Agar Kar Sake .....

by Qutubuddin on April 23, 2005, 09:49:30 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 746 times)
Qutubuddin
Guest
Reply with quote
Agar Kar Sake .....


Meri Mohabbat Ka Ehsaas Kar Agar Kar Sake,

Tu Bhi Mujh Se Pyar Kar Agar Kar Sake,

Aadat Badalti Hai Fitrat Badalti Nahi,

Jaisa Hoon Aise Hi Yaar Kar Agar kar sake,

Janta Hoon Buhat Kami Hai Mujhy Mein Achaai Ki,

Meri buraayoon Ko Sharamsaar Kar Agar Kar Sake,

Kisi Or Ka Khayaal Bhia Na Aane Paaye Kabhi,

Itni Mohabbat Ka Izhaar Kar Agar Kar Sake,

Main Tu Harf-A-Khaak Hoon Aur Kuch Bhi Nahi,

Apne Pyaar Se Nayaab-A-Aghyaar Kar Agar Kar Sake,

fakat Taman Hai Qaid-O-Hukam Nahi Tum Par,

Mujh Pe Sachi Chahat Aisaar Kar Agar Kar Sake,

Do Kadam Ka Saath Nahi Chahta Tumse,

Umar Bhar Ka Wada-O-Ikraar Kar Agar Kar Sake.

"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
APNA NA SAKE by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
~~~NA SAKE~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
Jo keh na sake by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
Agar ho sake to ..........masoom by masoom shahjada in Miscellaneous Shayri
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: April 23, 2005, 10:59:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "Qutubuddin"
Agar Kar Sake .....


Meri Mohabbat Ka Ehsaas Kar Agar Kar Sake,

Tu Bhi Mujh Se Pyar Kar Agar Kar Sake,

Aadat Badalti Hai Fitrat Badalti Nahi,

Jaisa Hoon Aise Hi Yaar Kar Agar kar sake,

Janta Hoon Buhat Kami Hai Mujhy Mein Achaai Ki,

Meri buraayoon Ko Sharamsaar Kar Agar Kar Sake,

Kisi Or Ka Khayaal Bhia Na Aane Paaye Kabhi,

Itni Mohabbat Ka Izhaar Kar Agar Kar Sake,

Main Tu Harf-A-Khaak Hoon Aur Kuch Bhi Nahi,

Apne Pyaar Se Nayaab-A-Aghyaar Kar Agar Kar Sake,

fakat Taman Hai Qaid-O-Hukam Nahi Tum Par,

Mujh Pe Sachi Chahat Aisaar Kar Agar Kar Sake,

Do Kadam Ka Saath Nahi Chahta Tumse,

Umar Bhar Ka Wada-O-Ikraar Kar Agar Kar Sake.

"


wow  qutubuddin  bhai..................superbbbbbbbbbbbbbbbbbbbbb
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #2 on: April 23, 2005, 11:05:05 AM »
Reply with quote
Sukreyaa Waheed .....

Thank you very Much..

Ques......

*************************************
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: April 23, 2005, 11:10:22 AM »
Reply with quote
ur  always  welcome  brother...............:lol:........
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #4 on: April 23, 2005, 12:03:15 PM »
Reply with quote
Janaab...

Sher dill tak lagaa, aap kay kalam per sir jukaathi houn... Muji Mirza Galib key pechaan lage apke shayrii mein...

unka ek sher arz kerthi houn...  
Apnaa_koi


Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

teree naazukee se jaana ki bandha tha 'ehed_booda
kabhee too na tod sakta agar oostuwaar hota

koee mere dil se pooche tere teer-e-neemkash ko
ye KHalish kahaaN se hotee jo jigar ke paar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee  chaarasaaz  hota, koee GHamgusaar hota

rag-e-sang se Tapakta wo lahoo ki fir na thamta
jise GHam samajh rahe ho, ye agar sharaar hota

GHam agarche jaaN_gulis hai, pe kahaaN bachaiN ke dil hai
GHam-e-ishq gar na hota, GHam-e-rozgaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna? agar ek baar hota

Use; hue mar ke ham jo ruswa, hue kyoN na GHarq-e-dariya
na  kabhee janaaza uThata, na kaheeN mazaar hota

 kauN dekh sakta  ki yagaana hai wo yaktaa
jo dooee ki boo bhee hotee to kaheeN do chaar hota

ye   masaail-e-tasawwuf, ye tera bayaaN  'GHalib'
tujhe ham walee samajhate, jo na baada KHwaar hota

Mirza Galib
Logged
Qutubuddin
Guest
«Reply #5 on: April 23, 2005, 12:19:18 PM »
Reply with quote
Sukreya Apnaa_koi ..

Very Nice and Good Post Apnaa_koi...

"
Ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

"

Ques..
Logged
apnaa_koi
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2005, 01:58:31 PM »
Reply with quote
Ji... Shukaria

'ghar jab bana liya hai tere dar par kahe baGHair,
jaanega ab bhee too na mera ghar kahe baGHair' Mirza Galib


Hain aur bhee duniya mein sukhanwar bohot ache... likin Ghalib ka hai andaaz-e-bayaan he aur hai...  Vesse javaab daynay key baard note kiyaa key apnay vo he sher arz kiyaa hai... tu apke passand bhi sir annkoun per...

Apnaa_koi
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2005, 08:12:55 PM »
Reply with quote
Umar Bhar Ka Wada-O-Ikraar Kar Agar Kar Sake.

Mere saath na itni jafa kr agar  kar sake
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 12:04:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.162 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer