Bahut door hoon par Tujhse Juda Nahi Hoon Main.....

by khwaish on February 23, 2008, 12:10:06 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 18173 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..

log kahenge ke main bedard hoon, khudgarz hoon
par kya sach mein tere pyaar ke kaabil nahi hoon main??.

Jo mere khwaabo mein, socho mein, khayalo mein hai shaamil
ussi shaks se aaj puchta hoon..
"kya tera apna nahi hoon main?"

kuch jazbaat dil mein aise bhi the jo hamesha se chup rahe
par aaj unn jazbaaton ko alfaz mil gaye hai
aaj unn jazbaaton ka karzdaar nahi hoon main...

jo mohabbat ki daastaan khamoshiyon se guzre
usme bhi bahut dard aur jazba hota hai,
har panha pad liya jaye,aisi koi kitaab nahi hoon main...

Kabhi-Kabhi apne likhe hue alfaaz bhi apne hisse ki
zindagi jee lete hai
ab koi dil mein chupa hua ehsaas nahi hoon main...

jaanta hoon, aapne bhi kabhi suni hai woh dil ki pukaar ko
ab yeh na kehna ke woh awaaz hi nahi hoon main...

Har ilzam, har shikwa "khwaish" seh jayega iss jahan mein
bas...kabhi yeh na kehna ke ab tera nahi hoon main....

"KHWAISH" naam hone ki bhi ek wajeh thi is dil ke paas
par aaj...baaki koi khwaish nahi hoon main....color]
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: February 23, 2008, 12:13:05 AM »
Reply with quote
wah wah wah!! kaya baat hai.. bahoot khoob khwaish ji!!!

Door hokar bhi koi dil ke pass gungunata hai
Parchai sa bana rooh mai basa jaata hai

Bedardi aisa, chain se kahin rahne nahi deta
Her pal yaadon mai sataye jaata hai

Kaabil hai kon kiske, ab yah sawal kaha
Dhere dheere jo nas nas main base jaata hai

Khwabo-o-khayalo per ab hai raz uska
Jo raato ki meri nindein liye jaata hai

Her Jazbaat uske se kyun mere jazbaat mil jaate hai
Yah kaya mere Ahsaaso ko, ajj hue jaata hai

Khamoshia bhi teri, de gai thi mujhko sun
Phir kyun juban per lake, bezaar hue jaata hai

Tere alfaazo main, zindagi apni najar aai
Kyun yah soch soch kar preshan hua jaata hai

Yah shikwa tera, kisi din le lega meri jaan
Bahoot door hokar bhi, koi bahoot pass hue jaata hai!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: February 23, 2008, 12:29:26 AM »
Reply with quote
Bohot khhob...phir se Khwaish and Pooja ... ! (Par dobara kyun post kiya  Huh? pehle waala hata ke )
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: February 23, 2008, 01:49:32 AM »
Reply with quote
kyun ki galati se khwaish ji ne dard -e-shayri mai post kar diya tha aor bina puche delete bhi kar diya waha se!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: February 23, 2008, 01:52:17 AM »
Reply with quote
Oh...ok..maine thread location pe ghaur nai kiya tha Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: February 23, 2008, 01:57:10 AM »
Reply with quote
Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..

log kahenge ke main bedard hoon, khudgarz hoon
par kya sach mein tere pyaar ke kaabil nahi hoon main??.

Jo mere khwaabo mein, socho mein, khayalo mein hai shaamil
ussi shaks se aaj puchta hoon..
"kya tera apna nahi hoon main?"

kuch jazbaat dil mein aise bhi the jo hamesha se chup rahe
par aaj unn jazbaaton ko alfaz mil gaye hai
aaj unn jazbaaton ka karzdaar nahi hoon main...

jo mohabbat ki daastaan khamoshiyon se guzre
usme bhi bahut dard aur jazba hota hai,
har panha pad liya jaye,aisi koi kitaab nahi hoon main...

Kabhi-Kabhi apne likhe hue alfaaz bhi apne hisse ki
zindagi jee lete hai
ab koi dil mein chupa hua ehsaas nahi hoon main...

jaanta hoon, aapne bhi kabhi suni hai woh dil ki pukaar ko
ab yeh na kehna ke woh awaaz hi nahi hoon main...

Har ilzam, har shikwa "khwaish" seh jayega iss jahan mein
bas...kabhi yeh na kehna ke ab tera nahi hoon main....

"KHWAISH" naam hone ki bhi ek wajeh thi is dil ke paas
par aaj...baaki koi khwaish nahi hoon main....color]


Wah wah khwaish ji... bahut umda likha hai aapne. maza aagaya padkar..
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: February 23, 2008, 02:40:39 AM »
Reply with quote
wah wah wah!! kaya baat hai.. bahoot khoob khwaish ji!!!

Door hokar bhi koi dil ke pass gungunata hai
Parchai sa bana rooh mai basa jaata hai

Bedardi aisa, chain se kahin rahne nahi deta
Her pal yaadon mai sataye jaata hai

Kaabil hai kon kiske, ab yah sawal kaha
Dhere dheere jo nas nas main base jaata hai

Khwabo-o-khayalo per ab hai raz uska
Jo raato ki meri nindein liye jaata hai

Her Jazbaat uske se kyun mere jazbaat mil jaate hai
Yah kaya mere Ahsaaso ko, ajj hue jaata hai

Khamoshia bhi teri, de gai thi mujhko sun
Phir kyun juban per lake, bezaar hue jaata hai

Tere alfaazo main, zindagi apni najar aai
Kyun yah soch soch kar preshan hua jaata hai

Yah shikwa tera, kisi din le lega meri jaan
Bahoot door hokar bhi, koi bahoot pass hue jaata hai!!!


Wow didi kehte ho Ishq main mujhe likhna aata nahi aur
ek se badkar ek padne mil raha hai... wah keep up didi.
Pehle do line ka shuruwat hi mujhe bahut accha laga.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #7 on: February 23, 2008, 02:42:02 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria Roja... koi itna acha likhe to jawab apne app acha ban jaata hai!!!!
Logged
punam
Guest
«Reply #8 on: February 23, 2008, 08:44:36 AM »
Reply with quote
Bahot khoob kitu ji...dil ko chu gaya..
yeh lines toh ... bahot hi acha...

Bahut door hoon par tujhse juda nahi hoon main
parchai hoon teri par phir kyon tere saath nahi hoon main??..


pooja di wow kya baat hai ..really bahot acha laga...aap ki likhi huyi shayari padh ke...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #9 on: February 23, 2008, 02:02:14 PM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai khwaish ji.. Usual Smile
Logged
diya786
Guest
«Reply #10 on: February 24, 2008, 04:20:44 AM »
Reply with quote
bahut hi umda likha hai khwaishji
aapki ye lins dil mein reh gayi...

"KHWAISH" naam hone ki bhi ek wajeh thi is dil ke paas
par aaj...baaki koi khwaish nahi hoon main....

bahut khoob !!!
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #11 on: February 24, 2008, 07:01:08 AM »
Reply with quote
Bohat durr hokar bhi koi kareeb lagta hai..
Kabhi kabhi tanha rehete bhi durr lagta hai

Saath jo hai tumhara to har pal suhana lagta hai
Na hoga kabhi gum aisa mujhe lagta hai

Jante to nahi hai hum ke taqdeer mein likha kya hai
Gar jo tum saath na hue to darr lagta hai

Iss paheli ko guzar jane mein ek zamana lagta hai
Sach yeh ke udaas ho tum mujh se durr hokar

Hansta chehra tumhara ek phool sa lagta hai
Bohat durr hokar bhi koi kareeb lagta hai.
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #12 on: February 24, 2008, 02:52:23 PM »
Reply with quote
wah honey kaya baat hai... bahoot khoob.... yah lines to bahoot hi achi lagi....

Jante to nahi hai hum ke taqdeer mein likha kya hai
Gar jo tum saath na hue to darr lagta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: February 28, 2008, 09:05:28 PM »
Reply with quote
shukaria Punam!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: February 29, 2008, 02:42:10 PM »
Reply with quote
wah wah wah!! kaya baat hai.. bahoot khoob khwaish ji!!!

Door hokar bhi koi dil ke pass gungunata hai
Parchai sa bana rooh mai basa jaata hai

Bedardi aisa, chain se kahin rahne nahi deta
Her pal yaadon mai sataye jaata hai

Kaabil hai kon kiske, ab yah sawal kaha
Dhere dheere jo nas nas main base jaata hai

Khwabo-o-khayalo per ab hai raz uska
Jo raato ki meri nindein liye jaata hai

Her Jazbaat uske se kyun mere jazbaat mil jaate hai
Yah kaya mere Ahsaaso ko, ajj hue jaata hai

Khamoshia bhi teri, de gai thi mujhko sun
Phir kyun juban per lake, bezaar hue jaata hai

Tere alfaazo main, zindagi apni najar aai
Kyun yah soch soch kar preshan hua jaata hai

Yah shikwa tera, kisi din le lega meri jaan
Bahoot door hokar bhi, koi bahoot pass hue jaata hai!!!


bahut khoob poojaji..bahut hi acha likha hai aapne..
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 12:33:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer