KUCH DIN TO BASO MERI ANKHON MAIN...!!!!

by SADIQA JAWED on October 30, 2004, 07:30:32 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2927 times)
SADIQA JAWED
Guest
Reply with quote
KUCH DIN TO BASO MERI ANKHON MAIN...!!!!
------------

Kuch Din To Baso Meri Ankhon Main
Phir Khuwab Agar Ho Jao To Kia
 
Koi Rang To Do Mery Chehry ko
Phir Zakhm Agar Mehkao To Kia

Jab Ham Hi Na Mehky Phir Sahib!
Tum Bad-e-Saba Kehlao TO Kia

Tum Ass Bandhany Waly They
Ab Tum Hi Hamin Thukrao To Kia

Main Tanha Thi Main Tanha Hon
Tum Aoo To Kia , Na Aoo To Kia

Hai Yun Bhi Zayan or Yun Bhi Zayan
Jee Jaon To Kia , Mar Jaon To Kia
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jagti ankhon main bhi kuch khuwab hotay hain by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Teri Tasweer meri ankhon main basi kyun hai by pandit in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
Meri ankhon main bas gaye ho aise by sameer14112 in SMS , mobile & JOKES
dil chahta ha teri ankhon per kuch aur likhon by sweet killer in Shayeri for Dard -e- Bewafai
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: October 30, 2004, 04:21:55 PM »
Reply with quote
wah....sadiqa.........bahot khoob....
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #2 on: October 31, 2004, 05:21:26 PM »
Reply with quote
THNKX WAHEED ...
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #3 on: November 03, 2004, 10:16:02 AM »
Reply with quote
JISEY DEKHTY HAIN WO MAGHRORE HAI
AJAB YH ZAMANY KA DASTORE HAI
BATATI HAI GARDISH YEH AYAM KI
KHUSHI KA ZAMANA BOHAT DOORE HAI
SHIKAYAT NAHI TUJH SY AY ZINDAGI
TERA FAISLA MUJHY MANZORE HAI
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: November 03, 2004, 02:42:57 PM »
Reply with quote
nice one sadiqa jawed........

dard kaisa bhi ho ankh nam na karo
raat kaali sahi koi gham na karo
ik sitara bano jagmagatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho

baant'ni hai agar baant lo har khushi
gham na zahir karo tum kisi per kabhi
dil ki gehraai mein ghum chupatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho

ashk anmool hain kho na dena kahin
in ki har boond hai motiyoon se haseen
in ko har ankh se tum churatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho

faaslay kam karo dil milatay raho
zindagii mein sada muskaratay raho.............
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #5 on: November 03, 2004, 07:26:50 PM »
Reply with quote
good waheed...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: November 03, 2004, 07:29:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "SADIQA JAWED"
KUCH DIN TO BASO MERI ANKHON MAIN...!!!!
------------

Kuch Din To Baso Meri Ankhon Main
Phir Khuwab Agar Ho Jao To Kia
 
Koi Rang To Do Mery Chehry ko
Phir Zakhm Agar Mehkao To Kia

Jab Ham Hi Na Mehky Phir Sahib!
Tum Bad-e-Saba Kehlao TO Kia

Tum Ass Bandhany Waly They
Ab Tum Hi Hamin Thukrao To Kia

Main Tanha Thi Main Tanha Hon
Tum Aoo To Kia , Na Aoo To Kia

Hai Yun Bhi Zayan or Yun Bhi Zayan
Jee Jaon To Kia , Mar Jaon To Kia



wowowow!! bahoot khoob jawed!!! One of My Fav. Ghazal!!!!!!isse Gulam Ali ki awaz mai suno....kamal ....kamal...kamal gaya hai!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: November 04, 2004, 08:13:57 AM »
Reply with quote
thanx sadiqa jawed...........
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #8 on: November 04, 2004, 01:19:37 PM »
Reply with quote
HAN I KNOW POOJA... I LISTEN THAT ITS REALLY CLASS ONE...
THIS GHAZAL IS ALSO MINE FAV...

AB KISI LAILA KO BHI IQRA-E-MEHBOBI NAHI
INDINO BADNAM HAI HAR IK DIWAY KA NAM
FAIZ AN KO HAI TAQAZA-E-WAFA HUM SY JINHAIN
ASHNA K NAM SY PYARA HAI BEGANY KA NAM
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: November 04, 2004, 04:53:49 PM »
Reply with quote
wah!!!!!!  sadiqa jawed..........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 04, 2004, 09:02:15 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob!!!
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #11 on: November 05, 2004, 09:13:25 AM »
Reply with quote
THNK U Usual Smile

NEYATY SHOQ BHAR NA JAY KAHIN
TU BHI DIL SY UTAR NA JAY KAHIN
BOHAT DER K BAD TUJHY DEKHA HAI
AJ KA DIN GUZAR NA JAY KAHIN
NA MILA KAR UDAS LOGON SY
TERA HUSAN BIKHAR NA JAY KAHIN
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #12 on: January 29, 2006, 10:56:09 AM »
Reply with quote
Jahan par dar bnana ho wahan diwar karty hain
Hum Ahl-e-dil mohabat ko bohat dushwar karty hain
Musalsal khamshi yun bhi to hum ko mardaly gi
To phir khuf kaisa hai chalo inkar karty hain
Tumhain ab kia batain us jan ka limss kaisa tha
Hamary hont jalty hain agar izhar karty hain
Sadii Ahl-e-mohabat ka yahi anjam hota hai
Unhain diwar main chunty hain ya sangsar karty hain
//////////////////////////////////////////////////////////
Logged
BeNam
Guest
«Reply #13 on: February 04, 2006, 02:10:13 AM »
Reply with quote
Amazing Sadiqa! Aap ke shero main kafi wazan hai, her labz jaise naap tol ke likha hai, yaa toh fir bahot badi chot khayi hai!

Waheed ji aap ka toh kya kahene!

Gum nahi ke woh izhar-e-mahobat na kar paye,
Hum jinke liye jaan gawan baith,
woh mere mehboob na ban paye!

Aaj bhi mazar meri khuli paogey,
Is intazar main ke kabhi tum isi rah aaogey!

Meri maut bhi jise tod nahi payi woh intazaar aaj bhi hai,
Tujhe mujhi se tha pyaar yeh mere dil ko karar aaj bhi hai!

BENAM
Logged
budhu_1
Guest
«Reply #14 on: February 06, 2006, 04:10:06 PM »
Reply with quote
jagjit ji ki chand line pesh karna chahenge

arz hai..........

agar hum kahein aur
woh muskuraa dein......
hum unke liye
zindagani luta dein.......
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 12:18:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer