yaadein

by majid on March 24, 2006, 03:16:01 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 7692 times)
majid
Guest
Reply with quote
Chupke se jo mere dil ko chookar kahin chip jaati hai,
Woh uski baatein hain jo mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Roz mere sapno mein aa kar mujhe rula jaana uski aadat si hai,
Fir subah bina kuch kahe ansuon ke sang ankhon se beh jaati hai,
Chah kar bhi na bhul paaya main woh haseen pal, woh meethi baatein,
Chhod gaye woh mujhe tanha si, ab bachi hai sirf uski yaadien.



(karan)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Yaadein by sarafz in Shayri-E-Dard
yaadein by sandeepparker in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
yaadein by Nino in Shayri-E-Dard
Yaadein.. by Aryaan in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 5 6 »
Yaadein by ghausia in Shayri for Khumar -e- Ishq
*Anjum*
Guest
«Reply #1 on: May 10, 2006, 06:50:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob..majid
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: May 11, 2006, 03:34:53 AM »
Reply with quote
bahut khub majid...............

jo bhi dukh yaad na tha ,yaad aaya
aaj kya janiye hamko kya- kya yaad aaya,

jis tarah dhund mein lipte kuch phool
ek ek nakash tera yaad aaya....

yaad aaya bicharna tera
fir nahi yaad ki kya- kya yaad aaya

yeh mohabat bhi hai kya rog
jisko bhule woh hi sada yaad aaya......n/m
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #3 on: May 11, 2006, 07:03:56 PM »
Reply with quote
Wah Majid Bhai Bohot Khoob Ji !!!!!!!
Logged
sweety pie
Guest
«Reply #4 on: May 12, 2006, 05:17:56 PM »
Reply with quote
Great majid bro!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #5 on: May 17, 2006, 07:04:11 AM »
Reply with quote
Karan brother bahut hi acha likha hai apney... wonderful... sabhi post bahut achi hia....



Quote from: "majid"
Chupke se jo mere dil ko chookar kahin chip jaati hai,
Woh uski baatein hain jo mujhe aaj bhi yaad aati hai,
Roz mere sapno mein aa kar mujhe rula jaana uski aadat si hai,
Fir subah bina kuch kahe ansuon ke sang ankhon se beh jaati hai,
Chah kar bhi na bhul paaya main woh haseen pal, woh meethi baatein,
Chhod gaye woh mujhe tanha si, ab bachi hai sirf uski yaadien.



(karan)
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: May 17, 2006, 07:05:00 AM »
Reply with quote
keya bat hai Ranjana.... wonderful dear...

Quote from: "ranjana"
bahut khub majid...............

jo bhi dukh yaad na tha ,yaad aaya
aaj kya janiye hamko kya- kya yaad aaya,

jis tarah dhund mein lipte kuch phool
ek ek nakash tera yaad aaya....

yaad aaya bicharna tera
fir nahi yaad ki kya- kya yaad aaya

yeh mohabat bhi hai kya rog
jisko bhule woh hi sada yaad aaya......n/m
Logged
Sonu
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2006, 07:06:01 AM »
Reply with quote
jeeney ke liye humey teri yaad hi kaaphi hai
zindgi se kuch kya kahoo.n siwa iss ke
marte waqt tera hi naam hoga jubaan par
wada yeh mera... aur kya kahoon bina iske
Logged
Sonu
Guest
«Reply #8 on: May 19, 2006, 05:22:09 AM »
Reply with quote
Thanks Majid bahi..

Shaam Se Aankh Mein Nami Si hai
Aaj Phir Aap ki Kami Si hai

Dafan Kardo Hamein Ke saans Aaye
Nafz Kuch Deer Se Thami Si Hai

Khoon Pathra gaya hai aankhon mein
Barf Palkon MEin Kyon Jami si Hai

Waqt Rukta Nahin Kahin Tik Kar
Iss Ki Aadat Bhi Aadmi Si Hai

Aayiye Raaste alag Karlein
Ye Zaroorat bhi Bahami Si hai



Quote from: "majid"
GOOD JOB SIS
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #9 on: May 19, 2006, 09:28:17 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Sonu Ji, Majid Bhai Aur Sabne Bhi Bohot Khoob Likha Hai !!!!!

Bepanaah Ishq Karne Ka Gunaah Kiya Hai Tune,
Na Jannat Nasib Hogi Na Jahannam Ka Pata Milega!!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: May 19, 2006, 09:34:27 PM »
Reply with quote
shukriya abhi ji(yaad ji).... apney bhi bahut acha likha hai...

humney jesey bhulana chaha usey bhula na sakey,
humey jesey dil deya usey beta na sakey,
humney jissey payr keya usey ishar na ker sakey,
hum deykhtey rahey usey or vo jaker negahey char kesi or sey ker beythey.




Quote from: "darde_dil"
Bohot Khoob Sonu Ji, Majid Bhai Aur Sabne Bhi Bohot Khoob Likha Hai !!!!!

Bepanaah Ishq Karne Ka Gunaah Kiya Hai Tune,
Na Jannat Nasib Hogi Na Jahannam Ka Pata Milega!!!
Logged
darde_dil
Guest
«Reply #11 on: May 19, 2006, 10:19:47 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Sona ..  !!!!

Na Dil Dena Kisiko K Ye Jal Jata Hai Kabhi Kabhi,
Nafrat Hoti Hai Usse Magar Yaad Aata Hai Kabhi Kabhi !!!
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: May 19, 2006, 10:57:22 PM »
Reply with quote
shukriyaa Abhi... bahut acha liklha hai...


ab to jeysey jindig mey sirf kala andeyrow ka saya hai,
 her kesi ney pyar mey dukha hee kahya hai,
yadoo key sahare jeena mushkil hai,
unki her baat yaad rakhker dil ko jalana hee hai,
 meykahney valey bhi humsey katraney lagey hai,
hum jayda na peley esleya shrab humsey chupaney lagey hai.


Quote from: "darde_dil"
Bohot Khoob Sona ..  !!!!

Na Dil Dena Kisiko K Ye Jal Jata Hai Kabhi Kabhi,
Nafrat Hoti Hai Usse Magar Yaad Aata Hai Kabhi Kabhi !!!
Logged
jatin1101
Guest
«Reply #13 on: May 20, 2006, 08:36:07 AM »
Reply with quote
very good work all of u... najid, sonu, ranjana, dard-e-dil. sabney bahut hi badiya likha hai.
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: May 22, 2006, 07:09:39 AM »
Reply with quote
Jatin ji thanks....

Majid brother shukriya....

Mere Honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kaye aur bhi ghum paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 02:39:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer