dil ko

by majid on November 27, 2006, 08:35:52 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1225 times)
majid
Guest
Reply with quote
Hum ne shama bana liya dil ko

Jab bhi chaha jala liya dil ko

Dard ne azma liya dil ko

Behisi ne bacha liya dil ko

Raja rani ki dastan pedh kar

Hum ne phir se sula liya dil ko

Tod dena tha zindagi ne par

Khudkhushi ne bacha liya dil ko

Zakham rakhe hain kis qareene se

Dekh main ne saja liya dil ko

Log seene main Qaid rakhte hain

Hum ne sar par chadha liya dil ko..N/M
Logged
neelimas
Guest
«Reply #1 on: November 27, 2006, 09:48:53 AM »
Reply with quote
Na jaane uspar itna yakeen kyu hai...
uska khyaal itna haseen kyu hai...
Suna hai dosti ka dard mitha hoota hai,
to ankh se nikla ansu itna namkeen kyu hai.....
Logged
phoenix
Guest
«Reply #2 on: November 28, 2006, 04:38:33 PM »
Reply with quote
bahut khoob majid bhai
Logged
neelimas
Guest
«Reply #3 on: November 30, 2006, 12:19:59 PM »
Reply with quote
Shukriya Majid Ji...

hamesha ki terah is baar bhi aapne bahut acha likha....


Humse Pucho kya hoota hai pal pal bitana,
bahut mushkil hoota hai dil ko samjhana,
Ye zindagi to beet hi jayegi,
bus mushkil hoota hai kuch lamho ko bhulana.......
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: December 03, 2006, 02:04:38 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Majid & Neelimas...
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: December 04, 2006, 09:13:17 AM »
Reply with quote
superbbb Majid n Neelimas....
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2006, 11:59:53 PM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
Hum ne shama bana liya dil ko

Jab bhi chaha jala liya dil ko

Dard ne azma liya dil ko

Behisi ne bacha liya dil ko

Raja rani ki dastan pedh kar

Hum ne phir se sula liya dil ko

Tod dena tha zindagi ne par

Khudkhushi ne bacha liya dil ko

Zakham rakhe hain kis qareene se

Dekh main ne saja liya dil ko

Log seene main Qaid rakhte hain

Hum ne sar par chadha liya dil ko



wah wah.. pehli baar aapko padne ka avsar mila.
Bahut pyara kalam pesh ki hai aapne Majid ji..

Jab tum juda huye they wo pal nazar main hai
Apni nazar ka aalme-hasrat nazar main hai

Jee ber ke dekhne ki tamanna ke bawajood
Ruk-ruk ke dekhna dhame-rukhsat nazar main hai

Shaamo-viraah jo mere lab taq na aa sakhi
Ab taq wo an-kahi-si hikayat nazar main hai

Ye dilkashi, kahan mere shayamo-saher main thi
Dunia teri nazar ki badaulat nazar main hai

Jalwo se kam nahi tere jawo ki yaad bi
Hairat main hai nazar, kabhi hairat nazar main hai

Pabandhi-makano-jama ut gayee "roja"
Jo chup gayee nazar se wo soorat nazar main hai..!!
[/color]
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: December 18, 2006, 01:57:43 AM »
Reply with quote
Quote from: "majid"
ab sitam na karna bhi sitam hota hai
jab koi gham nahin hota to gham hota hai

is kadar shidatien ahesa..e..illahi tauba
dil kisi shaks ka tooote to mujhe gham hota hai

jo hain zalim unhay kab koi saza milty hai
be kasooron ka hi sar qalam hota hai

hai yakin jisko ke har zarre main hain noore khuda
us ka sajda kahin pabande haram hota hai

mere bheehgi hui palkon ki tarf mut dekho
har kisse ko kahaan Andaaz..e.. gham hota hai

joke sajda mera betaab sa hojata hai
jab tasswoor main tera nakhsh..e..kadam hota hai

siraf ek lamhe main taarikh badal jaati hai
siraf ek lamha bhi sadiyon se aeham hota hai...


wah wah ji..

Lautna hai mujhe ghar aayega aakhir wo bi
Mai bi kurbat main hu, manindhe-musafir wo bi

Maine bi pyaas ke sahura main bade din kate
Jura-ye-aabh ko tarsa huwa tayeer wo bi

Mera dukh bi tere chehre se nahi khul sakta
Aur sare-bhajm hai furkhand bajahir wo bi

Uski hurmat ka mere dil ko bi hai p ass bahut
Chup rahega meri naamus ki khathir wo bi

Kya ajab hai ki, ye dil hosh se begana hua
Raat ka afsana bi diwangi tha sahir wo bi
[/color]
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 08, 2007, 08:29:04 AM »
Reply with quote
wah ji wah

gam ke saaye ban ke khanzar seene mein utar aayenge
dil ki gehrai se tanhaiyon ke shor ubhar aayenge

dariya-e-dushwari to paar karne ki qoowat* thi hamari
socha na tha raah mein kabhi ufante samandar aayenge

khawabon ki buniyaad par taamir ki thi imaarat hamne
ilzaam is tabaahi ke mere sar aayenge

aalam-e-khiza mein puch baithta hoon khud se aksar
jindagi ke safar mein kya kabhi bahaar ke manzar aayenge?

tay kiye ja raha hoon safar-e-sehra is umeed mein "HumDum"
paigaam-e-manzil dete raah mein kabhi gulistaan nazar aayenge
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 05:06:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer