teri judai ka yeh ....

by ranjana on August 06, 2006, 06:34:25 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2358 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai
na dil ko chain hain na qarar hai
mujhe bas tera hi intazaar hai

dhalne lage hain ab toh zindagi ke saaye
sajan tum keh ke bhi na aaye
meri yeh peera tum ko kaun samjhaaye
mere bechain nayano ki pyaas ab kaun bujhaaye
aaja ki ab toh aayi vasant bahaar hai
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai

gehare dard mein dube hain nayan hamaare
ab in mein koi sapana bhi na utare
hontho per aa ke ruke hain sukhe ashaq hamaare
ab tere bina jeena mushkil hua re
ab toh bas milan ka hi intazaar hai
teri judai ka yeh kaisa uphaar hai!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri Judai Mein Har Roz Marta Hai Koi by kamran_bombay in Shayri for Khumar -e- Ishq
Gumm teri judai kaa by husain52 in Shayri-E-Dard
Teri Judai by anjali.sharma in Shayri for Dard -e- Judai
Teri Judai..... by usuraj in Shayri for Dard -e- Judai
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2006, 06:39:35 AM »
Reply with quote
yahi hai aapke dil ki tamanna .......chune dijiye ise aasmaan ..............behtarin hai.

   is dil se woh juda kabhi ho jayenge kaise
   ki dhadkan ke bina dil mera dhadkta  nahi hai

..................@fahi@.....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2006, 06:48:27 AM »
Reply with quote
shurkiya ....fahi ...

chhoo liya hai tumne mere lafazo ko
ki ab mere geeto mein koi aur sur sajata nahi hai..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: August 13, 2006, 05:09:20 AM »
Reply with quote
Wah Bahut khoob Ranju and Fahi.......

Juda ho jo Dil se......
Unhe Doori ke Faasle mita nahi sakte.......

Lamhe guzar jaate hai......
Par ek Pal bhi rukk nahi sakta......

Dinn Dariya toh Judai me Chandani Raat hai......
Girr rahe ho AShQ Sanam ke toh keh do bheegi barsaat hai........!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: August 13, 2006, 09:58:20 AM »
Reply with quote
kaash itna aasaan hota sab kuch bhula dena
unki judai ka har manzar aanhko se mita dena

likh rahe hain unka naam hum apni haatho ki lakeero mein aise
jaise  reit ke dhero per koi nishaan bana dena

hote hain toh ho jaayenge badnaam unki khaatir
aassan nahi hota ishq ki raha per chalana
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #5 on: August 14, 2006, 04:44:39 AM »
Reply with quote
nice  ranju PJAG and gaurav ji........


bhula ke tujhko dekhna tha ek pal ko mujhko bhi
par kaya karu saanse payari si lagne lagi thi us pal

hjo sang bitaye the pal aagaye saamne aankho ke
payar phir se hogaya the zindgi se us pal......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 14, 2006, 05:05:41 AM »
Reply with quote
bahut khoob vikas........

sirf ek tera hi khyaal hai mere pass
ab aur na koi mere aas pass hai

talash karti hun wahi shaamo sheher
jahan tu kal rubaru mera pass thaa
aaj apni yaado se mere pass hai
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: August 14, 2006, 07:13:29 AM »
Reply with quote
Ranju, Fahi, Gaurav, Vikas

Bahut he achcha laga aap sab ka likha padh kar !

Rajbir
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #8 on: August 14, 2006, 07:33:44 AM »
Reply with quote
Shukriya Rajbir Ji.........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: August 15, 2006, 03:58:40 AM »
Reply with quote
shukriya Rajbir..........

hain yeh judai ke pal kuch duri si rehne do
maana dard dete hain yeh magar mujhe hans ke inko sehne do

hamne bas tere jhoothe vaado per jala rakha hai ek aas ka deepak
hame inhi bharam ke ujaalo per abhi thoda aur jeene do

na jaane kitne khat likhe hain tujhe maine apne pyaar ke
kabhi yeh banenge dastaan apni inhe yun hi kora kagaz sa rehne do

likh ke ghazal ya geet koi   aata hai mere dil ko kuch toh sakun
mere hamdam mujhe apni baat ab geeto mein toh kehne do
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2006, 04:06:38 PM »
Reply with quote
Superb Ranju

Teri Judai ka hai yeh Sabaab......
Ki kareeb aate harr Dard ko hai mera Adaaab.....

Judi hai tu ab iss kadar meri Zindagi se......
Ki maut bhi kahe Zindagi se Huzoor Pehle aap pehle aap.....!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 18, 2006, 06:10:06 AM »
Reply with quote
meri is nazar ko tujhse yahi gilla raha
bicharten waqt kyu woh ashq thaa tera baha

ek tu hi toh is bhari duniya mein mera
tera wah vajood kyu mujhse ajnabi sa raha
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #12 on: August 18, 2006, 06:16:21 AM »
Reply with quote
Ajnabi na keh mujhko.....
Warna hum ab tumse Nazrein mila na payenge.......

Diya hai Dil tujhe Jaanam......
Khuda kasam iss Dil me ab kisi aur ko na basa payenge........!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 18, 2006, 06:25:27 AM »
Reply with quote
apne khawabo ko yun na pyaar ke libas pehnaao
samjh lo sachaai aur hosh mein aao
 
yeh chaman na bas sakega kisi ke taraano se
ab yahan koi geet pyaar ka na gaao
Logged
goldie
Guest
«Reply #14 on: December 01, 2010, 08:06:52 AM »
Reply with quote
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai
na dil ko chain hain na qarar hai
mujhe bas tera hi intazaar hai

dhalne lage hain ab toh zindagi ke saaye
sajan tum keh ke bhi na aaye
meri yeh peera tum ko kaun samjhaaye
apne khawabo ko yun na pyaar ke libas pehnaao
samjh lo sachaai aur hosh mein aao
 
yeh chaman na bas sakega kisi ke taraano se
ab yahan koi geet pyaar ka na gaao
mere bechain nayano ki pyaas ab kaun bujhaaye
aaja ki ab toh aayi vasant bahaar hai
teri judaai ka yeh kaisa uphaar hai

gehare dard mein dube hain nayan hamaare
ab in mein koi sapana bhi na utare
hontho per aa ke ruke hain sukhe ashaq hamaare
ab tere bina jeena mushkil hua re
ab toh bas milan ka hi intazaar hai
teri judai ka yeh kaisa uphaar hai!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 09:43:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer