!!Hisaab!!

by amrita on June 12, 2005, 11:08:24 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5751 times)
nikki
Guest
«Reply #15 on: June 17, 2005, 02:24:50 PM »
Reply with quote
very nice Amrita n Thy...............

mohabbat mein aye dost, kabhi gila nahi karte
luta dete hain jaan bhi parwah nahi karte..

kiya hai usse kitna pyar nahi hai uska hisaab hamare paas
kyunki pyar kabhi naap-tol kar kiya nahi karte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hisaab de sakoge................ by Aarzuu in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
hisaab(gul) by gulzargul in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hisaab de dega........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Ghazals
hisaab..........A.B by adil bechain in Shairi - E - Zindagi
Mere Pyar Ka Jo Hisaab by sinha_0005 in Shayri for Khumar -e- Ishq
thycreator
Guest
«Reply #16 on: June 17, 2005, 02:28:46 PM »
Reply with quote
Wah nikki ji.........bahut khoob..........

Hum dum aap sa ho toh kuch bhi kar jayenge hum,
Ye dil kya apni jaan bhi nahi dene se hatenge hum,
Par har shaks aapsa dildaar nahi hota aye dost,
Kab tak ek bewafa ke pyar mein aye hi jiyenge hum...
Logged
nikki
Guest
«Reply #17 on: June 17, 2005, 02:33:42 PM »
Reply with quote
bahut khoob Thy......

maante ho agar hamein dildaar
to kaise soch liya ki hum jaan mangege

sikha hai humne lotana
hum kissi se kya mangenge
Logged
thycreator
Guest
«Reply #18 on: June 17, 2005, 02:36:31 PM »
Reply with quote
Wah Wah Nikki ji........

Apki yahi ada toh mere dil ko lubhati hai,
Teri dosti mein bat khas nazar aati hai,
Kya naseeb hai mere ki tum mere nahi,
Warna ye jindagi khushi ke aagosh mein kat jati..
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: June 17, 2005, 02:47:11 PM »
Reply with quote
very nice again..Thy...

Milna bichadna to kismat ki baat hai
aap hamare dost hain
hamare liye yeh hi bahut badi baat hai

har koi har kissi ka pyar ban ke nahi aata
kuch dost ban jaate hain
koi saamne se hai guzar jaata
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: June 17, 2005, 03:07:53 PM »
Reply with quote
Waah!!! Bohot Khoob Amit ............... n Nikki........!!!!
Logged
amrita
Guest
«Reply #21 on: June 17, 2005, 04:56:44 PM »
Reply with quote
thanks a lot nikki and thy....u guys were too good

judaai ke dard ne humein bahut rulaya
doston ko bulaya koi na aaya

na jaane uss gair ke mann mein kya aaya
aasoon mitane ke liya apna rumaal laya

humne kabhi achi dosti ka sukh nahi paaya
sirf pyaar ko hi nahi doston ko bhi bewafaa paaya

zindagi ne humein ek hi tohfaa diya
na chahate hue bhi dard-o ko diya..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #22 on: June 17, 2005, 05:26:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
very nice again..Thy...

Milna bichadna to kismat ki baat hai
aap hamare dost hain
hamare liye yeh hi bahut badi baat hai

har koi har kissi ka pyar ban ke nahi aata
kuch dost ban jaate hain
koi saamne se hai guzar jaata


Wah nikki...........that was touching.......

Sach hai ki yahan kissi ko sab kuch nahi milta,
Kissi ko mile khushi, kissi ko gam bhi nahi milta,
Kya jane kaun se mod pe kal le jaye hame jindagi,
Kabhi dost mil jate hai par sanam nahi milta.....
Logged
thycreator
Guest
«Reply #23 on: June 17, 2005, 05:28:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Waah!!! Bohot Khoob Amit ............... n Nikki........!!!!


Thanx a lot talat........
Tumhe hum chu kar bhi guzar jaye toh ye jindagi mukkammal ho,
Tum toh ek farishta ho iss haiwano se bhari dunia mein..........
Kaisi ho aap?Huh?
Logged
thycreator
Guest
«Reply #24 on: June 17, 2005, 05:33:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
thanks a lot nikki and thy....you guys were too good

judaai ke dard ne humein bahut rulaya
doston ko bulaya koi na aaya

na jaane uss gair ke mann mein kya aaya
aasoon mitane ke liya apna rumaal laya

humne kabhi achi dosti ka sukh nahi paaya
sirf pyaar ko hi nahi doston ko bhi bewafaa paaya

zindagi ne humein ek hi tohfaa diya
na chahate hue bhi dard-o ko diya..


Thanx a lot Amrita ji........ur good too dear....

Kabhi wo waqt bhi aaya hai mere iss chote se jeewan mein,
Gairon ne kiya hai ghar mere iss dukhi se mann mein,
Kya kare gila kissi se, kissi se koi khata bhi nahi,
Ab toh chand dost hi hai mere iss sune se madhuban mein....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #25 on: June 17, 2005, 08:40:31 PM »
Reply with quote
faansle itne badha de ke mit na payen kabhi
Dewaaren aisee bana de ke hat na payen kabhi
Apne haathon ki lakeeron se faink de mujhko
raaste per aise chala de ke palat na payen kabhi
Phir Apne ghar me khushiyon ki shamme jala le
mujhse behtar ho koi aisa humsafar banaa le
Logged
amrita
Guest
«Reply #26 on: June 18, 2005, 10:43:12 AM »
Reply with quote
Badi gehraai se chaha hai tujhe
badi mannato se paaya hai tujhe

tujhe bhulane ki sochu bhi kaise
kismat ki lakeero se churaya hai tujhe...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #27 on: June 18, 2005, 03:02:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "amrita"
Badi gehraai se chaha hai tujhe
badi mannato se paaya hai tujhe

tujhe bhulane ki sochu bhi kaise
kismat ki lakeero se churaya hai tujhe...


This is awesome my dear.......

Kaise keh du ki muhabbat nahi hai tujhse mujhe,
Ye bat aur hai ki hasil nahi aaj mujhko tu,
Wo waqt bhi aayega jab tu tadpegi meri tarah,
Dunga apne muhabbat ka sila jab hogi rubru.....
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #28 on: June 18, 2005, 10:07:32 PM »
Reply with quote
Janey kyun yeh usney kiya,
Masomon ko apno se juda kiya.
Aur bhi tarekey thay bulaney ke,
Phir kyun maut mein dard bhar diya.
Logged
nikki
Guest
«Reply #29 on: June 19, 2005, 10:28:54 AM »
Reply with quote
wonderfull again...Amrita n Thy...

thanx a lot Talat sis..........

hai bharosa agar khuda par
to dukhi is dil ko na kar
mil jayega tujhe bhi jo hai tere liye bana
sabko nahi mila karti mohabbat
magar koi na koi to hai har kissi ke liye bana

agar sabko apni mohabbat mil jaati
to na koi shayar banta
aur na shayari hoti..

zindagi hamari lajwaab hoti
agar aap hamari kismat hote
 
fir kya gum tha duniya mein
saath haste aur saath rote
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 07:14:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.179 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer