intezaar

by salaam2all on December 30, 2004, 12:27:33 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3307 times)
salaam2all
Guest
Reply with quote
Shab-e intezaar hay phir k juda hay pyar mera
Shab-e-gham may jee rahey na hay aietbaar tera
Nahi intezaar ab tou kisi ghum gusaar ka bhi
Safar ye zindagi ka hay muktsir sa mera
k SALAAM tumko kahkey phir aakhri dafah ka
Na khushi say mar sakey hum tha intezaar tera
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Intezaar Hi Intezaar by Devdas_online in Shayri-E-Dard
Intezaar..Intezaar.. by mera_waqt in Shayri for Dard -e- Judai
Intezaar by harinderbhasin in Shayri for Dard -e- Judai
Intezaar by vinery in Shayri for Dard -e- Judai
intezaar by sweetarjita in Shayri for Dard -e- Judai
salaam2all
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2004, 04:16:34 PM »
Reply with quote
Na mughey galey lagakey tunay kya bura kiya hay
Jo mughey galey lagatey tou tumhey zakham he milta
Khai daastaney milti kahi bewafai milti
Kabhi phir khushi na milti dil taar taar milta
Hay SALAAM tughko aaakhir kis baat ka tasavvur
Mili rehguzar jo tughko nahi raahguzar hay milta
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #2 on: January 01, 2005, 12:50:51 PM »
Reply with quote
Mera dil nahi hay gafil teri baat ka hay kayal
Na samagh saki ye duniya na samagh sakegi shayad
Meri daastaney dil ki khabar kisey sunau
Jo baat hain poshida jakey kisey batau
Saugaat-e-baddua phir ye de gaya zamana
SALAAM kya karogey phir kar gaye wo ghayal
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #3 on: January 02, 2005, 12:08:35 PM »
Reply with quote
Kyoun aarzoo hay uski kismat may jo nahi hay
Kyoun dil ye kah raha hay ki wo yahi kahi hay
Kyoun dhoondti hay nazrein ye her kahi kisi ko
Kyoun hay meri tamanna milney ki phir usi ko
Kyoun aarzoo ki meri mughko khabar nahi hay
Kyoun dharkano ka meri koi sabub nahi hay
Kyoun zindagi hay tanha kyoun humsafar nahi hay
Her kyoun ka meri aakhir jawab kyoun nahi hay
Logged
Arifa
Guest
«Reply #4 on: January 02, 2005, 01:00:55 PM »
Reply with quote
very nice salaam bohat achah likha hay aap nay
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #5 on: January 02, 2005, 02:13:05 PM »
Reply with quote
nawazish ka shukriya...aur aap bhi accha likhtey hain

Chain say soya tha main ki khawab main wo aa gaye
Marhum laganey kay bahaney dil jalanay aa gaye
Her ada kya khoob thi bechain karney kay liye
Wo chahto kay teer dil per phir chalaney aa gaye
Dard ka iss shukriya jo aapney humko diya
Shayad abhi kuch reh gaya jo phir sataney aa gaye
Logged
nishita
Guest
«Reply #6 on: January 02, 2005, 02:14:26 PM »
Reply with quote
bohat achhe salaam
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #7 on: January 02, 2005, 02:37:20 PM »
Reply with quote
shukriya nishita........salaam
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: January 03, 2005, 02:09:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob salaam..!!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #9 on: January 03, 2005, 02:10:25 PM »
Reply with quote
shukriya tosha......salaam

Mushkil nahi muhabbat Aasaa nahi nibhana
Aassa hay yaad rakhna mushkil hay bhool jana
Aaney ki ye tumhari dil main hui jo dastak
Aasaa hay dil may aana mushkil hay dil say jana
SALAAM phir lagi hay ye aag kesi dil main
Aasaa thi jo jalana mushkil hay jo bujhana
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #10 on: January 03, 2005, 02:12:40 PM »
Reply with quote
nice shers S2A

na uski maanta hai aur na meri sunta hai,
main kya karu ki dil-e-badnuma kisi ka nahi
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #11 on: January 03, 2005, 05:31:23 PM »
Reply with quote
shukriya myheart_ursonly............salaam

Dharkan kehti hain ki zindagi ki ek dharkan kam hui
Saansein kehti hain zindagi ki ek saans kam hui
Din guzra tou zindagi ka ek din kam hua
Raat guzari tou zindagi ki ek raat kam hui
Her pal may kuch na kuch kam ho raha hay
Aur ek aapka intezaar hay ki her pal zayada ho raha hay
Logged
myheart_ursonly
Guest
«Reply #12 on: January 03, 2005, 05:56:30 PM »
Reply with quote
Nice Again S2A,

ye mohabbat hai k mohabbat ka ehsas hai
kyun mera ye dil baar baar ro deta hai
Logged
lovebites
Guest
«Reply #13 on: January 04, 2005, 12:15:56 AM »
Reply with quote
Nice wrk Salam & Hearty...........!


WOH Sath lay Gayea Saree Mohabatin Apnii
Zara sa dard Mairay Dil K Pass Chord gayea
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #14 on: January 04, 2005, 12:39:06 PM »
Reply with quote
thanks my heart and lovebites...................salaam

Mera nahi ye kisi aur ka fasana hay
Faraq nahi hay kuch ye silsila purana hay

Is muhabbat ki aag may tou jal gaye kaafi
tum aa gaye ho tou isney tumhey jalana hay

Tera hay ishq naya kah raha hay ashq tera
Humey her haal may aisey he muskurana hay

Yu aaney ka uskey ab tu intezaar na kar
Wo ik guzra hua sa waqt hay naa aana hay

Kyoun aankhon may ashq phir saja kay baithey ho
Jaha tanha hue waha inhey bahana hay

Yu na kar kaid apni zindagi ko dardon may
 saza aisi hay ye mushkil riha karana hay

SALAAM keh gaye na ishq may tu mar aisey
k apni maut ko kiskey nazar karana hay
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 04:11:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.153 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer