YAAD

by zeya shahjahani on March 16, 2009, 05:19:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 720 times)
zeya shahjahani
Guest
Reply with quote
Yaad bankar teri sochon me raha wo main he tha/
Lamha-2 tera hamsaya bana wo main he tha//

Noor ka teeka jo damka tha teri peshaani pe/
Banke khushiyan tere hoton pe khila wo main he tha //

Kahkahon me siskiyon me aahton me aour tere /
Surkh jode ke sitaron me chhipa wo main he tha//

Vaadiyon ka husn phoolon ki hansi chanda ka roop/
Laya tere waste mahki fiza wo main he tha //

Ban rahi thi tu dulhan us waqt jo allah se /
Mangta tha reri khushiyon ki dua wo main he tha//

Waqt-e-rukhsat roote-2 thak gaye jab tere nain /
Ashk ka jo akhri qtra gira wo main he tha //

Mud gaye tujhko vida karke tere ahbaab sab /
Jata tujhko door tak dekha kiya wo main hi tha //

Bujh gaye saare nazare ik tere jane ke baad /
Ek diya dahleez pe taashab jala wo main he tha //

Bazm ko teri main raoshan kar gaya banker “zeya”/
Tere haanthon me hina bankar racha wo main he tha //
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaad by Suhas in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Karoge Yaad To Har Baat Yaad Aayegi............. by waheed_rose2004 in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ANAAMIKA
Guest
«Reply #1 on: March 16, 2009, 05:49:12 PM »
Reply with quote
Zeyaji kalaam aapka kabile tariff hai... Applause Applause Applause

Per samajh nahi aata kaun kisko yaad kar raha hai.....
Aashiq kah raha hai mashuka ka her khyal wahi tha....
Per likh mashuka rahi hai.....
Yaad bankar teri sochon me raha wo main he tha/
Lamha-2 tera hamsaya bana wo main he tha//

Noor ka teeka jo damka tha teri peshaani pe/
Banke khushiyan tere hoton pe khila wo main he tha //

Kahkahon me siskiyon me aahton me aour tere /
Surkh jode ke sitaron me chhipa wo main he tha//

Vaadiyon ka husn phoolon ki hansi chanda ka roop/
Laya tere waste mahki fiza wo main he tha //

Ban rahi thi tu dulhan us waqt jo allah se /
Mangta tha reri khushiyon ki dua wo main he tha//

Waqt-e-rukhsat roote-2 thak gaye jab tere nain /
Ashk ka jo akhri qtra gira wo main he tha //

Mud gaye tujhko vida karke tere ahbaab sab /
Jata tujhko door tak dekha kiya wo main hi tha //

Bujh gaye saare nazare ik tere jane ke baad /
Ek diya dahleez pe taashab jala wo main he tha //

Bazm ko teri main raoshan kar gaya banker “zeya”/
Tere haanthon me hina bankar racha wo main he tha //

Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #2 on: March 17, 2009, 05:00:36 AM »
Reply with quote
Bohat bohat khoobsurat kalam likha hain tumne zeya. Subhan_allah jitni tareef ki jay kam hain.....

Aur anamika main samaj sakta hu aap theek se shayri aur usme bayaan kiye gaye jazbaat samajh nahi pa rahe ho. Aur shayri koi Raja ya Rani ki kahani to nahi hain, jo har baar aapko ek ek cheeze samjhayi jaye.

Anyway agar aapko koi doubt bhi ho to aap Author ko PM karke direct pooch sakte ho, qke aapke is tarah sawaal karne se aur logh bhi confuse ho jate hain. Aur ek khoobsurat kalam ko utni Hausla Afzaiee nahi mil pati.

Yeh meri aapse guzarish hain, plz meri batein buri lagi ho to muje maf kariyega.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:13:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer