Tamanna Jee Aadaab!
Aapki shayari ki kia kaheN waah janab waah
bahut umdaa aur behad dilfareb ashaaroN se
kalaam ko sajayaa hai aapne 
Dil se daad O mubarakbad kabul kijiye
Tere ishQ ne khub rang dikhaaya hai
pal men sadiyoN ka rista mitaaya hai
Waah janab Tanziyaa tarif behad khoob kahi hai daad daad daad..
chaaron taraf hai ab tanhai ka aalam
teri ki khwahish to inaam ye paaya hai
Kia baat hai... daad
Jiski lakeereN jaisi thi waisa usne paya hai
YahaaN har kisi uska aapna hissa aayaa hai... wasl ki ummeed hi thi jine ka zariyaa
Yeh bad-waqt mujhe kaahaan le aaya hai
Kia baat hai.. daad jabse badla tere mijaaz ke mousam
baharon meiN bhi, patjhad paaya hai
Waah janab waah bahut achcha sher kaha hai daad
vo fasaana jo abhi tak bana hi nahin
aisa Qissa vo mujhe sunane aaya hai
Achcha hai daad
ulfat se milne ki thi just-ju yaaroo
bewafa sang be-rukhi bhi laaya hai
Oye kia kahne jee daad
achcha andaaz e bayaaN hai
na laga andaaza aankhon ki gahrai ka
pura samandar in meiN hi samaaya hai
Waah jee waah bahut khoob dilfareb sher kaha hai daad
koun kahtaa hai badnaseeb huN maiN..
kismat main jo tha vo hi tou paaya hai
Kia kahne Tamanna jee bahut khoob ...
daad hazeer hai
Is khubsurat kalaam par dil se daad O mubarakbad kabul kijiye Tamanna jee... 
Likhati rahiye.. Aati rahiye... 
Khush O aabaad rahiye... 
Khuda Hafez .......