yaad aata hai

by vikas2210 on July 23, 2005, 06:33:55 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1130 times)
vikas2210
Guest
Reply with quote
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay,
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad aata hai... by Soheb_Khan in Shayri for Dard -e- Judai
Yaad aata hai by thycreator in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
**YAAD AATA HAI** by baadal102 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
-Yaad aata hai- by HumTum in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Hoosh aata hai to aata hai satana dil ka by Mast Khalander in Share Poetry You Like
vikas2210
Guest
«Reply #1 on: July 23, 2005, 11:15:51 AM »
Reply with quote
jo keh na sake wo fasana yaad aata hai
guzra hua dilkash jamana yaad aata hai

jab husn se ishq takraya tha kabhi
ghayal hua tha ek parwana yaad aata hai

dil se mohabbat ke tufaan uthe the jab
aankhon ka sapne sajana yaad aata hai

kasturi jaise din mehakte the mere
raaton ka gungunana yaad aata hai

aankhon ka mil kar jhuk jana nahin bhula
hothon ka thar_tharana yaad aata hai

mera usko kankhiyon se dekhna baar baar
aur uska wo muskurana yaad aata hai

raaton ko tanha yaad mein kisiki...
dhuan udata ek deewana yaad aata hai (n/m)
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: August 30, 2009, 08:37:21 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut khoob Vikas ji,midblowig creation.excellent. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #3 on: March 02, 2010, 09:17:42 AM »
Reply with quote
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay,
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai

Very Nice Vikas

Woh beeta hua zamana aur uski baatein
Woh shayri ka daur aur apni mulaqatein
Woh khushi aur woh muskurate pal
Jaane kyu Humein ab bhi hai yaad aate

Saba
Khiza ka mausam
yaado.n ka darpan
ek meethi si uljhan
aur kuchh nahi
Logged
Saba_Saba is back
Guest
«Reply #4 on: March 02, 2010, 09:34:32 AM »
Reply with quote
Thank u Kaash Ji


Saba
Khiza ka mausam
yaado.n ka darpan
ek meethi si uljhan
aur kuchh nahi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 06:13:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer