CHAND ASHAAR AAP KI NAZAR HAI.....
KHOOB LIKHA HAI HUMNEY MOHABAT KA TARANA,
KAUN SAMJHA HAI JO YEH SAMJHEY GA ZAMANA,
MILTI NAHI MAR KEY BHI DUBARA ZINDAGI,
SHAMA PEY MARTA HAI AJAB BEKHOUF SA PARWANA,
SUKOON-E-ISHQUE MIL JAYEGA SAMANDAR KEY KINARE,
KHUD HI RAIT PEY NAAM LIKH LIKH KAR APNA MITANA,
NAZROUN KEY DHOKOUN NEY,KITNEY GULSHAN HAI JALAYE,
MUSHQEEL HAI IS AAG SEY PHOOLOUN KA CHURANA,
JUNOON-E-ISHQUE KA HOUSLA ABHI TUNEY NAHI DEKHA,
KAHA QATEEL KO DEYKEY TEER, DIL PEY LAGA NISHANA,
MERI RUDAAT-E-MOHABAT KO SABHI NEY JO PADHA HAI,
SHAYAR KHUD KEHNEY LAGEY, YEH SHAYAR HAI YA DEWANA,
ULFAT MEY KITNI ACHI LAGTI HAI MAHA-O-ANJUM KI BAATEIN,
MUMKEEN NAHI HAI "MAHERIZ" ZAMEEN PEY CHAND KA LAANA
tera ahasas kuch is kadar mujh mein samaya hai.....
har pal har samaye bas tu hi nazar aaya hai.......
subah ki pehli kiran aur angaraee leti.......
apni bahao ke ghere mein .......
tujhe khud ko chumate paya hai....
kaise sawaaru apne baal.
kasie karu ajj khud ko tayaar......
mera kaun se rup ne tumhe lubhaya hai.........
apni kajare ki dhaar se, chureeyon ki chanak tak.....
bindi ki chamak se, payal ki jhanak tak......
bas tera hi akas mujhe nazar aaya hai........
tujhse pyar karte huey......
apni aankhe band rakhu ya khuli.........
dekhne ke liye sheeshey mein ........
khud ko tere saath paya hai...........
mere har khayal mein shaamil hai tu......
har baat, har pal maine apne wazood mein...........
bas teri chahat ko hi paya hai................
------------
ranjana