yaad

by Tosha on August 26, 2004, 10:55:51 AM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16
ReplyPrint
Author  (Read 27600 times)
Tosha
Guest
«Reply #210 on: April 13, 2006, 06:15:15 AM »
Reply with quote
bahut sahi kaha Anjum !!

Tujhe yaad nahi aati yeh bhi sahi
per meri mohabbat main kya kami rahi
tahna baithe tere khuwab dekha karti hun
bas teri yaadon ke sahare hi je leti hun
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaad by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Tosha
Guest
«Reply #211 on: April 23, 2006, 08:19:58 AM »
Reply with quote
Basta hai tu is dil main
sada raheta hai dil ke kareeb
mujhe chod ke jaane wale
teri yaado ke sahare jeena bana mera maseeb
Logged
Tosha
Guest
«Reply #212 on: April 30, 2006, 06:52:19 AM »
Reply with quote
Tujhse judai, yeh dasti tanhaye
tere ruthne se pahele mujhe maut kyo na aaye
aakhon main chera dil maintere yaadon ke saaye
teri yaad saman mujhe pal pal tadopaye
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #213 on: April 30, 2006, 01:16:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "Tosha"
Tujhse judai, yeh dasti tanhaye
tere ruthne se pahele mujhe maut kyo na aaye
aakhon main chera dil maintere yaadon ke saaye
teri yaad saman mujhe pal pal tadopaye


MashaALLAH..bahut khoob..Tosha
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #214 on: April 30, 2006, 03:42:51 PM »
Reply with quote
TOSHA ji bahut bahut khoob.............

Dekhe na koi humko mohabbat ki nazar se,
aa jata hai bhoola hua afsana mujhe yaad....
judai-e-mohabbat me aaya hai aisa mukaam,
duniya thi humen yaad, na duniye ko hum the yaad...
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #215 on: May 10, 2006, 06:51:53 PM »
Reply with quote
Wow! good one..vicky
Logged
*Anjum*
Guest
«Reply #216 on: May 10, 2006, 06:52:27 PM »
Reply with quote

Aankhien hai ashk baar ke yaad aa rahe ho tum
dil hai bekaraar ke yaad aa rahe ho tum

aankhon se dil tak hai tasavvur ki roshni
roshan hai raahguzar ke yaad aa rahe ho tum

kis pe guzra hai woh aalam jo mujh pe
ho kis ko aetbaar ke yaad aa rahe ho tum
Logged
yaad
Guest
«Reply #217 on: May 11, 2006, 06:34:52 AM »
Reply with quote
na khawab sajao ankhon main
ye khawab to rait kharonde hain
ek hawa jo chaley gi halki si
ye rait kharonde bikhrain gey
phir kaise in ko pakro gi
kab tak in ko bachao gi
aur khawab ankho hi ankhon main
sab mitti main mil jain ge
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #218 on: May 13, 2006, 12:28:03 PM »
Reply with quote
shukriya ANJUM ji ... aur aapne bhi bahut khoob likha hai......

and nice one YAAD
Logged
yaad
Guest
«Reply #219 on: May 16, 2006, 09:06:55 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
shukriya ANJUM ji ... aur aapne bhi bahut khoob likha hai......

and nice one YAAD




Thanx viky AKELAji aur bahut khuoob anjumji sabne acha likha hai
keep writing, ke jawab deneka dil kare
Logged
yaad
Guest
«Reply #220 on: May 16, 2006, 09:12:31 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"


Dekhe na koi humko mohabbat ki nazar se,
aa jata hai bhoola hua afsana mujhe yaad....
judai-e-mohabbat me aaya hai aisa mukaam,
duniya thi humen yaad, na duniye ko hum the yaad...


wah kya khoob likha hai, lekin mai kuch istarah se pesh kartha hoon.

Wo meri ho jo nigahoon mein haya rakhti ho
umer bhar saath chalne ka azm rakhti ho
Naaz us key na uthaoon to shikayat kernaaa
Ghum utha ker bhi wo hunsne ki ada rakhti ho.
Logged
Tosha
Guest
«Reply #221 on: September 24, 2006, 09:08:57 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Yaad!! and Vicky!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #222 on: December 21, 2006, 03:04:28 AM »
Reply with quote
judai ki tapas main sulag rahi hai
teri yaad main katra katra fana ho rahe hai
Logged
Tosha
Guest
«Reply #223 on: April 25, 2007, 09:58:05 AM »
Reply with quote
उन्हे चाहा हमे है किस्मत हमारी
उनकी चाह को हम चाह ना सके
हमे छाने वाले हज़ार जिसे हमने
चाहे उसे हम कभी पा ना सके
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #224 on: April 27, 2007, 06:44:30 PM »
Reply with quote
Toot kar chaha tha jisay wohi dhoka day jaye ga,
Bina kashti kay musafir kesay sahil tak aaye ga.

Sukhay patton ki tarah yun bikhar jaye gi zindagi apni,
Socha na tha yeah waqt humain is mor pa bhi laye ga.

Main ne chand ki tamana main,ginwa diye taaray bhi,
is oonchi udan main kahan maloom tha kah kafila hi chut jaye ga.

apni hi lagai aag main apna hi wajood jal jaye ga,
kis ko khabar thi yeah waqt bhi hum pa aye ga.

jub raigistan ki rait hi apna mukadar thi tu,
kyon soocha hum nay kah hamain woh mil jaye ga.

apnay hi banaye jaal main shikari khud hi qaid ho jaye ga,
koi yon bhi bhala apna mukadar likhwaye ga.

zindagi tapti dhoop kay tale yun hi chali ja rahi hai,
kiya aab koi pani pilanay wala nahi aye ga....
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 25, 2025, 06:50:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 20, 2025, 05:19:02 AM]

[May 16, 2025, 08:38:38 AM]

[April 27, 2025, 09:31:46 AM]

[April 24, 2025, 01:10:57 AM]

[April 09, 2025, 05:20:40 AM]

[April 09, 2025, 05:18:27 AM]

[April 09, 2025, 05:10:46 AM]

[April 09, 2025, 05:10:02 AM]

[April 09, 2025, 05:09:16 AM]

[April 09, 2025, 05:04:37 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8513 Real Poets and poetry admirer