Tum jo nahin ho ....!!!!

by Talat on November 02, 2006, 04:19:57 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 6370 times)
muskan_bye
Guest
«Reply #60 on: February 25, 2008, 08:10:21 AM »
Reply with quote
Log kyu itna ehsaas karte hai
jab koi is ehsaas ki ehmiyat nahi rakhta toh
usi ke khayalo mein kyu khoye rahete hai
kya zindagi mein iske siva kuch nahi
agar aap karna chaho toh bahut kuch dikhayi deta hai.....

aap "Zakhmola" kyu udas ho zindagi ek baar thukraya hai
zindagi ek baar choda hai magar aap ek nayi zindagi jiyeiye
or apne ko sabse ek bahetar samjhkar toh dekhiye.........

zindagi mein kitne dard hote hai
kash tum hote toh samjhte ki dard kitne zakham dene wale hote hai
tum matlab aap sab log mein agar koi hum jaise ko samjhta
toh ye sab na sunna na kahena padta ki "Tum jo nahi ho..."

**********************************Muskan**********************
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum Bhi To Aaj Tum Nahin..... by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Zarf ka koi naam nahin , Aansoo ka koi daam nahin by javedarshad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Nahin hai mujhe hosh mera Lekin mein madhosh nahin by Ricky in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Just for You !!! - Nahin Nahin Nahin ... by Qutubuddin in Ghazals
zakhmola
Guest
«Reply #61 on: February 25, 2008, 08:26:53 AM »
Reply with quote
Muskaan nahin hai jahan
main hun wahan
jahan muskaan chin jaati hai
wahan moal[ kharidna ]leita hun Zakhmon ko main...
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #62 on: February 25, 2008, 08:40:09 AM »
Reply with quote
"Muskan" ki chahat toh nahi ki humne aap se
bas aap dukhi na is baat ki guzarish ki hai aapse

Hum aap ko jante nahi phir bhi
jo yoindia ka friend wahi humara friend
humne toh bas aap se ye kaha "Zakhmo" ko kharida nahi jata
woh khud ba khud aa jate hai "Muskan" ko bulwaya nahi jata
woh khud ba khud aa jati hai ....
******************************Muskan************************
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #63 on: February 25, 2008, 08:59:49 AM »
Reply with quote
Tumharey na honey sey main dukhi hun
yeh kisney keh diya aapsey
mera [ Zakhm ]wajood [ existance ] toh aksar
Tere [ muskaan ] na honey sey he banata hai...
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #64 on: February 25, 2008, 09:27:16 AM »
Reply with quote
Humne apne naam se ya humare na hone se nahi kaha
zara sahi se pariye phir boliye ki humne aisa kaha.......

Hume kisi ki zaroorat nahi na kisi ko humari
humne toh bas aise hi shayari likhi
nahi toh uske liye bhi hume waqt nahi........

***********************Muskan******************************
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #65 on: February 25, 2008, 09:31:45 AM »
Reply with quote
yehe toh fark hai
aap mein aur hum mein
aap aisey he shayri likhti hain
Aur hum Aisi he shyari likhte hain...
jahan tak baat hai zaroorat ka
toh kisi ko kisi ki zaroorat nahin hoati
wohh toh insaan bas yunhi dil ko bharmaata hai
haqikat toh yeh hai zindgi ki
har koyi akela aata hai, Akela jaata hai...
Logged
muskan_bye
Guest
«Reply #66 on: February 25, 2008, 09:44:00 AM »
Reply with quote
Maine aap mein or apne mein fark ki baat nahi ki
maine kaha agar aap dukhi hai toh thodi khushi hi sahi
magar aap kya samjhoge logo ki humdardi
bas aap ko toh lagta hai ki jaise zindagi mein aap ko log milte aaye hai waise hi milenge , magar aap ko kya pata ki kuch log aise nahi hote, kuch log bahut ache hote hai, jo unke dukh ko samjhte hai, magar aapko toh bas ye nazar aata hai ki bas aap hi akele dukhi hokar likhte hai , magar aap kya jaane aapse bhi badkar dukhi hokar jane kya kya kar baithte hai, aap toh ye sochte ho ki hum aap se dushmani karne lage hai, ya phir aap se ziyada logo ke liye bol rahe hai , aisa na sochiye hum bhi aise hai jo logo khush hote dekhna chahte hai,

hum toh chale ab , aap ko jo kahena kahe dijiye , hum toh apni jagha sahi or aap apni jagha sahi, bas aap ruswa na hoiye, hum toh aise hi pareshan karte hai, aap dukhi na hoiye hum toh likhte hai, magar aap sab ke liye likhte hai aap dukhi na hoiye.........
...friend....
............................Muskan............... ............
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #67 on: February 25, 2008, 09:56:36 AM »
Reply with quote
muskaan ji Friend jiii...

aapney freind kaha
toh humney bhi dushmani ko The end kaha
waisey zakhm aur khushi muskil sey he miltey hain
dekhna yeh hai yeh Muskaney Ae-Zakhm kahan tak chalte hain... take care... god bless you always...
Logged
Talat
Guest
«Reply #68 on: February 25, 2008, 10:24:27 AM »
Reply with quote
Ab ye Hoga Shayad Apni Aag mein Khud Jal Jaayenge,.
Tum Se Door Bahoot Rehkar Bhi Kya Paya, Kya paayenge,.

Dukh Bhi sachche Sukh Bhi Sachche, Phir Bhi Teri Chahat Mein,.
Humne Kitne Dhoke Khaaye, Kitne Dhoke Khaayenge,.

Akhal Pe Humko Naaz Bahoot Tha, Lekin Ye Kab Socha tha,.
Ishq ke haathon Ye Bhi Hoga, Log Hume Samjhaayenge,.

kal ke Dukh Bhi Kaun Se Baakhi Aaj Ke Dukh Bhi kayi Din Ke,.
Jaise Din Pehle Kaate The, ye Bhi Din Katt Jaayenge,.

__________________________________-Ahamed Hamdani-


Shukriya Azeem...taaref ke liye aur itni khoobsurat Ghazal share karne keliye.
Logged
Talat
Guest
«Reply #69 on: February 25, 2008, 10:26:40 AM »
Reply with quote
Tumsey bichad ke bhi
main jee raha hun abhi tak
kitni jhooti thi wohh kasmey[ tu nahi hogi toh main mar jaunga ]
jo humney milkar khayi thi...


Waade toot jate hain sheeshe ki tarah
Bulbula paani aa ke jaaye jis tarah !
Logged
Talat
Guest
«Reply #70 on: February 25, 2008, 10:27:21 AM »
Reply with quote
Bohot khoob Zakhmola and Muskan...aapne bohot achchi jugalbandi ki hai..!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #71 on: February 25, 2008, 10:35:24 AM »
Reply with quote
Duniya ki tez Hawaaon mein mera meet kahin kho gaya hai!
Sangeet to ab bhi wahin hai magar Geet kahin kho gaya hai!

Jabse juda woh hum se hue hain Saare aalam badal gaya hai,
sardi, garmi, patjhad, Sawan sab chaumasa ho gaya hai!

Bachche dekh ke hanste mujh ko,duniya kahti deewana hai,
Teri chaah mein mera wazood hi Ek Tamaasha ho gaya hai!


Bohot Umdaa Arunji !!

Pareshaan ho tum udhar, sukoon idhar bhi nahin,
Magar wapis aa jaaoge, tumne yeh kaha bhi nahin

Reza reza ho kar bikhar rahe hain tanhaayi main,
Samet le jo mera wajood ko koi aisa bhi nahin

Kehte the mar jaayenge hum ek din tere baghair
Chal rahi hain saasen, par hum zinda bhi nahin !


Logged
Roja
Guest
«Reply #72 on: February 27, 2008, 02:21:36 AM »
Reply with quote
yehe toh fark hai
aap mein aur hum mein
aap aisey he shayri likhti hain
Aur hum Aisi he shyari likhte hain...
jahan tak baat hai zaroorat ka
toh kisi ko kisi ki zaroorat nahin hoati
wohh toh insaan bas yunhi dil ko bharmaata hai
haqikat toh yeh hai zindgi ki
har koyi akela aata hai, Akela jaata hai...

Wah wah... Zakhmola ji bahut khoob.. daad hazir hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #73 on: February 27, 2008, 10:58:43 AM »
Reply with quote
Shukriya Talat Ji,.
Sharan Kumar Ji,.
And Nice One All,.
Sabne Kamaal Ka Likha Hai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #74 on: February 27, 2008, 10:59:18 AM »
Reply with quote
Tu Hai Agar Mujhse Khafa Khud Se Khafa Hoon Main Bhi,.
Mujhko Pehchaan Ki Teri Hi Adaa Hoon Main Bhi,.

Ek Tujhse Hi Nahi Fasl-e-Tamanna Shadaab,.
Wahi Mausam Hoon Wahi Aaab-o-Hawaa Hoon Main Bhi,.

Sabt Hoon Dast-e-Khamoshi Pe Heena Ki Surat,
Naashunidaa Hi Sahi Tera Kahaa Hoon Main Bhi,.

Chaand Bankar Tere Aangan mein Utar Hi Jaaoon,.
Raat ke Pichle Pahar Maandi Duaa Hoon Main Bhi,.

Yun Na Murjhaa Ki Mujhe Khud Pe Bharosa Na Rahe,.
Pichle Mausam Mein Tere Saath Khilaa Hoon Main Bhi,.

Jaane Kis Raah Chaloon Kaun Se Rukh Murd Jaaoon,.
Mujhse Mat Mil Ki Zamaane Ki Havaa Hoon Main Bhi,.

__________________________________-Mazhar Imran,.-

Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 12:07:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.173 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer