke bhi na sakun payenge hum,
Magar yaad rakhana bahot yaad ayenge hum,

BENAM na bhula hai mahobat teri,
Teri judai ka gum jaan lega meri
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
gila karun to kisse karun ! by sammu1984 in Shayri-E-Dard
Kya KaruN? by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
dastane gham by Guest in Shayri-E-Dard
maat kar zikre dastane mohobat ka.. by roy in Allama Iqbal
Dastane Mohabbat by Jaabeer in Shayri for Khumar -e- Ishq
nishita
Guest
«Reply #1 on: April 29, 2005, 09:57:19 AM »
Reply with quote
Quote from: "BeNam"
Kyun ruth kar chale gaye,
Humko akela chod gaye,

Chahte hai tumhe jaan se jyada,
Kyun tod diya sang rahene ka wada,

Kya karun is game dil ka,
kahan jake bayan karun hal dil ka,

Koi to sune fariyad meri,
Liye fir raha hun tasvir teri,

Samajhlo ab hal dile mera,
Laut aao ke ro raha hai dil mera,

Mar ke bhi na sakun payenge hum,
Magar yaad rakhana bahot yaad ayenge hum,

BENAM na bhula hai mahobat teri,
Teri judai ka gum jaan lega meri


very nice Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: September 19, 2005, 05:11:32 PM »
Reply with quote
bahoot hi khoobsoorat likha hai apne BeNaam ji!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2005, 07:03:28 PM »
Reply with quote
---- Thanks Poojaji yeh toh Guru aapki zara nawazi hai -----

Usi darde dil ko banake apana sathi,
Aaj jhoom raha hun yadon main teri,
Nahi gam ke ban paye hum ger diya aur bati,
Yaad main teri shama jalayi jayegi meri!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Meena
Guest
«Reply #4 on: September 22, 2005, 05:22:17 PM »
Reply with quote
nicee benam ji.... :D
Logged
BeNam
Guest
«Reply #5 on: September 22, 2005, 08:00:37 PM »
Reply with quote
---------------Thanks Meenaji ----------
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: September 22, 2005, 08:39:26 PM »
Reply with quote
Ro bhi nahi sakty, ki pani ab in sooni ankho mai atta nahi
jakhmo per hansi atti hai, ankhon ko sona atta nahi!!!
Dil mai jab bhi kai sawal uthaty hai, kayun kisi ek ka bhi jawab atta nahi
Chal gai kayun wo aise rahon per, jis ka rasta wapis muj tak atta nahi!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2005, 02:23:53 AM »
Reply with quote
Tujh tak pahunchana tha manzil meri,
Lekin tu nahi hai shayad takdeer main meri,
Aaj bhi yeh haal hai ke dekhata hun tujhe,
Per her gali main pukarate hain deewana mujhe!

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: September 30, 2005, 09:58:12 PM »
Reply with quote
kismat mai jab judai ki lakeer hai
uske samne mai aor tu sirf ek fakeer hai!!
deta hai kayun khud ko dhoka, yah to takdeer hai
bichar kar bhi na hogy kabhi juda, payar wo janjeer hai!!!!
Logged
raj_sensitive
Guest
«Reply #9 on: October 11, 2005, 10:00:06 AM »
Reply with quote
Benaam sa yeh dard, thahar kyon nahi jaata
jo beet gaya hai vo, guzar kyon nahi jaata

Sab kuch to hai, kya dhoondti rahti hain nigaahein
Kya baat hai, main waqt pe ghar kyoon nahi jaata

Vo ek hi chahra toh nahi, saare jahan main
Jo door hai vo dil se, utar kyon nahi jata

Main apni hi uljhi hui, raahon ka tamasha
Jaate hai jidhar sab, main udhar kyoon nahi jata

Vo naam jo barson se, na chehra hai na badan hai
vo khwab agar hai toh, bikhar kyoon nahi jata

Jo beet gaya hai vo, guzar kyoon nahi jata
benaam sa yeh....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 11, 2005, 02:52:43 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob raj_sensitive!!!
welcome to Yoindia!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 13, 2005, 04:46:01 PM »
Reply with quote
Phir kisi yad nay shab bhar hay jagaya mujh ko
Kiya saza di hay mohabat nay khudaya mujh ko
Din ko aaram hay na rat ko hay chain kabhi
Janay kis khaak say qudrat nay banaya mujh ko

Dukh to yeh hay keh zamanay main milay ghair sabhi
Jo mila hay woh mila ban kay paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha meray ronay ko
Ghar ki deewaron nay seenay say lagaya mujh ko

Uoon to umeed-e-wafa tum say nahein hay koi
Phir charaghon ki tarah kis nay jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko

Woh diya hoon jo mohabat nay jalaya tha kabhi
Gham ki andhi nay sar-e-sham bujhaya mujh ko
kaisay bhoolon ga wohi wasl kay lamhay
Yad aata raha zulfon ka hi saya mujh ko (nm)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #12 on: October 13, 2005, 06:25:51 PM »
Reply with quote
excellent Pooja...................................very  touching words.........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: October 13, 2005, 07:30:59 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed!!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:35:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer