| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |   |   | 
 Agar tum aaj mil jaao bataana chahte hain humHamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum
 
 Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
 Tumhare dil ke aaNgan mein thikaana chahte hain hum
 
 Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
 Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum
 
 Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
 Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum
 
 Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
 Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum
 
 Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
 Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum
 
 Mire jeevan mein aa jaao saja daalo mere dil ko
 Tumhein humdum dulhan apni banaana chahte hain hum
 
 Yahaan tak aane lagti hai tumhaare ZULF ki khushboo
 Yahi to NET ke zariye bataana chahte hain hum
 
 AmeeN hum hain muhabbat ke hum hain URDU ke shaidaai
 Kudurat ho kisi DIL mein mitaana chahte hain hum
 
 ZameeN se taa falak jiski sataaish hi sataaish ho
 Murassa ik ghazal aisi sunaana chahte hain hum
 
 Tumhein hum se muhabbat ho na ho lekin mire “Waquif”
 Tumhaare ishq main jaaN ye lutaana chahte hain hum
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
			|  | 
	| 
			| 
					
						| madhuwesh 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #1 on: September 11, 2009, 06:10:06 PM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| shameem 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #2 on: September 11, 2009, 07:21:21 PM »  |   | 
 bhuat achi haaaaaaa....zara hamera muhabbat kya liya b dua karoe na......sachi ap bhuat grat hey.merako bhuat pasand hey ji shayari....... Agar tum mil jaao bataana chahte hain humHamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum
 
 Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
 Tumhare dil ke kone mein thikaana chahte hain hum
 
 Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
 Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum
 
 Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
 Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum
 
 Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
 Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum
 
 Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
 Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum
 
 Mire jeevan mein aa jaao saja daalo mere dil ko
 Tumhein humdum dulhan apni banaana chahte hain hum
 
 Yahaan tak aane lagti hai tumhaare ZULF ki khushboo
 Yahi to NET ke zariye bataana chahte hain hum
 
 AmeeN hum hain muhabbat ke hum hain URDU ke shaidaai
 Kudurat ho kisi DIL mein mitaana chahte hain hum
 
 ZameeN se taa falak jiski sataaish hi sataaish ho
 Murassa ik ghazal aisi sunaana chahte hain hum
 
 Tumhein hum se muhabbat ho na ho lekin mire “Waquif”
 Tumhaare ishq main jaaN ye lutaana chahte hain hum
 
      |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| aaina 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #3 on: September 12, 2009, 10:03:38 PM »  |   | 
 Agar tum mil jaao bataana chahte hain humHamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum
 
 waah waah kya baat hai waquif sahab bhut bhut khoob mashallah se har sher tareef ke qabil daad hazir hai janaab  |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| thegrimreaper 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #4 on: September 12, 2009, 10:13:44 PM »  |   | 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| drpandey 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #5 on: January 29, 2010, 09:59:30 AM »  |   | 
 Agar tum mil jaao bataana chahte hain humHamein tum se muhabbat hai jataana chahte hain hum
 
 Kahan jaayen kidhar jaayen kaheen bhi jee nahin lagta
 Tumhare dil ke kone mein thikaana chahte hain hum
 
 Tumhaari gar ijazat ho to phir mar jaane se pahle
 Samundar si nigaahon mein samaana chahte hain hum
 
 Bahut hi beqaraari hai chale aao chale jaana
 Tumhare saath kuchh lamhe bitaana chahte hain hum
 
 Tumhein tum se chura lenge muhabbat hi muhabbat mein
 Hamara ishq hai aisa dikhana chahte hain hum
 
 Nazar lag jaayegi tum ko na niklo ghar se be-parda
 Zamaane ki nigaahon se bachaana chahte hain hum
 
 |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| drpandey 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #6 on: January 29, 2010, 10:00:41 AM »  |   | 
 Awesome!!!! Very Nice |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| riyaz106 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #7 on: January 29, 2010, 10:35:07 AM »  |   | 
 Wah wah Waqif sahab, behtareen ghazal kahi hai aapne. Ghazal ki definition ke liye is ghazal ko pesh kiya ja sakta hai. Bahut waseeA takhayyul ka ye kamaal hai. Very nice. Shukriya ke aapne aise munfarid ghazal se hamein rubaru karaya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| deepika_divya 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #8 on: January 29, 2010, 10:52:38 AM »  |   | 
 SubanAllah Ansari ji.. Kya Khoob Likha hai.. Bahoot Khoob! |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #9 on: January 29, 2010, 02:01:28 PM »  |   | 
 Dear madhuwesh ji! aapki hauslaafzai ka bahut bahut shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #10 on: January 29, 2010, 02:03:05 PM »  |   | 
 Shameem Saheb! Aap ne naacheez ki ghazal ko saraha, iske liye aapka bahut bahut shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #11 on: January 29, 2010, 02:04:13 PM »  |   | 
 waah waah kya baat hai waquif sahab bhut bhut khoob mashallah se har sher tareef ke qabil daad hazir hai janaab
 
 Dear aaina! aap ne daad-o-tehseen ne nawaaza, bahut bahut shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #12 on: January 29, 2010, 02:05:31 PM »  |   | 
 Dear thegrimreaper!Aapki hausla-afzaai ka bahut bahut shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #13 on: January 29, 2010, 02:07:12 PM »  |   | 
 Awesome!!!! Very Nice
 Dear drpandey Saheb! Aapki daad-0-tehseen ka bahut bahut shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	| 
			| 
					
						| waquif ansari 
								Guest
 | 
                                                                    |  |   «Reply #14 on: January 29, 2010, 02:10:48 PM »  |   | 
 Wah wah Waqif sahab, behtareen ghazal kahi hai aapne. Ghazal ki definition ke liye is ghazal ko pesh kiya ja sakta hai. Bahut waseeA takhayyul ka ye kamaal hai. Very nice. Shukriya ke aapne aise munfarid ghazal se hamein rubaru karaya.
 Dear Riyaz Saheb! Aap ne meri ghazal se mutallique jitne haseeN pairaaye meiN alfaazoN ke guldaste se tareef ke pul baaNdhe haiN, in khoobsurat sataroN ke liye aapka az-hud shukriya. |  
						| 
								|  |  
								|  |  Logged | 
 |  |  | 
	|  |