reith

by myloveosho on June 23, 2005, 06:36:32 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
ReplyPrint
Author  (Read 4166 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #75 on: July 07, 2005, 05:14:38 PM »
Reply with quote
Bahoot achhay amrita ji....itne shikwe...itne gile....kya khoob....kutchh toh jatlyaa hota....

Shikwe gile jo kutchh bhi hain tuzko bhi hain muzko bhi hain
pareshaanian jo kutch bhi hain tuzko bhi hain muzko bhi hain.

muzko rahega umra bhar, is toot tey rishtey ka Gum
Mazboorian jo kutch bhi hain tuzko bhi hain muzko bhi hain.

ab kyuin hamarey darmian, yuin faasle badtey gaye,
magroorian jo kutch bhi hain tuzko bhi hain muzko bhi hain.

un harkaton se talkhian pal-pal bayaan hoti rahien
unki tapish jo kutch bhi hain, tuzko bhi hain muzko bhi hain.

ab be-khata pe 'harsh' yuin bijliyaan girti rahien,
unki khaber jo kutch bhi hai tuzko bhi hai muzko bhi hai.

******Harash Mahajan*****Copyright ©
 


amrita wrote...

Quote
humtum and harsh>>>>>>>>>>>>>>amazing...

khafaai ko tune bewafaai samjha
kabhi poocha hota toh batlaya hota

gairon ko apnaya apno ne thuraya
kabhi poocha hota toh batlaya hota

khuda bhi mujhe se rootha,jo tera dil maine dukhaya
kabhi poocha hota toh batlaya hota

tere pass se guzarne par tere haal ka sawaal na poocha jo apna hi mann behaal tha
kabhi poocha hota toh batlaya hota.....
Logged
HumTum
Guest
«Reply #76 on: July 08, 2005, 12:45:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
bahoot khoob hum tum ji....
badnaamion ka der, ger hota isq main
toh ab talak hum bhii fanah ho chukay hotey.
----------------------
Charcha teri gali main mera aam ho gaya,
kutchh is kader ai!dost main badnaam ho gaya.

sanjoye tha jo ab talak rutba-o-izzat,
woh shaksiat se aaj, main benaam ho gaya.

kase hain aaj tans jo, aa-aa kay rubroo,
hamraaj hain mere hi, main hairaan ho gaya.

Be-wafa nahin the, na the woh be-khata,
mager seeye yuin hont, main badnaam ho gaya.

Gair sa lagne laga, ai 'harsh' ye mahol,
aisi saja se aaj, main pareshaan ho gaya.

*Harsh*Copyright ©


Harsh ji ...

daar jatey hum gar rah e ishq se to yun barbaad na hotey
dekh ke haal hamara log yun humney dewana na kehtey !!

chaliye aap ki gazal pe kuch arz kertey hai !!!



khizaan ki udaas dhalti sham mein hum tanha
saahil pe chalte rahe dheere dheere hum tanha

na pholoon ki humrahi na taaron ki raas ati hai
chand ko tanha dekh kar ho jate hein aur bhi tanha

tanhaiyon mein teri yaadein barha rulati hai
rangeen hur mehfil mein reh jate hein hum tanha

zakhm-e-dil tere aur ye aahein kitne rooh farsa hai
kaise sehlaate tujhe ke ab kitne hue hum tanha

dar-e-dil waa kiye intezaar mein tere hai
shamma jalti rahe, wahan bujhte rahe hum tanha

kaise bataa te humari mohabbat mein kitni tarap hai
dil ki lagi mein reh gaye hum akele, hum tanha ...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #77 on: July 08, 2005, 06:52:57 PM »
Reply with quote
nice HumTum ji...itni chuban...

Saathi na koi na koi darpan
Taareeki muzmein chhayee hai
har khushi apni barbaad huee
har ham main khalish kyuin aayee hai.

jakham hue ab seene main anjaam dekhiye
ashqo se chheene jo ashq ab dil sunsaan dekhiye
mohabbaton ki tarap 'harsh' ab itni bad chali
keher ban kay toote gi ab tufaan dikhiye.
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #78 on: July 21, 2005, 12:44:09 PM »
Reply with quote
KHUSBOO MANGI THI KHUDA SE,
WOH LAJAWAB PHOOL THAMA GAYE,
THODI KHUSHI MAANGI JO DUA MEIN,
TO AAPSE MILA KE KHUSHNASEEB BAN GAYE...
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #79 on: July 21, 2005, 01:05:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "harashmahajan"
Great my love osho ji....tumhaari tehreer ne hamein guzra waqt yaad dila diya.....

Unkay liye khuda ko bhi khudsar likha  kiye Gustaakh Zindagi ko bhi har pal jiya kiye.
Zindagi ne bahoot liye hamse intkaam,
Umeed kyuin wafa ki ham unse kiya kare.


Quote from: "myloveosho"
Quote from: "harashmahajan"
bahoot umda Ninnah....hum ye ashq jo utha rahein hain ye woh behta dariyaa hai..jismaein doobe ja rahein hai....ye dariyaa toh yaadon ko our bhi gamgeen ker raha hai...

Ham unko bhoolein ye bas main nahi hai
Yahi ik woh gam hai sata raha hai.



Quote from: "Ninaah"
wah harsh

char din ki zindagi hai,
baaki ashqon ki kahani hai,
kisi bewafa ki yaad mein jo nikle,
wo ashq nahi paani hai.....




Great my love osho ji....tumhaari tehreer ne hamein guzra waqt yaad dila diya.....

Unkay liye khuda ko bhi khudsar likha  kiye Gustaakh Zindagi ko bhi har pal jiya kiye.
Zindagi ne bahoot liye hamse intkaam,
Umeed kyuin wafa ki ham unse kiya kare.



Quote from: "harashmahajan"
wah meena ji kya mout se dou haath kerne ka irada  hai kya, bahoot agay nikal gayeein aap........tel me dubi...hathon me mashaal..bahoot khoob....tou leejiye ye sher aapko smarpit kerta hoon...

Chaar din ki zindagi hai 'harsh' der-asal,
ham kyuin yunhi mout ko ruswa kiya kiye.

meena wrote...

Quote
tanhayio ka bhi khayal hai aur choton ka bih khayla hai,
tel me dubi hoon mai aur haathon me mere mashal hai!!
SHIKWA NAHIN KOI ZINDAGI SE MAGAR,
EK SHIKAYAT KHUDA SE ZAROOR HAI,
ZAZBAAT KYUN DIYE TUNE HUMEIN,
JAB DUNIYA MEIN PYAR KARNA KASOOR HAI...







AAPKE LIYE HARSH JI

YAADON MEIN HAMARI AAP BHI KHOYE HOGE,
KHULI AANKHON SE KABHI AAP BHI SOYE HOGE,
MAANA HASNA ADA GUM CHUPANE KA,
PAR HASTE HASTE KABHI AAP BHI ROYE HOGE...
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #80 on: July 24, 2005, 09:46:40 AM »
Reply with quote
HICHKIYON SE EK BAAT KA EHSAAS HAI,
KI KOI HUMME YAAD TO KARTA HAI,
BESHAK MILNE NA AAYE PAR ,
CHAND LAMHE HUM PAR BARBAD TO KARTA HAI....
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #81 on: July 27, 2005, 01:37:18 PM »
Reply with quote
DO PAL KI ZINDAGI YU HI BEET JAYEGI,
KALI RAAT KE BAAD NAHI SUBAH AAYEGI..
AGAR DOSTON KI YAAD SATAYEGI...
TO KASAM SE APKI YAAD SABSE PEHLE AAYEGI..
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #82 on: August 02, 2005, 01:47:14 PM »
Reply with quote
DO PAL KI ZINDAGI YU HI BEET JAYEGI...
KALI RAAT KE BAAD NAHI SUBAH AAYEGI...
AGAR DOSTON KI YAAD SATAYEGI..
TO KASAM SE AAPKI YAAD SABSE PEHLE AAYEGI...
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #83 on: August 23, 2005, 05:51:19 AM »
Reply with quote
KYA KAHOON TUJHE?
KHAWAB KAHUN TO TOOT JAYEGA....
DIL KAHOON TO BIKHAR JAYEGA,
AA TERE NAAM ZINDAGI RAKH DU..
MAUT SE PEHLE TOH TERA SAATH CHHUTH NA PAYEGA...
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 05, 2024, 12:24:16 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8500 Real Poets and poetry admirer