Mein, mahaz eik nazar key liye beychain rahaa!

by abdbundeli on July 08, 2008, 05:22:41 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 4065 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
'Too ney haftoun sey mulaaqaat naheen ki mujh sey?
 Too ney, aa kar qareeb, baat naheen ki mujh sey?
 Mein, mahaz eik nazar key liye bey-chain rahaa:
 Too ney izkaar-e-muaalaat naheen ki mujh sey?'

                             - abd bundeli

Logged
palkhi
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2008, 03:39:57 AM »
Reply with quote
Awwwwww.......so nice ji..........


         
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2008, 06:50:47 AM »
Reply with quote
palkhi ji,
'Na woh beywafaa hai, na mein beywafaa hoon;
 Magar, zindagee kaa safar hai yeh aisaa:
 Ki, har roz dard-e-judaaee sahaa hai!
 Kabhi woh gayaa hai kaheen kaam karney;
 Kabhi mein! ajoobaa safar hai yeh aisaa!!
 Naheen ham sey bardaast hotee hai  dooree;
 Lagga kar rakhey koyee seeney sey kab tak?
 Yeh hasrat kahaan tak karey koyee pooree?
 Yeh sachchaai hai: jis ko jeenaa hai Ham ko!!'
      Na pahichaan paaye hain, gar, aap us ko,
      To, pahichaanney ka karam kar key deykheyn!
      Mujhey pooree ummeed hai: woh mileygaa!!
      Usey paalkee par bithaa kar to dekheyn:
      Woh sou baar deygaa shab-o-roz peishee!
      Kareygaa giley-shikwey, fir, door saarey!!
         

               Nazr-e-innayat banaaye rakhiyegaa!
               Shukraguzaar     - abd bundeli
 
             
 
 
 
 
 
Logged
palkhi
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2008, 04:57:38 PM »
Reply with quote
Wow...........thats too good ji.......keep writing!!!

  Dhoor Hai Woh Tujhse Magar Sirf Thorai Hi Waqt Kai Liyai,
  Dhoor Hai Woh Mujse Magar Hamesha Kai Liyai,

  App Tho Jaantho Ho Kai Woh Bhi Appse Mohabbat Kartha Hai,
  Humari Baskismaathi Dehko Kai Nafraat Kartha Hai Woh Mujse,

  Dhoor Ho Kai Bhi Woh Terai Pass Hai,
  Dhoor Ho Kai Bhi Woh Merai Saath Nahin Hai,

  Kousthi Hoon Main Appni Kismaath Koh,
  Har Pal Marthi Hoon Main Uski Judai Mein,

  Kousthi Hoon Main Appnai Naseeb Koh,
  Har Pal Ussi Ki Yadoon Mein Dhoobi Rehthi Hoon,

  Juda Ho Kai Bhi Woh Tera Hai,
  Main Tho Judai Ka Gum Bhi Sehthi Hoon Or Pir Bhi Woh Mera Nahin.....
 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2008, 04:58:42 PM »
Reply with quote
nice Abd and Palkhi
Logged
palkhi
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2008, 05:04:01 PM »
Reply with quote
teinku di!!!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: July 10, 2008, 05:02:23 AM »
Reply with quote
palkhi ji,
Ajee aap to waaqiyee hijra mein hain!
Rah-e-wasl mein, kyaa raqeeb aa gayaa hai?
Yaa, yeh galtfahmee kee saiyaadgee hai;
Ki, 'woh aham lamhaa' qareeb aa gayaa hai?
Agar aisey haalaat paidaa huye hain:
To, beyhtar yahee hai, ki, kuchh door rahiye!
Na woh hee kahey aapsey: 'bey-wafaa ho!'
Na ab aap bhi aisey alfaaz kahiye!!

Qayaamat key din, jab, mulaaqaat hogee:
Giley-shikwey, tab, saarey kaafoor hongen!
Wahaan, baad mahshar, adaawat na hogee!
Wahaan, baad mahshar, raqaabat na hogee!!

   Bahut door hoon mein, magar iltija hai:  
   'Abd', kyoun na ham, dost ban jaanyen pakkey?

                          - abd bundeli
Logged
palkhi
Guest
«Reply #7 on: July 10, 2008, 10:19:24 PM »
Reply with quote
....... Woww........ thats soooooo amazing!!!!

Nahin Kehthi Main Usko Bewafa, Or Na Woh Mujko Bewafa Keh Latha Hai,
Agar Woh Mohabaat Nahin Kartha Mujhse Tho Wafa Kaise Kar Saktha Hai,

Har Pal Uski Yaad Mein Pir Se Toottha Hai Mera Dil,
Har Pal Uski Yadoon Mein Tukrai Ho Jathai Hai Merai Dil Kai,

Kasaam Li Hai Maine Appnai App Se, Kai Kissi Or Ki Kabhi Na Banoo Gi,
Chahai Uskai Liyai Mujko Qayamaat Thak Hi Na Intazaar Karna Padre.....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: July 11, 2008, 02:33:57 AM »
Reply with quote
palkhi ji,
 Kyaa ahad hai, ki, aapney dil jeet liyaa hai!
 Woh lakh beywafaa ho, magar baawafaa hain aap!!
 Kahtey hain isee shai ko ishq: jaan jaaiye;
 Kahtaa hai koun aap sey, ki, beywafaa hain aap?
                          - abd bundeli

Logged
Sonia01
Guest
«Reply #9 on: July 11, 2008, 02:41:03 AM »
Reply with quote
ABD Jee and Palkhi... bahut acche  Applause  Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: July 11, 2008, 07:45:29 PM »
Reply with quote
Abd Saahib aur Sabah donon ne ek se badh kar ek nazm paish ki hai... firaaq ki tadap bayaan ki hai,,, achhe ahsaasaat aur jazbaat ko qalamband kya hai... Wah...
Logged
palkhi
Guest
«Reply #11 on: July 11, 2008, 07:47:27 PM »
Reply with quote
palkhi ji,
 Kyaa ahad hai, ki, aapney dil jeet liyaa hai!
 Woh lakh beywafaa ho, magar baawafaa hain aap!!
 Kahtey hain isee shai ko ishq: jaan jaaiye;
 Kahtaa hai koun aap sey, ki, beywafaa hain aap?
                          - abd bundeli



      Teinku Ji.........wow.......amazing reply ji..... tongue3

     Woh Jho Jaanthai Hai Kai Kaya Hua,
     Woh Jho Jaanthai Hai Kai Merai Naseeb Mein Tha Kaya,

     Magar Uss Pai Na Chaala Mera Koy Zoor,
     Nahin Maanthi Mein Ajj Bhi Usko,

     Nahin Hoon Main Bewafa Kayun Kai Chaahthi Hoon Main Sirf Ussi Koh Ajj Bhi, Intazaar Hai Mujko Ajj Bhi Ussi Ka,

   Logh Jho Kehthai Hai Kehthai Rahein, Main Tho Bani Hoon Sirf Ussi Kai Liyai........

    
Logged
palkhi
Guest
«Reply #12 on: July 11, 2008, 07:49:09 PM »
Reply with quote
ABD Jee and Palkhi... bahut acche  Applause  Applause

   Teinku DI!!!!!!
Logged
palkhi
Guest
«Reply #13 on: July 11, 2008, 07:49:30 PM »
Reply with quote
Abd Saahib aur Sabah donon ne ek se badh kar ek nazm paish ki hai... firaaq ki tadap bayaan ki hai,,, achhe ahsaasaat aur jazbaat ko qalamband kya hai... Wah...

    Awwwwwwwww.....teinku Ji........... tongue3
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: January 26, 2009, 11:50:45 AM »
Reply with quote
Abd Saahib aur Sabah donon ne ek se badh kar ek nazm paish ki hai... firaaq ki tadap bayaan ki hai,,, achhe ahsaasaat aur jazbaat ko qalamband kya hai... Wah...
Thanks!
   - abd bundeli
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 28, 2024, 09:01:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer