KHIZAN KA MOSAMMM

by SADIQA JAWED on October 31, 2004, 05:56:33 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 4514 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
YEH ILAM HAI K ZAMANA FAREEB KAR BHI HAI
PHIR US KY BAD MUJHY US PAY AYTBAR BHI HAI
KAHOON MAIN KAISY TUJHY HAI SAKOON DIL HASIL
UDAS SHAKL BHI HAI CHASHAM ASHKBAR BHI HAI
AISI UMEED PAY KATY HAIN RAT DIN MAIN  NY
KHIZAN K BAD SADII MOSAM BAHAR BHI HAI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mustaqil khizan. . . by an mystry in Shayri for Khumar -e- Ishq
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #1 on: November 28, 2004, 06:33:11 PM »
Reply with quote
Very Nice Sadiqa jawed ji!!!

Ilaahi Kaash Gham-e-Ishq Kaam Kar Jaaye!
Jo Kal Guzarti Hai Mujh Par woh Abhi Guzar Jaaye!
Tamaam Umr Rahe Hum to Khair Kaanton mein,
Khuda kare Tera Daaman Gulon se Bhar Jaaye!


(NM)
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #2 on: November 29, 2004, 03:01:20 PM »
Reply with quote
GOOD ONE ARUN JEE...KEEP WRITTING..

Aaj udhas hoon to zamana mujhey phochney aya
Magar Jis pe tha sadiyon ka bharam woh nahi aya
Woh to ek khuwaab tha toot gaya bikhar gaya hai
ajj udhas lamhon main phir kyon mujhey woh yaad aya
Zindagi ki musrufiyat ke woh chand din jo guzar chuke hain
na hi un pe urooj aya,aur na hi un pe zawaal aya...
Bhool na chahti hoon har lamha ,har waqt jo guzar gaya hai
jitna bhi rokka woh waqt, utna woh mere sath chala aya
Guzra hua kal na tha mera, na hai mera aur na ho ga kabhi
yeh mein janti hoon magar phir bhi na dil ko karaar aya
woh waade, teri woh kasmein woh sab yaad hain mujhe
magar phir bhi kabhi tum ko mera dil na bhoola paya
ana parast thay tum to khudaar thee main bhi
yeh rishta hi humare dermiyaan na raas aya
us ki muskurahat tere liye ek fareb thi
tu thee nadan, dil tera usse na samajh paya
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #3 on: November 29, 2004, 03:17:50 PM »
Reply with quote
Thanx Sadiqa jawed ji!!! Usual Smile

Aap bhi Bahut Khoob Likh rahi hain ji!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: November 29, 2004, 03:26:55 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Very Nice Sadiqa jawed ji!!!

Ilaahi Kaash Gham-e-Ishq Kaam Kar Jaaye!
Jo Kal Guzarti Hai Mujh Par woh Abhi Guzar Jaaye!
Tamaam Umr Rahe Hum to Khair Kaanton mein,
Khuda kare Tera Daaman Gulon se Bhar Jaaye!


(NM)


Wah!!!!

Hum kaanto se bhi daaman bhar lenge apna
ae chahne waale jo hume sath tera mil jaaye!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #5 on: November 29, 2004, 03:27:12 PM »
Reply with quote
HAN COZ ITNY DIN ONLINE NAHI AI NA... TO BOHAT SI POETRY COLLECT HOGAI HAI Usual Smile

Pochtay Hain Log?!
Pochtay Hain Log Mujh Se Mera Kia Lagta Hay Woh


Koi Naiki Thi Mere Jiss Ka Sila Lagta Hay Woh

Zindagi Ko De Hay Us Ne Dulhano Jaisi Phaban

Zindagi K Haath Par Rang_e_Hina Lagta Hay Woh

Day Ijazat Who Tu Aati Hay Gulistan Main Bahar

Mausam_e_Gul Ka Haseen Farman Rawa Lagta Hay Woh

Yaad Karta Hay Hazaron Kos Se Jab Woh Mujhay

Door Se Aati Papihiye Ki Sada Lagta Hay Woh

Dushmano Ka Samna Karta Hay Jab Meray Liye

Aandhion K Darmian Jalta Dia Lagta Hay Woh

Lut Rahi Thi Zindagi Bay Muda?a Apni Qateel

Ab Tu Mere Zindagi Ka Muda?a Lagta Hay Woh..!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #6 on: November 29, 2004, 03:30:12 PM »
Reply with quote
GOOD ONE TALAT....
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: November 29, 2004, 03:33:23 PM »
Reply with quote
Thanks Sadiqa!!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #8 on: November 29, 2004, 03:37:01 PM »
Reply with quote
WELL TALAT MAIN KAFI DIN SY ONLINE NAHI AI IS LIYH LATE WISH KAR RHI HON TUMHAIN BIRTHDAY SORRY HAN.... HAPPY BIRTHDAY Usual Smile

WAISY MERI GHAIR MOJODEGI MAIN SAB KI BIRTHDAYS NIKAL GAI HAIN Usual Smile
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #9 on: November 29, 2004, 03:37:29 PM »
Reply with quote
Shukriya N Very Nice Talat ji!!!

U R Doing good!!! Sadiqa ji!! Keep them coming!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #10 on: November 29, 2004, 03:42:08 PM »
Reply with quote
MAINAI KYUN PYAR KIAAAAA

mainai kyun pyar kiaaaaaaaaaa
apna dil budnaam kiaaaaaaaa
ankhoon mai mere kaisa ka chehra raha
kyun dil ki dhadkhan nai bhi yeh hi shor majaya
kai tou mera hai kai tou mera hai
koi batahai mainai kyun pyar kiaaaaaaa
yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaaaa


tou mujhe nahi chahta
phir kyun dil tujhe ko hai chahta hai
kyun ratoon ko dil jagnai laga hai ankhoon mai aansoo kyun rehnai lagai hai
aakhir kyun
mainai kyun pyar kiyaaaaaaaaaa
apna dil budnaam kiaaaaaaaaaa


ab mera dil mere paas nahi hai
ab merei sapnai sirf tujh sai hi hai
ab meri yadoon mai sirf tou hi hai
ab meri zindagii ki khush teri khushi mai
tou mujh ko nahi chahtha
phir kyun mera dil tujh ko hai chahta
mainai kyun pyar kiyaaaaaaaaaa
yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaa

mai tere bina zinda hoon
tou mujhe chor kar apna duniya mai khush hai
hamesha souchtii thi kai tou nai aghar mujhe chor diaaaa tou mar maarjaoooooon gi
magar jub tou mujhe tanha chor kar chala gaya
phir mujhe maloom huwa tou nai tou mujhe kabhi chaha hi na tha
nmainai kyun pyar kiaaaaaaaaa yeh dil budnaam kiaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #11 on: November 29, 2004, 03:43:32 PM »
Reply with quote
Wah ji Wah Kya baat hai Nice!!! Sadiqa ji!!! Waaah!
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: November 29, 2004, 03:46:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
WELL TALAT MAIN KAFI DIN SY ONLINE NAHI AI IS LIYH LATE WISH KAR RHI HON TUMHAIN BIRTHDAY SORRY HAN.... HAPPY BIRTHDAY Usual Smile

WAISY MERI GHAIR MOJODEGI MAIN SAB KI BIRTHDAYS NIKAL GAI HAIN Usual Smile


Well!! ko baat nahin!!!! happy9 Thanks 4 ur wishes!!! btw tumhara kab hai?
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: November 29, 2004, 03:47:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
Shukriya N Very Nice Talat ji!!!

you R Doing good!!! Sadiqa ji!! Keep them coming!!!


Thanks Arunji!!!

n Sadiqa u write really good poetry..keep it up!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #14 on: November 29, 2004, 03:47:39 PM »
Reply with quote
THNK U AGAIN ARUN  JEE...
Usual Smile
--------
 Karb Ka Lamha Tha....

Kitnay KARB Ka Lamha Tha Meri Zindage Ka
Rah -E- Wafa Main Jab DOST bhi AJNABE Ho gia.

Basaya Tha Us Ke YADOON Ka Pur hool Samander DIL Main
Ak He Pal Main WOH Us Ko SEHRA Kar Gia.

Sadyoon Say CHAHA Tha Jesay Main Nay
Janay Ku Ab Woh BEGANA Ho Gia.

Meray Liyay To Ak HAQEQAT Hay Woh Lakin
Main Us Kay Liyay Ak AFSANA Ho Gia.

Base Hain Us Ke CHAHATEEN Meray DIL main Abhi Tak
Wahe Mere NAFRATOON Main DEWANA Ho Gia.
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 06, 2024, 03:17:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer