teri chahat hai

by salil2002 on December 26, 2007, 08:41:35 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1484 times)
salil2002
Guest
teri chahat hai mujhe bas aur na koi khwahish hai
muskura kar jab kaha maine toh usne kaha muskil hai
maine kaha jo jhuk jaaye woh deewana kahaan
usne kaha jo jale na woh parwana kahaan
main dekh kar usko bas muskuraata raha
jab talak uska dupatta hawa se lehrata raha

phir main khwabon se laut aaya haqeeqat main
maine khud ko andheron k paas paaya tha
yaad aaya jab mujhe tu hai rukhsat huyi
par dil ne tujhe kabhi na bhulaaya tha

ashq behne lage raat aayi the paas
mujhe bhar k baahon main kehne lagi
tu roya na kar tujhe yaad ho agar
aakhri pal tha tune vaada kiya
jo tu roya oose yaad kar k kabhi
 rooh ko chen uski naseeb hoga na kabhi
main phir hans diya aansuon k saath main
aur phir so gaya khwabon k saath main
jaanta tha kii main tu wahin hai kaahin
kaash so jaun main khwabon main hi kaahin.............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ke teri chahat hai itni by Ricky in Shayri-E-Dard
bas teri hi chahat ko paya hai....... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 5 6 »
Teri chahat by CoolGirl in Shayri for Khumar -e- Ishq
chahat he teri chahat paneki......... by jyuthika in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri chahat teri nafrat by Dineshkumarjonty in Shayri for Khumar -e- Ishq
prmchawla
Guest
«Reply #1 on: December 26, 2007, 09:00:36 AM »
bahut khub salil,

e dost tu itna udaas na ho or apne ko itna tanha bhi mehsus na kar, bharosa rakh or aage barh chal
is duniya mai kewal ek hi gulaab nahi, yeh yaad rakh ki ek nahi to hajaaro kamal ke phul or sahi,


Prem Chawla
Logged
nanobio
Guest
«Reply #2 on: December 29, 2007, 09:30:29 PM »
nice words salil...........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #3 on: February 02, 2008, 10:37:03 AM »
thanks for appreciation
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #4 on: February 02, 2008, 11:23:29 AM »
isqh ki aag mein dil ko humne bhi jalaya tha magar
aag peit ki jo lagi uss ney uss aag ko bujha diya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #5 on: August 16, 2008, 05:19:56 AM »
karli apni aankhen band oonke haathon main khanjar dekhkar
 jab qatl huye toh muskura diye oonki aankhon mein nami dekhkar

thnks yaar zakhmola
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: August 16, 2008, 01:11:26 PM »
Sach mein relly very very touching sad5
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: August 17, 2008, 06:43:40 AM »
shukriya angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: August 17, 2008, 01:23:12 PM »
karli apni aankhen band oonke haathon main khanjar dekhkar
 jab qatl huye toh muskura diye oonki aankhon mein nami dekhkar

thnks yaar zakhmola

Qatl karke mera khush to hua wo bahut sanam mera,
andheron ki chaadar mein chupke se aansu bahaye usne...
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: August 18, 2008, 06:32:36 AM »
hi angel nice to get ur views.......
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 03:04:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer