~~~~ Ankhon se DIL Tak ~~~~~~~

by BeNam on September 21, 2005, 04:07:57 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4372 times)
BeNam
Guest
Reply with quote
Dekhata rahun tujhe umra bhar ya karun teri puja,
Khuda ne nahi banaya hasin tujhasa koi duja,

Jab bhi guzarati ho veeranese khilati hain kaliyan kain,
Jhuka kar uthati ho jab Nazar barasati hai bijaliya kain !

Ankhen mund kar na de dil ko yun saza,
Nazare milane ka mausam hai aa lut le maza,
Na dekh paye koi aa chupa lun tujhe,
fir Jee chahe jitana pyaar kar tu mujhe!

Palke jhuka ke rakhana haya ki nishani hai,
Lekin janeja yeh rasm to hui purani hai,
Nazare utha ke dekh toh is dil main hai tasveer teri,
Ab toh janate hai sabhi ban gayi hai takdeer tu meri!

Khabo se Hakikat ban toh gayi ho,
Nazaro se dil tak utter toh gayi ho,
Ankhon ke ishare sab samjh to rahi ho,
Ab toh karde izahar-e-mahobaat,
mera hale dil samajh to gayi ho!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
!! Koi ankhon-ankhon !! by muneeb in Shayri-E-Dard
ankhon ankhon sai baat karna by amit_is_always_cool in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4  All »
Ankhon ankhon mein++++++++++++++++ by Naya_Daur in Shayri for Khumar -e- Ishq
ankhon ne ankhon by saahill in Share:Love Poetry
ANKHON HI ANKHON ME IQRAAR AGAR KAR LO by pradeep srivastava raunaq in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 21, 2005, 05:26:21 PM »
Reply with quote
Wah Kaya Zazbaat hai!!!! bahoot khoob BeNaam ji!!!

Apki shayari parr kar, jo likha hai wo yahan likh rahi hu!!!


Dekhaty rahon Umar bhar, khuda se yahi rahegi dua
Na ho, kisi aor ka sang, na ayye koi tumhare jeevan mai ab duja
Tumhari najaro ka yah jaadu hai, jo sapne muje dikhati hai
Najar tumhari milty hi, bijliyan rag rag mai kondh jaati hai

Ajeeb sa yah alam hai, mahkata yah tan man hai
Kaise najre millau ki, yah apne app hi jhuk Jaati hai
Duniya ki parwaah hai kise, sari duniya ko mai bhool jaati hu
Kar ke ankhy band, jab tumhari banho mai, main simat jaati hu

Jhuki Palko ki ab yah, shikayat kayun tumhe hay
Jab her rasam rivazo ko, mai pichy chor atti hu
Teri gali, tera angnna, ab mera ho gaya sanjana
Jab bhi lety ho naam, mai tabhi to dorri challi atti hu

Khawabo ko hakikat banaya hay, jise puja, wo tera hi saya hay
Najaro ki shikayat kayun, jab her pal, sung tera nibhaya hai
Ankhon ki yah baty hai, inhe ankhon mai hi rahne do
Haya yah meri ankhon ki, meri bindiyan ban kar chamkane do!!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #2 on: September 21, 2005, 06:36:06 PM »
Reply with quote
--- Amzing Pooja Kya Jawab hai aap ka! ----------
Yeh shayari aap ke jawab main aapko dhyan main rakh ke likh raha hun!

Teri yeh sadgi per jaan lutane ko ji chahata hai,
Teri in adaon pe sada mer mitane ko ji chahata hai,
Kain baar kaha hai dilane jise, woh aaj doharane ko ji chahata hai,
Tere bin mer jate sanam, per tere sath ab jine ko ji chahata hai!

Tujhe dekh leta hun jab bhi ji karta hai mera,
Bus mund ke ankhe dil main dekh leta hun chehra tera!
Tujhe puja hai maine, mahobaat hai tu meri,
Her kadam mere sath rahe tu yahi hai tamana meri,

Saya nahi mehboob, humsafar hai tu meri,
Andhero main bhi sath degi, dil-e-chirag hai tu meri,
Tune sath nibhaya hai andhiyon main mera,
Wada karta hun aaj na chorunga marake bhi sath tera!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: September 21, 2005, 09:33:11 PM »
Reply with quote
bahoot khoob BeNam ji!!

Jawab mai kuch likhane ki koshish ki hai:

Teri chahat ne diya muje yah sadagi ka rang hai
Dekh kar teri chahat, yah sari duniya dung hai
Meri ankhain bolati hai, haal-e-dil humara
Mera bhi Kahan hai, ab bin tumhare koi gujara!!!

Jidher dekhu, ek teri murat hi ab najar atti hai
Karati hu tumse hawa main baat, aor khud mai Sharma jaati hu!!!
Yah hay kaise dhoon, jo main din raat ab gungunati hu
Nahi hoti ab kabhi akeli, asmaano main kahin urri jaati hu!!!

Lipat jaati hu duppate main, jise tum chu jaaty ho
Mahak jaati hay saanse, jab kabhi ankho ke aggy aa jaaty ho!!
Sath ab kaya chutegga kisi ke churrane se
Simat kar meri sanso main, mujmai hi kahi ab tum base jaaty ho!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #4 on: September 22, 2005, 03:08:03 AM »
Reply with quote
--- Bahot achha jawab tha aapka -----

Chali aa ke pukarati hai bahain meri,
Khoj rahi hai tujhe nigahe  meri,
Aake samaja tu, rag rag main meri,
Bas ja dil main tu, ban ke dhadakan meri.

Chandani raat ka nasha chha raha hai her taraf,
Dekh raha hun mahobaat ka asar main her taraf,
Chala jata hun teri hi yaad main hoke bekhabar,
DIL Dhundh hi lega tujhe, ai mere yaar!!



--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
tinda
Guest
«Reply #5 on: September 22, 2005, 01:22:30 PM »
Reply with quote
both of you are great, you may find this post as "KABAB ME HADDI" but i could not resist after going through, bahut achha likha hai BeNam and Pooja. . .touched my heart!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #6 on: September 22, 2005, 02:19:50 PM »
Reply with quote
--- Hey thanks Tinda ----
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: September 22, 2005, 05:40:40 PM »
Reply with quote
wah bahoot hi khoob!!!  App bahoot acha likhaty hai BeNam ji!!!

bahoot bahot shukariyan Tinda ji!!! app bhi kuch likh kar jaaty to acha lagata!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #8 on: September 22, 2005, 07:53:09 PM »
Reply with quote
--- Aapka jawab nahi aya poojaji toh yeh hamara jawab hai--

Baithe hai intazar main ke chale ayenge woh,
Humey gumey dil apana sunayenge woh,
Mana ke der ho gayi hai unsey,
Magar khush nasib hun main, ke ayenge woh!


--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: September 22, 2005, 07:57:53 PM »
Reply with quote
Hum kab se yaha ayye bathy hai
yah alag baat hai, door sharmaye bathy hai!!
jawab likh kar, rakh liya band dairy mai
yaha Pesh karane se, kuch ghabarai hui bathy hai!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #10 on: September 22, 2005, 08:38:07 PM »
Reply with quote
--- Wow ----

Mahobaat bhi karate ho aur daratey bhi ho,
Jawab likhate bhi aur chupate bhi ho,
Kya hale ulfat hai, ya hai yeh ada tumhari,
Dil kaheta hai, Her ada per vari jaun tumhari!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: September 22, 2005, 09:50:16 PM »
Reply with quote
Dil laga phir gungunane aor kirano ne chandini bikhari
Unki muskurahat ne, phir se hai deewangi bikheri
Lagta hai shayad, sawarag issii ko hai kahty
Simat kar unki bahon mai, saanson ne hai, rangini bikheri!!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #12 on: September 22, 2005, 11:34:53 PM »
Reply with quote
---

Kya baat hai, kitane achhe jazbaat hai,
Her bol main aap ke samunder ki gaherai hai,
Jhalakati her bol main sachhai hai,
Puchh lun jo hai mere dil main,
ya abhi chup raheni main hi bhalai hai!

--- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: September 23, 2005, 03:17:09 PM »
Reply with quote
bahoot khoob!!!

Dil ki har baat app shayari mai karna khoob janaty hai!!!
iss per bhi kahaty hai ki app humari shayri ko manty hai
Rahogy jo chup, to yah apki shayri sab bol jayegi
shayad kuch unkahin sawaal chor jayegi!!!
Logged
BeNam
Guest
«Reply #14 on: September 23, 2005, 03:28:24 PM »
Reply with quote
Isharo main jo baat kahi hai tune,
pata kar liya hai maine, bina sune,
Dekh kar andaz mahobaat ka tere,
Ji karata hai, kadam chum lun main tere.

-- BENAM -------
Banda majboor hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi fidarat main meri!
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 12:15:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer