soona aangan,sooni baahe'in bulaati hai tumhe

by jianrangrej on July 27, 2008, 07:53:36 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1166 times)
jianrangrej
Guest
Reply with quote
" me dariya bana meri rawaani kaa anzaam yeh huaa
saahil se miltaa to hoon roz, par rooh-e-saahil se milna naa hua "

me bana hasraton kaa mazaar ki ab mere mazaar par dhoom nahi
ek arsaa hua ki khushi kaa kyaa kare bayaa'n tanhaai se bhi zikr naa hua





soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe
laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab

keh dena ki me chand sikko ke khaatir sunhare lamhe bech gaya thaa
keh dena ki kuchh muskaan ki khaatir aankhon me ashq de gaya thaa
keh dena ki mere jism-o-jaan ki talab bhi naa rahi ab man me
keh dena ki me kuchh sapno ki khaatir haqeeqat ko chhor gaya thaa

soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe
laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab

keh dena ki mujhe narm haatho'n se sakht nivaale pasand naa the
keh dena ki raato'n ki chen ki nind se mujhe qaraar naa thaa
keh dena ki mujhe koii toot kar chaahe yeh ganwaara naa thaa
keh dena ki raahate,nisbatei'n,muhabbat inke maaine nahi rahe ab


soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe
laut ke aaoge to puchhenge yeh doori kaa sabab


meri jaan soono ab bhi bache hai jazbaat to laut aao
keh doongi sabse kuchh naa puchhe mere sanam se laut aao

soona aanagan sooni baahei'n bulaati hai tumhe
laut kar aaoge to ab yeh naa puchhenge doori kaa sabab....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: July 27, 2008, 01:25:21 PM »
Reply with quote
Bahoot Khubsurat Bayaan Kiya Hai Aapne,.
Nice One,.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #2 on: July 27, 2008, 01:36:02 PM »
Reply with quote
Quote from: jianrangrez
" me dariya bana meri rawaani kaa anzaam yeh huaa
saahil se miltaa to hoon roz, par rooh-e-saahil se milna naa hua "

me bana hasraton kaa mazaar ki ab mere mazaar par dhoom nahi
ek arsaa hua ki khushi kaa kyaa kare bayaa'n tanhaai se bhi zikr naa hua

Yeh qataa buhat hi bhaya dil ko... buhat dard se bhara hu apaya...
Wah...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #3 on: July 27, 2008, 02:29:00 PM »
Reply with quote
bahoot umada likha hai aapne jian sahab
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: July 28, 2008, 05:51:47 AM »
Reply with quote
jian ji bohut acha likha hai
its too good
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 04:59:54 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer